Sar hilenge ya viewers kho denge, par CVs ke iraade nahin rukenge.
Acchi khaasi history ka keema bana ke rakh diya hai. Dono leads ko balance karte karte poora show hi unbalanced ho gaya. Ek accha scene ya plot point dikhaate hain aur phir dus aajeeb aur naamumkin humein jhelne padte hain.
Yaar, ek baar decide nahin kar sakte ke game plan kya hona chaahiye? Alexander ko itna shaatir demaag banda dikhaate hain, aur agle pal usko Barsine ki tarah aankhein phar kar ghoorta hua dekhaate hain jab uske saare sipaahi uss hilte huey bridge par chadte hain. Inhi logon ne to Misr, Syria, wagera par fateh kiya tha na? Do chaar sipaahiyon ke marne ke baad, baaqiyon ko samajh nahin aaya ke Puru kaise unka qatl karne waala hai? Phir bhi aage badte gaye, aur Alexander dekhta raha.
Promos mein Alexander ne aisa kuch kaha tha na?
Sikander apna muqaddar apne khoon se nahin dusron ke khoon se likhta hai.
Aur aaj apne sipahiyon ko kya kaha usne?
Aage badho aur apne khoon se dushman ki sar zameen par apni bahaaduri ke daastaan likho!
Ouff! Kya ho raha hai?!
Archers nahin aa sakte par Roxanne itni speed se ghode pe sawaar ho kar pahunch bhi gayi. Shohar ki madad nahin kar saki, theek hai. Par shohar ne kaha ki aakhri baar Porus ko dekh lo, to ghoda dauda kar Jhelum tak pohonch gayi. Yeh Puru ko raakhi baandh ke hi chodegi lagta hai. 😆
Pul par dhamake ki wajeh se agar Alexander ko chot pohonchegi to kya Roxanne uski temaar daari karegi, ya phir aur taane sunne ko milenge Alexander ko?
Chalo, maan liya ke Alexander ko taqdeer par nahin, tadbeer par yaqeen hai. Par Roxanne ke maamle mein na taqdeer ne Alexander ka saath diya aur na hi uski tadbeer ne. 😕
Apni maa aur uske bachhpan se dikhaye gaye sone ki chidiya par fateh paane ke kwab ko bhool gaya, aur ab ek sar pe janoon sawaar shohar jaisi harkatein kar raha hai, Shah ki tarah nahin.
Yeh Olympias kahan hai? Uss ki sakht zaroorat hai hum sabko. Ek woh hi hai jo aqalmandi ki baat karti hai.
Yaar is Alexander ka sab kuch extreme hai - bahaaduri, shaatir demaag, hausla, nafrat, mohabbat, aur ab yeh junoon. Iss hisaab se iss list mein bohot jaldi bewakoofi bhi shaamil ho jaayegi.
Aur Alexander jab nashtar le kar Puru ki taraf jaa raha tha, usne dekha nahin ke Puru ne teer uss par chaalaane ke bajaaye hawa mein chalaayi thi? Yeh sign to Alexander ko samajh jaana chaahiye tha! Yeh wohi Alexander hai na jisne Thracian Shah ki fauj ke saamne akele khada ho kar teeron ki bauchar roki thi head archer (ya koi sipeh salhaar) ko khanjar maar kar, kyunki uss ne Shah Thessia ke mini signal ko dekh liya tha? Yeh wohi Alexander hai na jiss ne Barsine se kaha tha ki uss ki aankhon se kuch nahin chipta? To Alexander samajh nahin paaya ke Puru bhagoda nahin hai, balki usne Alexander ko apne bichhaaye jaal mein phasaane ke liye pehle se hi koi tarkeeb nikaali hai? Ugh. 😡
Cleitus ko bheegi billi bana diya, aur umar adhi kar di. Inn CVs ko age se zaroor kuch problem hai. Aaj pata chal gaya ke sirf yeh Dasyu logon ka hi dimaag thikaane hai. Unhon ne Puru ko akele chod kar jaane se mana kiya.
Chalo, kam se kam Alexander-Hephaestion ka rishta kharaab nahin kiya CVs ne (ab tak). Wo abhi bhi Alexander ka ek ishaara samajh kar sipahiyon ko phir se jung par focus karne ke liye tayyar karta hai. 👏
CVs itne kamaal ke dialogues dete hain Alexander ko, best action director se scenes shoot karwaate hain, drone cameras ka bhi badiya istimaal karte hain. Itna effort daale action sequence mein, par nateeja kya nikla? Sirf confusion.
Ab to mujhe Alexander ke dialogues se bhi dar lagne laga hai. Usne kaha ke:
Duniya mein aaj tak koi jaanwar paida nahin hua Porus, jo Alexander ko apne qaaboo mein kar sake.
To abh kya CVs Jhelum mein Alexander ko magarmach se kushti ladwaayenge, ya phir koi aur ajooba dekhne ko milega? 😡
Haathi ka early intro karke poora maza kharaab kar diya. Asli Alexander ne to pehli baar Porus + haathiyon ka muqaabla kiya tha Battle of Hydaspes mein. Ab pata nahin yeh CVs akhri jung ke liye kaunsa naya teer nikaalenge kamaan se.
Isse to accha tha yeh Taxila wala chapter na hi dikhate, seedha haatiyon ke saath Hydaspes waale jung mein pesh aate aur wahi pe khatm kar dete show.
Chalo, kam se kam baap bete ki commentary dekhne ko mili, warna lag raha tha yeh Taxila waale sirf open-air cinema dekhne aur sun tanning ke liye gaye the.
Mein sirf Rohit/Alexander ki "hausla afzaayi" ke liye yahan hoon. Bande ne itni mehnat ki hai jo rang laa rahi hai, aur iss show ke baad, bohot log uski qaabiliyat ke baare mein jaanenge. Agar CVs Porus ko aakhri jung mein jitayenge, to mujhe bilkul taajjub nahin hogi. Balki, jaise show chal raha hai, iss ke ilaawa aur koi nateeja dikhayenge tab mujhe waaqi hairat hogi.
Sach mein sar dukh raha hai yeh sab dekh kar. Bas meri CVs se aakhri guzaarish hai, ke show khatm hone se pehle Alexander ko pata chal jaaye ke Puru Barsine ka aashiq nahin hai! 😆
PS Roman script mein likhne ki aadat nahin hai mujhe to post mein ghaltiyan maaf keejiye ga.
Edited by inlieu - 7 years ago