can imagine.
1. Just after checking in the resort and having a bath, they just go for a short walk. They come across a couple in a street
kissing each other passionately in public. Manav gets excited and wants to do something with Archana.
Manav- Ji
Archana-Ji
Manac-Woh
Archana-Ji
Manav-Main keh raha tha ki
Archana - ( thinks that Manav ko yeh public kissing achhi nahin lagi aur woh wahan se jana chahta hai) boliye na
Manav- yeh jo couple hain yeh kitne..
Archana- Besaram hain yehi kehna chahte hain na
Manav-(Manav was trying to tell yeh jodi kitni bindaas hai aur enjoy kar rahi hai kisi ki parwah na kar ke. par archu ki baat sunke
woh baat badal leta hai) haan kuch is tarah hi hain.
Archana-( sochti hai ki Manav ki mann ki baat usne padh li. ab woh kabhi bhi Manav ke haath public mein pakdegi tak nahin)
manav-(Archu ki khamoshi dekh ke darr jata hai) dariye mat..main itna ganda nahin jo aapke sath...
Archana-( soch rahi hai ki kaash Manav thoda brave hota aur uska haath kam se kam pakad leta abhi) hmm..mere sath kya..
Manav- ( aur darr jata hai kahin Archu ko bura na lag jaye) main keh raha tha ki main to bedroom mein bhi aapke sath aisa karne se
pehle dus baar sochunga...( ek saans mein aankhen band karke bol dalta hai)
2. They come back to their room and sit near the window. They see a swimming pool and hot babes in bikini. Manav ka mann karta hai
kaash Archu aise kapde pehen ke kam se kam bath tub mein uske sath nahaye.
Manav- Ji
Archana- kya ji ji laga rakha hai?
manav-( smiling) achha thik hai. Archana..ok
Archana- haan boliye na manav
( ek doosre ka naam leke dono itna sarma jate hain jaise ki abhi pighal jayenge. BT wale gaane bajane lagte hain sathiya tune kya kiya)
Manav- Main keh raha tha ...
Archu- kahiye na
Manav-woh
Archu- boliye na
manav- bath tub mein...( aur aage bola nahin ja raha usse...pasina pasina ho gaya hai)
Archu- bath tub mein paani bhar doon..aapko nahana hai?
Manav- nahin mera matlab hai aap..
Archu- fir aap
manav- matlab tum
Archu- Haan paani bhar dungi na main
Manav- ( aankhen band karke ek saans mein lehta hai) tum un swimming pool wali ladkiyon jaise kapde...( aage bol nahin pata)
Archu- ( sochti hai manav yeh puchhna chahta hai kya woh aise kapde pehenti thi ya usse pasand hain) nahin Manav...aap kya keh rahe hain main yeh gande kapdon se hamesha door rahi hun...
Manav- (darr jata hai) nahin main keh raha tha ki kitne gande kapde hain aap ko bhi bura lagta hoga dekhne mein . bahut jyada gande hain yeh kapde.( manav ki awaz kaamp jati hai yeh kehta kehta)
Archu-(kehna chahti thi ki aap chahen to khaas aapke saamne main yeh pehene sakti hun. par ab manav ko hi achha nahin lag raha hai to woh kyun pehne) aap ko bhi bure lagte hain na yeh costumes..yakin kariye main yeh kabhi nahin pehenungi..
3. 11 pm now. Both are talking.
Archana- Pata hai Manav
Manav- bolo
Archana- meri ek saheli apne honeymoon mein switzerland aayi thi. maine puchha tumne kya kya jagah dekhi udhar.
Manav- haan bolo na jagahon ke naam. hum kal se woh sab jagah jayenge..
Archana- usne kaha usne bas kamre ki chhat dekhi..
manav-kahin gaye nahin ghumne
Archana- ( sarmake) gaye the par woh jyada tar room pe ruke aur
manav- aur
Archana- shayad resort ka kamra itna sundar hoga aur chhat decorated hogi to
manav- is liye chhat dekhti rahi
archu- ( sarma jati hai aur chup rehti hai. mann mein kehti hai yeh manav bhi na buddhu hain)
manav- (ab samajh mein aata hai miyan biwi din bhar bed pe lete the)
(manav ab batti bujha deta hai aur dono duniya ke sab se jyada sarmile tarike se kya karte hain yeh aap imagine kar lijiye.)