Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 10th Sep '25
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 11th Sept 2025
MAIRA AGAYI 10.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 11, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Ind vs UAE 2nd Match, Group A, Dubai 🏏
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
KIARA EXPOSED 11.9
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
Navri and her eternal victimisation
"I don't like women who are too thin" : Bipasha Basu
🏠Caption Writing Contest -Bring Pictures to Life!🏠
Anupamaa 10 -11 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
🏏Cricket Forum Banner Contest Announcement🏏📢
When Love Finally Grew Up ~ A Rumya Three-Shot [Completed]
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
Patrama Prem ~ A Gosham SS
Love Possible Part-2
[Precap- Archana prepares a bed for her on the floor and Manav sleeps on the bed. ]
Time is already 11:30 pm. It is raining outside and power goes off.
Archana ki aankhon mein neend nahin na ki Manav ki aankhon mein. Lekin Manav sone ka natak kar raha hai, where as Archana ki aankhen band bhi nahin ho rahi hain. Archana apne bistar se uthke khidki ke paas jati hai, khidki thodi si khol ke bahar ki taraf dekhti hai. Manav comes to know Archana bhi soyi nahin. Manav thinks kya yeh wohi archana hai jo uski patni hai aur jis ko woh kabhi jaan se bhi jyada pyar karta tha. Aaj itne chhote se kamre mein uski patni uske sath hai aur dono mein itni duriyan? Archana soch rahi hai aise suhane barish ke mausam mein uska manav uske paas hai par usse itna khafa hai !! shayad aasman Archana ke dukh pe uske sath ro raha hai. Archana ko nahin pata woh kaun si manzil hai jis ki talaash mein aaj dono ke raste alag ho gaye hain..kya kudrat ko yehi manzoor hai ki Archana manav alag ho jayen. Archana aur nahin soch pati aage. Kuch hi der pehle ro roke jo aankhen lal ho gayi thi, ab phir se aansoo bahane lage hain. Palank pe leta hua Manav Archana ki taraf dekhta hai. Baarish rukne ka naam nahi le rahi. Aasaman mein bijli ki roshni re use Archana dikhti hai. Archana ke aansoo dikhte hain. Manav ko lagta hai yeh aansoo jhooth ke nahin ho sakte. Manav ko ehsaas hota hai wo chup rehke archana pe zulm kar raha hai.
Manav- ( palank se uthke Archu ke paas aake) Archana
Archana- ( Chaunk uthti hai aur aankhen poch leti hai) haan Manav
Manav- kitna roogi aur?
Archana- ( khamosh)
Manav- woh bhi us insaan keliye jo shayad tumhe pyar nahin karta
Archana- shayad!!!
Manav- matlab tumhe pata hai main kya kehna chahta hun
Archana- mujhe bas itna pata hai kisi aur ki galati ki saza aapko deke maine aap se doori bana li thi aur uski saza mujhe aaj tak mil rahi hai
Manav- purani baatein yaad karke kuch haasil nahi honewala Archana
Archana- maine sab kuch kho diya zindegi mein aap ka pyar kho ke. ab kuch haasil karne ki tamanna nahin rahi..bas ab zinda rehne ki aakhri koshish hai meri..mujhe us se mat roko aap
Manav- divorce ke baad tum khushi khushi jee sakti ho kisi aur ke sath
Archana- yeh aap bol rahe ho?? Aap ke siva koi aur mere dil o dimaag mein nahin hai manav na ki kabhi aa sakta hai
Manav- tumhe kya hua hai archna
Archana- kisi aur ki galati ki saza maine aap ko di thi aur mujhe bhi kisi aur ki saza mil rahi hai..mujhe sab kuch kabool hai bas aap se judaai ko chhod ke ( ab kaafi zor se rone lagti hai)
( Manav usse samjhane keliye haath uske kandhon ki taraf leta hai par usse chhu nahin pata. Par aakhir mein usse haathon se pakad ke bistar ki taraf le chalta hai)
Manav- aur mat ro Archana! Dekho kya halat bana li apni
Archana- aur mujh se gussa kar kar ke aapne kya halat banayi hai apni dekhi hai kabhi ?
(dono ek doosre ki aankhon mein dekhte hain. Manav na chahte hue bhi archu ko pyar bhari nazar se dekh raha hai. Usse ehsaas hai ki Archana se door hone keliye usne faisala liya hai par pata nahin aaj usse kya ho gaya hai. Apne haathon se archana ke aansoo pochhne lagta hai)
Manav- tum is tarah roti ho mujhe achha nahin lagta
Archana- kyun?
Manav- aisa lag raha hai jaise maine tumhare sath anyay kiya ho
Archana- (Manav ke muh mein haath lagake usse chup karti hai) koi anyay nahin..yeh meri saza hai aur yeh mujhe milni chahiye..par aap pe mera adhikaar mat chino ( fir rone lagti hai)
Manav- ab tum band bhi karogi yeh rona..warna main ro padunga
Archana- ab aap mujhse bahut door ho gaye..ab pata nahin kab miloge..mujhe aisa lagta hai jaise sab kuch khatam ho gaya hai..aur mere jeene ka koi matlab nahin. aap ke seene se bhi to nahin lag sakti main
Manav- (apne aap ko rok nahin pata aur Archana ko seene se laga leta hai)
Dono isi tarah ro rahe hain ek doosre ko gale laga ke. Dono ke andar ka saara dukh aaj jaise ek doosre ke baahon mein aake pighal raha hai aur aansoo ban ke beh raha hai. Dono shadi shuda pati patni hain..phir kaisi doori hai yeh? woh bhi galafehemiyon ke wajeh se..dono ne kya paap kiya tha jo aaj unko alag jeena pad raha hai. Bahar ki baarish tez ho rahi hai..manav apne aap ko aaj rok nahin pa raha hai..uski saanse garam ho rahi hain..Archana ko bhi manav ki garam saanson mein jalne ko mann kar raha hai..ab koi dooriya nahin rahi. dono aur bhi kareeb ho rahe hain. Beech mein ab kuch bhi nahin pyar ke alawa. Ab jism bhi unke bash mein nahin. Bas phir'uske baad kuch nahin koi gila shikwa nahin..koi bandish nahin koi responsibility nahin..bas bhagwaan ki banayi ek khubsoorat si Jodi pehli baar beech ki deewar ko hatake aaj woh sab kuch kar rahi hai jis ka haq unhe usi din mil gaya tha jis din agnee ke saamne dono ne ek saath jeene marne ki kasam khayi thi.
Subah hoti hai. Manav ke seene mein lipti hui Archana ki neend khulti hai. Manav ki neend kab ki khul chuki hai aur wo Archana ke baalon ko apne haathon se sehla raha hai.
Manav- archana!chalo bahar mere sath
Archana- manav
Manav- aaj duniya ko yeh bata denge..ab koi tumko mujh se judaa nahin kar sakta'saath jeene marne ki kasam aaj sab ke saamne ek baar phir khani hai humen'kisi aur ki galati ki saza tum kyun bhugto aur main kyun sahu? Bas bahut ho gaya ab hum dono ek doosre keliye jeeyenge.
Archana- kahin main sapna to nahin dekh rahi
Manav- nahi..shayad pehli baar hum dono haqeekat ke kaafi nazdik hain'
Archana- ( phir gale lagti hai manav ke)
( dono ek doosre ka haath pakadke kamre se bahar niklate hain. Shayad pehli baar aaj ki subah unkeliye ek naya suraj leke aayi hai)
Love Possible
The End
Wait for the next story on what happens just after ArMan come back after their honeymoon (ref : ArMan in Switzerland