labon pay aa kay kulfi ho gaye ashaar sardi main
ghazal kehna bhi ub to ho gaya dushwaar sardi main
muhallay bhar k bachon nay dhakela subah dum usko
magar hoti nahi start apni car sardi main
dawa day day k khansi aur nazlay k mareezon ko
mualij khud becharay par gaye beemar sardi main
kayee ahl-e-nazar usko bhi disco ada samjhay
bechara kapkapaya jub koee funkaar sardi main