Originally posted by: shweta_yadav
Update de do koi
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 Sep 2025 EDT
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 3rd Sep '25
LIFE IN JAIL 3.9
Finally a beauty queen who is star material!!
Gen 5 - Posted on Saas Bahu Official Page
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 04 Sep 2025 EDT
New Entry : Manit Joura
Abhira & Geetanjali
A Missed Opportunity
Deepika LVMH jury member
Shilpa Shetty's Bandra Restaurant Shuts Down
Faridoon Giving Advice to Salman
War 2 Set To Finish As The Lowest YRF Spy Grosser Domestically
MAIRAs REJECTION 4.9
Mihir - The d*uchebag
Baaghi 4 - Reviews And Box Office
Did Trump Just Remove ALL SANCTIONS on India ? (Doubtful news)
Originally posted by: shweta_yadav
Update de do koi
CHAPTER 12
Maahir hugged Bulbul very tightly as if he wanted to feel that it was not a dream and he really got to see, got to hold his daughter for the first time ever in his life. He broke the hug and rained kisses on Bulbul's face and said, "I'm sorry... I'm so sorry I was not there with you all the time. I'm really ver sorry... Agar mujhe zara sa bi andaza hota to, main aapko kabhi Canada nehi jaane deta. I missed 8 years of your life. Bulbul wiped Maahir's tears and replied, "Koi baat nehi daddy, main aa gayi hu na. Main yaha se kahi nehi jaaungi, main aaphike paas rahungi. Maahir hugged Bulbul back and said, "Oh mela beta... Meri baby mere paas hi rahegi, main usko kahi nehi jaane dunga. Madhu came to them and asked, "Saara pyar aaj hi lutaane ka iraada hai kya Maahir? Ghar nehi jaana? Maahir got up and then held Bulbul's hand and said, "I'm sorry saasumom!! Vo zaraa main... Madhu put her hand on his shoulder and then replied, "I got it Maahir tumhe mujhe kuch bhi explain karne ki koi zarurat nehi hai. Bas vo kya hai na... maharani to bhaag gayi thi aur immigration ki formalities puri nehi hui hai. Maahir assured Madhu, "Don't worry I'll manage! Just when he was about to leave with them to complete their immigration formalities, Mr. Sen and the two staffs came there with the security people and seeing them, Bulbul hid behind Maahir's back. Maahir replied, "Mr. Sen don't worry I will bear the expenses of all the losses and I'm really very sorry for that. On hearing Maahir apologizing on her behalf, Bulbul came in front and said, "Aap sorry kyu bol rahe ho daddy? Inka instruments to maine tode hai aur pata hai kya they deserve it. Bulbul folded the sleeves of her dress and then put her hands on her waist and continued, "In logo ne apni office ke bahaar ye bare bare fonts mein likhwa kar rakkha hua hai HELP DESK par jab main help maangne gayi aur maine aapke baare mein bataya to ye log mujhpar has rahe the aur aapke aur mamma ke baare mein gossip kar rahe the isiliye maine inke saare instruments mein paani daal diya. Ye log kisiki help hi nehi karte hai to inhe in sab instruments ki koi zarurat nehi hai and I'm not at all sorry for what I have done. The staffs lowered their heads out of embarrassment and Mr. Sen scolded them and seeing that Maahir whispered to Madhu, "Saasumom ye to puri aapki beti par gayi hai. Gundi banaakar rakkha hua hai meri bachchi ko. Madhu replied, "Uff Maahir!! Puttar ye paida hone ke baad se apni ma ko dekhti aa rahi hai to apni ma ki tarah banegi na. Ye zidd mein to apni ma ki amma hai. Maahir made a tensed face and said, "Matlab mujhe abhi ek aur Bela ko sambhaalna parega? Oh c'mon saasumom, pehle maine aapki beti ki baby sitting ki hai aur abhi dubaara se... I mean meri bachchi hai, mera kya usko kuch bhi nehi mila? Madhu felt very sorry when she found Maahir pouting and pulled his cheeks and replied, "Haww!! Teri kudi na bilkul teri tarah pout karti hai aur ek aur cheez mili hai na usko tujhse, tere hasne par jo tere gaalo mein jo pyaare pyaare gaddhe aate hai vo bhi miley hai usko aur phir abhi to tere paas rahegi thora apne jaisa bana dena usko par puttar sach baat batau, tum miyan biwi ki life mein jo siyappa chal raha hai na uske liye aisi gundi type ki Bulbul ki hi zarurat hai. Maahir made a face and then again apologized on Bulbul's behalf and took them away from there for completing their immigration formalities. After completing all the formalities, Bulbul said to Maahir, "Daddy mujhe bhukh lagi hai. Madhu was shocked and asked, "Abhi to flight mein thori der pehle hi breakfast kiya hai na tune? Bulbul replied, "Abhi jo itni saari daud bhaag ki hai maine sab kuch digest ho gaya hai na, to mujhe phir se bhukh lag gayi. Madhu was confused and asked, "Itni jaldi? Bulbul angrily replied, "Aap na bilkul Count Dracula ke tarah sound kar rahi ho naani. Vo bhi bilkul aise hi bolte hai. On hearing this Maahir said, "Iska kya matlab hua? Saasusom aapke husband meri bachchi ke khaane par bhi nazar daalte hai? Hadh hoti hai yaar!! Mujhe kabhi chain se nehi rehne diya aur meri beti ke saath bhi aisa hi kar rahe hai vo. Ye kya baat hui? Bulbul was smiling showing all her teeth and said, "You're so sweet daddy! Maahir pulled Bulbul's cheek and replied, "You too mera bachcha! Madhu made a face and replied, "Puch mat yaar in dono baap beti se to main khud pareshaan hu. Abhi chal isko thora khila dete hai, maine bhi abhi tak ek dhang ki coffee nehi pee hai. Maahir took them to the airport restaurant to make Bulbul have some food.
