In the Arz Kiya Hai Contest, i recieved in total 4 entries, so its easier for you guys to read them and vote for your favourite. Please VOTE AGAIN as I missed 4th entry somehow😭 and have added it now😳
The Winner for 1st AKH Contest is Entry number one by Farhanas
Congrats Farhana Aunty!
*** Your Siggy has been Pmed ***
The theme for this week's AKH Contest was "Bewafa/Bewafai", so vote for the best keeping in mind the theme. You can vote for ONLY ONE entry, any post that contains votes for 2 entries will be disqualified.
1st Entry
Judayi ka dard ab saha nahi jata
Unse door hoke raha nahi jata
wo kyun na samajh paye ankhon mein chupe jazbat
Har baat ka izhar lafzon se kiya nahi jata
Meri parchayi mein ab bhi basi hai unki soorat
Jitna chahoon par issay peecha churaya nahi jata
Kitna gam ab aur hai meri naseeb mein
Is baat ka andaza lagaya nahi jata
Kuch to kami thi meri mohabbat mein
Varna yun hi kisi ka dil tora nahi jata
Unko bhi mila hoga ek behtar humsafar
Har kisi se dil ka muqabla karvaya nahi jata
2nd Entry
Itni door jaane ke bawajood
wo basa hai meri yadon mein
Arsa hua uski jhalak dekhe
Aaj bhi wo rehta hai meri ankhon mein
Manga the ussay sirf wafa ka badla
Jo mila wo thay kanton kuch phoolon mein
Hum karte rahe intizar us dilbar ka
Jisko mil gaya hamsafar naya anjani in rahon mein
3rd Entry
Tumne kaha ke tumko bhool jaana hoga,
Kaise khudko khud se juda karna hoga?
Tumhe bhool jaaon yeh to mumkin nahi,
Lekin jo waada kiya usey poora karna hoga,
Saath kyun chale jab manzil ka yaqeen na tha?
Ab mujhe zakhmi kadmoon se lout jaana hoga,
Dil toor kar kiyun kehte ho kush rehne ko?
Ab mujhe dil mei dard liye muskoraana hoga,
Tum koyi khwab to na thay jo mei tumhe bhool jaaon,
Ab to mujhe har pal mar mar ke jeena hoga.
4th Entry
May the Best entry win,
Theme for Next week "Tanhai/lonliness" and Last Date to send your entries is 1st September 2006
so Good Luck to those who'd participate