saumya's interview

Sohal thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
😉saumya's interview 1 feb 2012

Created

Last reply

Replies

10

Views

1.9k

Users

9

Likes

15

Frequent Posters

priya_anya1 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
thanks ...but the language is confusing
z000dgex thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#3
TFS
Unfortunately cannot read Punjabi script, someone help to translate?
chandni4433 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
thanks 4 sharing... can u plz transtate dis???
coolfathema thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
if anyone knew this language,,,,,, plsss translate it,,,,,,
Kayal_SHAMYA thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#6
I could't see anything...😉
Sohal thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#7
i am trying it.it will take some time.
rashvin thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#8
thanx bt nt able 2 read d language
Shweta_ thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#9
Hey gus...i can read it..and i do understand punjabi...this is all abt..how she came in ndustriy..&abt her...family...and she will marry the guy which her parents will choose...old interview but..now in punjabi...
Sohal thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#10

Pyar ke bare mein kabhi socha hi nahi-Somya seth

Bahut kam hi samay mein show navya ki somya seth ne bahut naam kama liya hai.

Adakara ne ab tak ke safar ke bare mein hamse baat ki who is tarah hai…..

Q.Navya ka kirdaar ek sharmili ladki ka hai .Kya yeh aap se milta julta hi hai?

A.Dono mein kuch pharak hai per somya 80% navya jaisi hi hai.Jab navya kuch anchahe halation mein ghiri hoti hai to main sochne ki koshish karti hoon ki asal zindagi mein somya in halato ka saamna kaise karegi.Bahut saari baatein mere man mein gabrahat paida kardeti hain jaise:kisi nayi jagah pe jana aur naye logon se milna,main yeh sochke

Dar jati hoon ke log kaise vartao karenge aur navya bhi aisi hi hai.navya aur harash ki

Tarah mere aur mere bhai ke beech bhi sara din ladaai chalati rehti hai.

Q.Industry mein aana aapke liye asaan raha yan phir aapko sangharsh karma pada?

A.Bahut log kehte hain ke industry mein aane ke liye bahut sangharsh karma padta hai

Per sach kahoon to mujhe bilkul bhi sangharsh nahi karma pada.Mujhe auditions ke liye kisi ne call kiya aur baat ban gayi.

Q.Apne background ke bare mein batayen.

A.Main Banaras mein janmi aur 6th standard tak vahin padi.Mere dada dadi vahin rehte hain aur papa gold jewellery ka import export karte hain.Baad mein unhone apna karobaar Mumbai mein shift kar liya.Bachpan se hi main yeh sochti thi ke kaam achi tarahein se seekh lene ke baad hi papa ka business sambhaloongi aur papa ko araam doongi,per main accounts mein bahut acchi nahi thi is liye papa ne kaha tu kaarobar mein na pad(haste hue).

Q.Kya aapne acting ko career banana ka sapna dekha tha?

A.Maine career chunne ke bare mein kabhi socha hi nahi tha.Kuch banne ka koi sapna nahi dekha tha.Main bas apni mama ko khush rakhne ke bare mein hi sochti thi.mama khush hoti hain jab main kuch accha karti hoon.Maine kabhi actor banne ka sapna nahi dekha per yeh jaroor sochti thi ke 'agar yeh kar sakte hain to main kyun nahi?"Jab maine

Acting shuru ki to mehsoos kiya key eh asaan kaam nahi hai.Jab main actor nahin thi toh sochti thi key eh kitna asaan kaam hai per ab jaa kar pata chala ke kitna mushkil kaam hai.Yeh profession aap se bahut kuch leta hai per saath hi bahut kuch aisa bhi deta ho jo loi aur profession nahi de sakta.

Q.Pyaar ke bare mein kya sochti hain aap?

A.Pyaar ke bare mein kabhi socha nahi kyunki is tarahan ka koi nahi mila jo mujhe mere parivaar walon yan doston se zyada pyaar kar sake.waise to main us ladke se shaadi karoongi jis ko mere parivaar wale chunege,per meri ek choti si iccha hai ke main us ke saath bhaag kar shaadi karoon.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".