On grabbing a table, Maahir called the waiter to take down the orders and when he arrived, both Maahir and Bulbul said together, "Paneer ke paraathe makkhan maarke! Maahir looked at Bulbul with a jerk with all surprise and happiness. He was so happy on hearing this that he had a wide grin on his face and he said to Madhu, "Saasumom!! Meri khaane ki choice bhi to mili hai usko. Madhu just smiled and then Bulbul asked, "Naani mamma ko phone kiya kya? Abhi to shaayad sach mooch ki lady Dracula ban gayi hogi. Madhu was scared and immediately took her phone and was about to dial Bela's number, when her phone started ringing and she found Bela calling her and so she said to Bulbul, "Dekh naam liya aur Bela ka call bhi aa gaya. Abhi na tere chakkar mein mujhe daat sunni paregi, main nehi sunne waali tu hi baat kar. On getting to know about Bela, Maahir was a bit uncomfortable and he said, "Main thora ek kaam khatam karke aata hu abhi, aap khaao beta. Bulbul grabbed Maahir's hand and said, "Mamma thori chillayegi par aapko phone ke andar se kha nehi jaayegi par ha ekdam chup rehna kyuki mamma ko agar pata chala na to vo kal hi aakar mujhe yaha se le jaayegi. Bulbul received the call and put the phone on speaker.
BELA : (shouting) "Mamma flight ko land kiye huye to kamsekam ek ghanta ho chuka hai, aapko nehi lagta ke aapko mujhe ek phone karna chahiye tha? Bulbul ka to main samajhti hu vo to hai hi jhalli, lekin aap to samajhdaar ho... Aapko pata hai na life mein pehli baar Bulbul mere bina kahi gayi hai, meri yaha par jaan atki pari hai aur aap log waha mauj kar rahe ho. Maine aapse itni irresponsibility ki ummeed nehi ki thi mamma.
Bela stopped to take a breath and on the other side, Maahir's heart skipped a bit on hearing Bela's voice after 8 long years. There was waves of feelings and memories that were rising inside him and he got nostalgic and went down the memory lane reminiscing about the days when they used to be together.
BULBUL : "Mamma aap chilla kyu rahi ho? Pata hai sabko sunaayi de rahi hai aapki awaaz.
BELA : "Bulbul?? Mera bachcha pata hai main 18 ghante se tumhaari awaaz nehi suni. Kaisa hai mera bachcha? Aur phone kaha hai tumhaara?
BULBUL : "Vo phone par game khel rahi thi to battery khatam ho gayi aur chare karna mujhe yaad nehi tha phir mujhe na bohot bhukh lagi thi mamma, to main restaurant mein beth kar khaana kha rahi hu. Pata hai paraathe kha rahi hu extra butter ke saath.
BELA : (annoyed) "India pohochkar hi apne papa jaisi harkate shuru kar di? Paraathe?? Aur khaane laayak kuch nehi mila? Maine kaha tha ke healthy khaaya karo par nehi mauka milte hi apne papa ki tarah bas paraathe thoosne beth jaao.
Maahir came out of his memory lane or Bela's annoyed voice brought him back from the memory lane and he looked angrily towards he phone on listening what Bela was saying about him and his anger didn't go unnoticed by Bulbul.
BULBUL : "Mamma ye Canada nehi hai jo main apne daddy ke khilaaf aapki ye saari baate sunungi. Agar aapne dubaara kabhi bhi mere daddy ke baare mein aisa bola na to main aapka phone kabhi nehi uthaaungi aur daddy ko dhundh kar unke paas chali jaaungi aur khaane ko lekar bilkul bhi kuch mat bolna, cornflakes aur muselie bhi koi khaane ki cheez hoti hai? Main to yahapar yehi sab khaaungi. Abse na aap jab bhi mere daddy ke baare mein baat karengi to respect se karna varna main bhi Count Dracula ke baare mein vaisi baate karungi.
