Kabhi saare jahan ko hasane ko jee chahta hai.."
"Kabhi chupa lete hai gamo ko dil ke kisi kone me..
Kabhi kisi ko sab kuch sunane ko jee chahta hai.."
"Kabhi rota nahi dil toot jane par bhi..
Or kabhi bas yuhi aansu bahane ko ji chahta hai..."
"Kabhi hasi si aa jati hai bheegi yaado me...
To kabhi sab kuch bhulane ko ji chahta hai..."
"Kabhi achha sa lagta hai aazad udna kahin...
Or
Kabhi kisi ki bahon me simat jane ko ji chahta hai..."
"Kabhi sochte hai,
ho kuch naya humari is zindgi me...
Or
Kabhi bas aise hi jiye jane ko ji chahta hai...😍