mayur scene:
Mayank n nupur r reading their scripts bt nupur is not able 2 focus on them,she is thinking about gunjan and the pain through which she is going right now...Mayank(instead of looking at nupz):chalo nupur jaldi se aaj hi hume saari lines yaad karni hogi...kyunki main nahi chahta ki hum dono mein so koi bhi apni lines bhoole aur haan tum please apni taraf se koi extra lines add mat karna..then he turns 2wards nupz n finds her thinking something...he mutters 2 himself:are waah mayank sharma!!!lagta hai aaj suraj pashchim se nikla hai..tabhi toh aaj tujhe nupur ke saamne apni poori baat kehne mili hai...then he puts his hand on nupz shoulders and asks:kya hua nupur?koi problem hai kya??tum bahut khoyi khoyi lag rahi ho...nupur:nahi toh...mayank:kuch toh baat hai....tum mujhe bataa sakti ho..ho sakta hai koi solution mill jaaye tumhaari problem ka...nupz:wo main...suddenly miss tamanna comes and alots classrooms 2 each couple 4 practicing....MAYUR in the classroom-MAyank:ab yahaan koi nahi hai...tum mujhe apne dil ki baat bataa sakti ho..nupur:main gunjan ke baare mein soch rahi thi..samajh mein hi nahi aa raha hai ki kyaa karoon...mayank:gunjan ke baare mein???kya hua hai usko???maine bhi notice kiya hai ki wo aajkal bahut khoyi khoyi rehti hai..nupur:ye pyaar cheez hi aisi hai...achhe khaase insaan ko kyaa se kyaa banaa deti hai...mayank:nupur ye tum keh rahi ho???tumhe to pyaar par bahut vishwaas tha...ab kyaa hua???nupur:haan mayank mujhe aaj bhi pyaar par bahut vishwaas hai par gunjan ke pyaar par bilkul vishwaas nahi hai...mayank:gunjan ka pyaar???nupur ye kaisi baatein kar rahi ho??seedhe seedhe bataao ki hua kyaa hai??/nupur:gunjan ko pyaar ho gaya hai..mayank:kya?kisse?kab?kaise?nupur:samrat se...mayank:apne samrat se???nupur:haan apne samrat se...mayank:ye samrat to bada chhupa rustam nikla...nupur:nahi mayank,tum galat samajh rahe ho...samrat to iss baare mein jaanta bhi nahin hai..mayank:kyaa???nupur:haan..samrat sirf gunjan ko apna dost maanta hai aur gunjan ye maan ke baithi hai ki agar usne samrat ko kuch bhi bataaya to unki dosti toot jaayegi...aur issi liye wo samrat aur sheena ko sath sath dekhkar ghut ti rehti hai...mujhe to samajh hi nahi aa raha ki main uska kya karu..mayank:uska maahaul(atmosphere) change karo..nupur:kya?mayank:haan..kal sunday hai..tum aisa karo..kal tum aur gunjan mere ghar aa jaana wahan main,tum aur maa milke uska mood thik karne ki koshish karenge..nupur:thanx a lot mayank...hum kal zaroor aayenge...