Maahir had a smile of content on seeing how Bulbul supported him in front of Bela.
BELA : "Thik hai meri ma!! Sorry! Tum khaana kha kar seedha naani ke saath ghar jaaogi aur yaad hai na din mein teen baar video call karogi mujhe. Ok?? Achcha chalo abhi naani ko phone do.
MADHU : "Ha Bela bol puttar!
BELA : "Mamma maine Bulbul ko warn to kiya hai ke vo waha jaakar bilkul bhi Maahir ko dhundhne ki koshish na kare par main jaanti hu ke maine bhains ke aagey been bajaaya hai aur vo Delhi gayi hi hai usko dhundhne ke liye aur sirf yehi baat nehi hai main jaanti hu ke chahe aap dono mujhse laakh chupaalo Iam 99% sure Bulbul ye baat bohot achchi tarah se jaanti hai ke Maahir abhi kaha hai varna life mein pehli baar Bulbul ne is baar jo harkat ki hai na India jaane ke liye usne aisa pehle kabhi bhi apni koi bhi zidd manwaane ke liye nehi ki hai. Ye jis tarah ki larki hai na main to na sach mein bilkul bhi surprise nehi hone waali agar mujhe kal ko ye pata chala that she really had contact with her father.
Bulbul looked scared on hearing that comment from her mother and Bela too was saying all those things without knowing that she had been put on speaker. Madhu too swallowed the lump formed in her throat. By that time the food was also served.
M : "Dekh puttar main jaanti hu Bulbul ne bohot daring kaam kiya hai is baar lekin tu bhi to pehle uski saari zid maan jaati thi na isiliye, par is baar to tu nehi maani to usne aisa kiya.
BELA : "Mamma bas na yehi karti raho aap din bhar, Bulbul ki galtiya chupaao. Main maanti hu I can't give her time lekin main uske rag rag se wakif hu. Pata hai mujhe kal raat ko sapna aaya tha, ke ye jo Bulbul hai na usne Maahir ko dhundh liya hai aur abhi to ek bohot hi bura waala khayaal aaya ke ye larki na abhi apne baap ke saath beth kar... vo paneer ke paraathe thoos rahi hai.
Maahir and Bulbul were really chewing their food and the moment, Bela made that comment, Maahir started coughing and on hearing Maahir cough, Bulbul almost jumped under her skin. She put her hand on her chest and glared at Maahir. Madhu was shocked on hearing what Bela had said. Bela too heard the coughing sound.
BELA : "Ye khaas kaun raha hai?
M : "Arey restaurant mein bethe hai bola hi to tha tujhe. Achcha abhi mujhse bhi baat karli, Bulbul se bhi karli, abhi main phone rakkhu? Phir ghar bhi jaana hai.
BELA : "Ok bas aap apna khayaal rakhna aur Bulbul par to nazar rakhna, mujhe uska bilkul bhi koi bharosa nehi hai. Ok bye!
M : "Ha bye bye!!
The moment, Madhu disconnected the call, three of them gave a sigh of relief. Maahir said, "Saasumom aapki beti ki jo naak hai na police ke watch dog ke tarah hai by God!! Ek pal ke liye to mujhe aisa laga ke phone se bahaar dekh rahi hai vo hum logo ko. Madhu replied, "Ha yaar sach mein, ek pal ke liye to main dar hi gayi thi. Bulbul said, "Dekha daddy main jab bolti thi aapko, aap to mere baato par yakeen nehi karte the. Aapki wife bohot khatarnaak aur daring cheez hai. Puri vulture hai ye! Maahir stopped eating and then asked, "Daring se yaad aaya Bulbul... beta mamma kaunse harkat ke baare mein puch rahi thi jo aapne kiya hai India aane ke liye? Bulbul again stopped eating and made a guilty' face and looked at Madhu and seeing that Madhu said, "Meri taraf mat dekh, daddy puch rahe hai to uska jawaab de. Maahir pushed away his plate a bit and then asked, "Mujhe aisa kyu lagta hai Bulbul ke aapne aisa kuch kiya hai jo aapko nehi karna chahiye tha? Bulbul sheepishly looked at Madhu and then lowered her head and seeing that Madhu told Maahir everything and he was shocked on hearing that Bulbul pulled such a stunt to come to India and before Maahir could say anything to her, she said, "Daddy mamma already bohot kuch bol chuki hai. Maine aapse milne ke liye ye sab kiya. Abhi aap bhi mujhe daatoge? Saying she made a pout and seeing that Maahir's heart melted and he pulled Bulbul in his lap and said, "Haww mera bachcha, mujhe to pata hi nehi tha ke Bulbul apne daddy se itna pyar karti hai. Main aapko daatunga nehi kyuki main to aapko daat hi nehi sakta par aap aagey se aisa dangerous kaam kabhi nehi karoge, aapko ye promise karna parega. Bulbul replied, "Promise!! Maahir kissed on Bulbul's forehead and Bulbul winked at Madhu who was not at all surprised with Bulbul's act. After finishing the food, Maahir drove them to Madhu's brother's home. On reaching there, Bulbul said, "Par daddy mujhe to aapke saath aapke ghar mein rehna hai na. Phir aap mujhe yaha kyu laaye? Maahir replied, "Mera bachcha aapne to mujhe pehle inform hi nehi kiya tha ke aap aane waale ho isliye main to office ka kaam chor kar aaya tha. To aap yahi raho abhi ke liye phir main saara office ka kaam ekdam se khatam karke laut kar aate waqt aapko lekar jaaunga. Achcha aap pehle ye batao ke aap dinner mein kya khaaoge? Bulbul replied, "Paneer kulche aur chole khaaungi. Maahir smiled and replied, "Ok done! Bulbul replied, "Daddy jaldi aa jaana please. Mera yaha zyaada der rehne ka mann nehi hai. Maahir kissed on Bulbul's forehead and said, "Mela baba, mann to mera bhi nehi hai, main jaldi aane ki koshish karunga. Now give daddy a kissie! Bulbul kissed on Maahir's cheek and then got down of the car and Maahir put their luggage down from the back of the car and then Bulbul held Maahir's hand and said, "Daddy aap fikar mat karo, ab main aa gayi hu na to main aapki shaadi us chipkali se nehi hone dungi. Aapki shaadi to sirf meri mamma se hi hogi. Maahir gave a weired and confused smile to her thinking about what to reply exactly and seeing his face Madhu said, "Koi nehi puttar tu uske saath rahega na to sab samajh jaayega ke ye kya cheez hai. Ye Ranjit Sareen ko chaaro khaane chit karke chup karaane waalo mein se hai, tu apni kudi ko halke mein mat lena. Abse to vo tere paas rahegi to tujhe hi to isko sambhaalna parega na to main bas tujhe itna hi bata sakti hu ke Bela bhi iske saamne bachchi lagegi tujhe. Maahir said, "Kyu dara rahi ho saasumom? Choti bachchi hi to hai, aap na khaamakha mein meri beti ke baare mein aisa bolti ho. Madhu put an assuring hand on Maahir's shoulder and replied, "Aaj tune jo airport mein dekha hai na puttar vo trailer tha, wait karle tujhe vo puri blockbuster picture dikhaayegi. But Maahir still didn't take Madhu's warning seriously bid bye to them and left from there.
When Madhu and Bulbul arrived at her brother's house, SARNA MANSION, everyone welcomed them and obviously the special welcome was received by Bulbul. At first the whole Sarna family used to live in Mumbai, but they shifted a few years ago when Daksh and his father started a new business there. Bela was closer to Suhaani and Daksh more than her other cousins and so they knew about her and Maahir's relationship and also four of them used to have video chats often. Suhaani was extremely happy to see Bulbul as she was meeting her for the first time and had only seen her in photographs. Suhaani's twin brother Daksh pulled Bulbul's cheek and said, "Hullo baby!! Main aapka mamu hu aur ye jo behenji hai na ye aapki maasi hai. Humne na aapki to sirf photos dekhi hai, we always wanted to meet you. We're very happy ke aap is shaadi mein aayi. Bulbul replied, "Shaadi mein aana to ek bahaana tha main to yaha apne daddy se milne aayi hu. Daksh and Suhaani awkwardly looked at each other as both of them knew about Bela and Maahir's past and Daksh asked, "Aapko Maahir bhaiya ke baare mein pata hai? Bulbul replied, "Pata kyu nehi hoga mamu vo to mere daddy hai na aur main to yaha apne mamma aur daddy ka patch up karwaane hi aayi hu.Maahir aur Bela ka patch up?? Are you kidding me? Bulbul's eyes fall on the woman who made that remark. She was Mrs. Sarna, Daksh and Suhaani's mother and she never liked Maahir just like Ranjit and even their thinking too was alike but Mr. Sarna, their father alongwith both Daksh and Suhaani always liked Maahir and even wished that they get reunited. On hearing the comment made by Mrs. Sarna, Mr. Sarna said, "Bas bhi karo kyu bachchi ke saamne ye saari baate bol rahi ho. Usko bura lag sakta hai na. Mrs. Sarna replied, "Ab jo sach hai vo to sach hai na, hamaari Bela ke saath usne jo kuch bhi kiya hai uske baad to aisa hona hi nehi chahiye. Kaha hamaari phool si bachchi aur kaha vo Maahir, after all class naam ki bhi to koi cheez hoti hai na. Madhu too never fully whole heartedly like Mrs. Sarna especially due to her constant ranting about class and all and comparing everything under its measure. So she said to Mrs. Sarna, "Bhabhi vo kya hai na vaise mera jo jamaai kisi se koi kam nehi hai, abhi heere ki kadar to sabko hoti nehi hai. Hamaare saamne aap kuch bhi kahiye bas meri bachchi ke saamne uske papa ki beizzati mat kijiye. Mrs. Sarna made a face and replied, "Jiji aap chahe kuch bhi kahiye, sachchai to isse chup nehi sakti hai. Bulbul was listening to everything and was getting very irritated at those comments and so she pulled a chair from somewhere and then put it in front of Mrs. Sarna and stood up on it and then said to Mrs. Sarna, "Mere paas meri naani hai isliye main aapko aunty naani bulaaungi. Abhi mere ek question ka answer do kya mere daddy ne aapke muh se aapka favourate chocolate cheen liya tha jo aap mere daddy ke baare mein aisi baate kar rahi ho? Dekho aunty naani, mere daddy ke baare mein aisi baate jo koi bhi karta hai na vo log mujhe bilkul bhi pasand nehi hai aur agli baar agar aapne mere daddy ke baare mein aisa vaisa kuch bhi bola na to main aapke khaane mein cockroach daal dungi, aapke face powder mein khujli waala powder mila dungi aur na aapke ye jo designer kapre hai na unki bhi shakal bigaad dungi, in short, main aapka jeena haram kar dungi. Meri naani se pucho main aisa sach mein kar sakti hu mera koi bharosa nehi hai. Bulbul was saying all this putting her hands on her waist and Mrs. Sarna looked at Bulbul with shock in her eyes and seeing that Daksh, Suhaani and their father were smiling pressing their lips. Mr. Sarna whispered to Madhu, "Madhu ab jaakar na ghar mein koi aaya hai jo teri bhabhi ko sabak seekha sakey. Uff!! Jhand banaakar rakkhi hui hai mere aur mere bachcho ki life. Madhu too whispered back, "Aap fikar mat karo bhaiya ye to Bela ke papa ko bhi nehi chorti hai. Mr. Sarna then held Bulbul's hand and made her come down of the chair and asked, "Achcha Bulbul beta aapke paas to aapke nanu bhi hai, phir aap mujhe kya bulaaogi? Bulbul looked at Mr. Sarna and replied, "Vo jo Canada mein hai vo to Dracula hai, par aapko main naanu bula sakti hu agar aap mere daddy ke baare mein galat nehi bolenge to. Mr. Sarna replied, "Arey nehi nehi hume to Maahir bohot pasand hai. Bulbul gave a broad smile hearing that and then she said to Mrs. Sarna, "Aunty nani agar phir se daddy ke baare mein kuch bola to naam badal kar Dracula nani bana dungi, vaise bhi bilkul Count Dracula ki sister lagti ho. Chalo abhi mujhe mera room dikhaao mujhe fresh up hona hai. Mrs. Sarna called the servants and asked them to take them to the guest room and hearing that Bulbul had to share her room with Madhu she made a face and said, "Huh!! Mere daddy ke ghar mein bhi mere liye ek alag room hai aur yaha aaye hai mere daddy ke baare mein ulta seedha bolne. Saying she left from there and seeing Bulbul's attitude Suhaani and Daksh surrounded Madhu and Daksh said, "Bua Bela di ne kya kha kar paida kiya hai isko, ekdam atom bomb hai. Madhu replied, "Meri Bela ka jab 5va mahina chal raha tha na tab usko mirchi ke achaar ka bara craving hota tha. Pata hai ek haath mein chocolate aur ek haath mein achaar ka dabba lekar bethti thi, tabhi na meri naatin thori meethi aur thori teekhi bani hai. Vaise meri bachchi bari smart hai, samajhdaar hai, meri saari baate jhat se maan jaati hai par na isko agar kisi cheez ke liye manaa karo ya iske papa ke baare mein kuch galat bolo to bas iska dimaag kharaab ho jaata hai, tab to missile ban jaati hai aur aaju baaju koi dikhaayi nehi deta. Suhaani replied, "Ok bua abhi aap jaakar rest karo. Hum baad mein dher saari baate karenge. Madhu nodded her head and too left from there.
At night, Maahir brought Bulbul in his house while she was asleep in his arms. She was very tired and also because of jatlag she fall asleep in the evening and so without waking her up Maahir brought her home. He took her into her bedroom, which he decorated himself and made her sleep on her bed. After that he got freshen up and decided to make some light food for themselves and so he made some rice and lentil. After finishing cooking, he suddenly remembered that Madhu gave him a packet and had also told him that it was something which he needed. He opened the packet and found a pen drive inside it and so he plugged it into the TV and put it on. It contained many videos and played the 1st one of them.
VIDEO 1 (In the intro scene it was written 2 years) : Someone walked inside a room calling out Bulbul's name and by the voice it appeared to be Madhu. Madhu looked here and there but could not find Bulbul and was about to leave when she heard a sound coming from under the bed. She put the mobile camera in an angle on the table and put the glass down and looked under bed and found a very little, almost about 2 years of age, lying down on her stomach and covering her face with her tiny hands. She asked, "Bulbul tu neeche kya kar rahi hai puttar? Bulbul removed her hands from her face and replied, "Naani dudu... ganni dudu! Bulbul covered her nose and squeezed her eyes and seeing her antics, Madhu laughed out and said, "Oho to Bulbul ko dudh ganda lagta hai aur isiliye bed ke neeche chup hui hai. Chal puttar bahaar aaja. Bulbul angrily nodded her head and seeing that Bela replied, "Puttar dudh nehi peeyegi to jaldi bari kaise hogi? Haddiya nehi mazbut banni hai aur tu to mera bahaadur bachcha hai. Aaja puttar! Bulbul scolded Madhu and said, "Aappp!! Bubbu ganni dudu na na! Madhu said, "Haayo rabba mujhe daat rahi hai? Thik hai main to Bulbul ke liye banana waala dudh lekar aayi thi jo Bulbul ke daddy ko bhi bohot pasand tha. On hearing about her father, Bulbul looked at Madhu and asked, "Daddy?? Daddy nana (banana) dudu? Madhu replied, "Ha tere daddy ko bara pasand tha ye to par abhi Bulbul peena nehi chahti hai to kya kar sakte hai. Bulbul immediately crawled outside and said, "Bubbu nana dudu!! Madhu patted on Bulbul's cheek and said, "Ae hui na gal! Madhu gave Bulbul her cup of milk and she drank it without any more argument.
VIDEO 2 (3 years) : Bulbul was standing in front of the mirror and looking at her own image very angrily and was scolding that image. Bela came to Bulbul and asked, "Bulbul beta aap kisko daat rahe ho? Bulbul replied, "Mamma Bubbu aapshe katti hai, aap Bubbu ko pyal ni katti. Bela covered and mouth and said, "Haww!! Mamma Bulbul se pyar nehi karti ye baat kisne kaha aapko? Mamma to Bulbul se sabse zyaada pyar karti hai. Bulbul nodded her head angrily and replied, "Nei aap isshhe dada pyal katte ho. She pointed at her own image in the mirror and seeing that Bela burst out into laughter and replied, "Beta ye to aap ho. Bulbul widened her eyes and looked at Bela in a strange way and replied, "Main to yaha hu. Vo to ganni hai. Bela replied, "Vo gandi nehi hai, vo Bulbul hi hai. Dekho jaise mamma yaha bhi hai aur waha bhi thik vaise bhi Bulbul yaha bhi hai aur waha bhi. Saying Bela hugged Bulbul and picked her up in her arms and pointed at the mirror and seeing that Bela hugging, according to her, another girl, she almost forcibly got down of Bela's arms and then picked up Bela's one of the perfume bottles and threw it on the mirror pointing at her image thus breaking it and then she started crying loudly.
Maahir was watching the video and he had tears in his eyes and he imagined himself with them in the video.
[Maahir's imagination]
"Oye hoye mera bachcha ro kyu raha hai? Maahir came there while Bulbul was crying so loudly and seeing him, she raised and stretched her arms signalling him to pick her up. When Maahir picked her up, Bulbul said, "Daddy mamma musshe pyal nei katti, vo usshe pyal katti hai. Saying she pointed at her own image at the mirror. Maahir, too could not stop smiling on seeing that Bulbul was thinking her own image to be another girl. Maahir pretended to be very angry and said to Bela, "Mamma ye bohot galat baat hai, aapko Bulbul se zyaada pyar karna chahiye na aur... uske papa se bhi. Aap Bulbul ke saamne kisi aur ko pyar karoge to obviously usko to gussa aayega hi na. He then wiped Bulbul's tears and then replied, "Meri baby ko jisne rulaaya hai na daddy usko punish karenge abhi. Saying he punched at the screen and scolded the image just like Bulbul and seeing that Bulbul clapped. After that Maahir kissed on Bulbul's cheeks and said, "Chahe Bulbul ko oi pyar kare ya na kare, daddy Bulbul se bohot pyar karte hai. Hai na baby? Bulbul nodded her head and seeing that Bela replied, "Mamma bhi to karti hai na... Dekho. She too kissed on Bulbul's cheeks and then Bulbul too kissed her back and then Maahir said to Bela, "Aur Bulbul ke daddy ke liye kuch bhi nehi hai? That's not fair!! Bela nodded her head and replied, "Nehi kuch bhi nehi hai. Saying she started walking away while Maahir followed her calling her name with Bulbul in his arms.
[The imagination ends]
"Daddy!! Daddy!! Bulbul knocked on Maahir's shoulder which brought him back from the world of his imagination and he looked at her with a jerk. He was so lost in his world that he stared at Bulbul for sometime and then asked, "Beta aap uth gaye? Bulbul replied, "Ha vo bhukh lagi thi to neend toot gayi. Mujhe khila do na daddy bohot bhukh lagi hai. Maahir smiled and put the the TV off and replied, "Chalo maine bhi dinner bana liya hai. Bulbul made a face and replied, "Par na main chole kulche nehi khaaungi mujhe achcha nehi lag raha hai. Pata nehi ajeeb sa kar raha hai. Maahir looked at her and then asked, "Kyu kya khaaya waha? Bulbul replied, "2 kulfi khaayi thi tabse aisa ho raha hai. Maahir gave her a fed up look and said, "To beta aapne khaaya kyu? Mamma ne kaha tha na ke aisa vaisa kuch nehi khaana. Ye climate aapke liye naya hai beta, ek do din ruk jaate phir main aapko khud khilaata. Aapko thand lag gayi hai tabhi kuch bhi achcha nehi lag raha hai. Isiliye aaj maine chole kulche banaaye bhi nehi hai. Sirf dal chaawal banaya hai aaj aap yehi kha kar so jaana, dekhna achchi neend aayegi. He served food for them and as Bulbul was feeling really very sick, she didn't want to eat by her own and so Maahir had to feed her and after having dinner Bulbul went to sleep. Maahir lied beside her and patted on her back and Bulbul asked, "Daddy headache ho raha hai, koi medicine de do na? Maahir replied, "Beta ye thand ke vajah se hai main sar dabaa deta hu aap sone ki koshish karo. Iske liye medicine ki koi zarurat nehi hai. Bulbul replied, "Par mamma to de deti thi. Maahir said, "Par har choti moti cheez ke liye medicine lena achchi baat nehi hoti. Aap sone ki koshish karo, main aapke pero par oil massage kar deta hu dekhna kal subhe sab choo mantar ho jaayega. Maahir heated some mustard oil and then massaged Bulbul's feet and after sometime she fall asleep.
Next morning, Bulbul woke up earlier than her time and found Maahir was sleeping on the couch beside her bed and she was surprised seeing that as Bela never did that for her. She called Maahir and he woke up hearing her voice and he rushed to her thinking she might be needing her help. Maahir cupped her face and checked her forehead and asked, "Aap thik ho beta? Bulbul replied, "Main perfectly fine hu daddy par aap couch par kyu so rahe hai? Maahir replied, "Baba aapki tabiyat thik nehi thi kal to main aapko akele kaise chor sakta hu? Aapko kabhi bhi zarurat par sakti thi to main aapke room mein hi so gaya. Aaj main pura din aaphike saath rahunga. Bulbul was surprised and asked, "Par aapko office nehi jaana? Maahir replied, "Beta aap 8 saal baad apne daddy ke paas aaye ho aur upar se aap bimaar ho main aapko chor kar kaise ja sakta hu? Main aaj office bilkul bhi nehi ja raha hu. Bulbul was surprised and was happy thinking that the time which she never got from Bela might now get from Maahir and so she said, "Par mamma to kabhi bhi nehi rehti hai, ek baar mujhe bohot fever hua tha par tab bhi mamma office chali gayi thi. Maahir felt that there was a vacuum in Bulbul's life which was created due to Bela not giving her time and so in order to cheer her up, he said, "Kyuki mamma ke office mein unke papa boss hai, QUEENS aapke naanu ki hai par KINGSTON aapke daddy ki hai. Aapke daddy ke office mein wahi boss hai. Main jab chahu chutti le sakta hu aur mujhe bolne waala koi nehi hai. Saying he winked at her and Bulbul was very excited on hearing that and said, "Really?? That's cool! Maahir said, "Ok aap rest karo main breakfast banaata hu aur saath mein lunch ki bhi tayyari kar leta hu. Bulbul made a face and said, "Main sote sote bore ho gayi hu, main aapki madat karu kitchen mein? Maahir patted on Bulbul's cheeks and replied, "Beta ye aapka ghar hai aap jo chahe karo aapko kisise permission lene ki koi zarurat nehi hai bas don't do anything dangerous. Bulbul nodded her head and accompanied her father in the kitchen. Bulbul sat on the cooking area where vegetables were kept and while Maahir was arranging the things, she was washing the vegetables as shown by her father. Bulbul asked, "Daddy main aapse ek baat kahu? While Maahir was cooking the breakfast replied, "Ek nehi 10 bolo beta. Bulbul replied, "Daddy mujhe Canada waapas nehi jaana hai par ye baat maine abhi tak mamma ko bataayi nehi hai varna vo to aane nehi deti. Please mujhe yaha se nehi jaana hai, please kuch karo na taaki mamma mujhe yaha se lekar na jaaye. Mujhe waha achcha nehi lagta hai. Ye baat jab maine naani ko bataayi to unhone kaha ke isse legal complications hogi na, aap mujhe yaha apne paas nehi rakh sakte hai kyuki main Canadian citizen hu na. Bolo na daddy aap mujhe apne paas nehi rakkhoge? Maahir knew that no matter how much he wanted to keep Bulbul with her, there will really be legal complications to that since Bulbul was too small to be kept away from her mother and he will never win any legal battle against Bela to keep Bulbul with him. He put off the gas and said to Bulbul, "Bulbul beta... aap mera bachcha ho, meri jaan ho, main aapko kyu nehi rakkhunga apne paas? Main to chahta hi yehi hu ke aap mere paas hi raho yahatak ke jabse mujhe aapke baare mein pata chala hai I always wanted to bring you back to me but... naani sahi kehti hai legal complications hai par vo isliye nehi ke aap Canadian citizen ho kyuki main Indian citizen hu usme koi problem nehi hai par aap bohot chote ho aur aapko kisi bhi country ka koi bhi law aapki mamma se dur nehi karega. Bulbul said, "But daddy mujhe us ghar mein achcha nehi lagta hai. Mamma aur naani mujhe pyar karti hai par Dracula na hamesha mere saath bohot cold hai. Saare grandparents kitne achche hote hai, sab apne grand kids ke saath kitne pyar se rehte hai lekin Dracula na mujhe kabhi pasand nehi karte the jab bhi main kuch karti thi na to hamesha yehi kehte the ke main aapki beti hu aur phir aapko bura bhala kehte the, har baat par mera ghar mera ghar' kehte the. Maine mamma ko kitni baar bola par mamma kabhi meri baato ko seriously nehi leti hai, main badmaashi karti hu isliye Dracula aisa kehte hai. Vo hamesha mamma ko mujhse dur rakhte hai, tabhi mamma mujhe time nehi deti hai. Main sab samajhti hu daddy lekin koi bhi meri baat nehi sunta hai. Main jaanti hu vo mamma ki shaadi isiliye karwaana chahte hai taaki main mamma se dur ho jaau. Kabhi kabhi pata hai mujhe lagta hai ke agar mamma nehi hoti na to vo mujhe kabka ghar se nikaal dete. Aap to mujhe ghar se nehi nikaaloge na? Maahir was deeply hurt on hearing how much Bulbul was feeling insecured to stay in Canada and also understood that her naughty nature was created due to that insecurity of her. Maahir hugged Bulbul tight in such a manner as if he was trying to protect her from all her sorrows and he said, "Aapko Canada nehi jaana hai na to aapko Canada koi nehi bhejega, aapko nehi jaana parega waha aur ye aapke daddy ka waada hai aapse. Chahe mujhe kitni bari legal war larni pare aapke mamma aur unke papa ke saath main larunga. Meri bachchi apne ghar mein rahegi apne daddy ke saath. He broke the hug and looked at her and said, "Aapke Dracula naanu ne meri life bhi jhand banaayi hai aur main aisa unko aapke saath kabhi nehi karne dunga. Aapke Dracula ko abhi ye samjhaane ka time aa gaya hai ke unki beti pati shaayad thora sa weak tha lekin Bulbul ke daddy bohot strong hai and no one can take you away from me. It's a promise!! He kissed on her forehead and then said, "Don't worry! Chalo abhi breakfast karlo! Bulbul came down and then asked, "Daddy aap mujhe Kuhu bua, Rohit uncle se kab milwaaoge? Maahir replied, "Kal!! Promise!! She said, "Aur chipkali se? Vo kya hai na war par jaane se pehle dushman ke baare mein jaan lena chahiye. Maahir was happy that Bulbul had returned to her old self and he said, "Bulbul baro ke baare mein aisa nehi bolte hai beta, main mana kiya tha na aapko? Ver bad!! Bulbul replied, "Achcha?? Jab main Reyhaan uncle ko chimpanjee bulaati thi tab to aap kabhi manaa nehi karte the? Vaise bhi main kaunsa kisiki baat sunti hu, main to hamesha apni hi karti hu. Maahir understood that it was useless to argue with her and so he decided not to explain anything to her and took her to feed her breakfast.
CHAPTER - 13
Originally posted by: -Paulomi-
<font face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3" color="#9900ff">I was about to give an update regarding the past but due to demand I had to give an update about the present.</font>
Originally posted by: fortitudeoth
Past or present, it doesn't matter, we are happy with any update! I can't stop reading this story! It's too good. As always, waiting for the next one 😆
Originally posted by: Pratiksha_A
It is to gud... u r awesome... really waiting for bela to come to Delhi... plz if possible this time update as soon as possible
Yeah
U finally updatedAwesome as usualPlz give past present future every updateBut plz give them soonMeans super soon