Rajarajeswari Polali DT Nt pg 8 - Page 3

Created

Last reply

Replies

286

Views

39.1k

Users

17

Likes

447

Frequent Posters

ltelidevara thumbnail
Visit Streak 1000 Thumbnail Visit Streak 750 Thumbnail + 8
Posted: 8 years ago
#21

Originally posted by: DeepVeerPhoenix

Bookmarking.

Thanks for making a thread in main forum Lakshmi
I'm glad to here you are a lecturer in Sanskrit.
There's a lot more we can get to learn from you. Waiting for the story to progress further

Thanks a lot. It is my pleasure to interact with mytho enthusiasts like you.

Lakshmi


ltelidevara thumbnail
Visit Streak 1000 Thumbnail Visit Streak 750 Thumbnail + 8
Posted: 8 years ago
#22
@ Luna 99


Agree with what you said. Totally.




Lakshmi
Mahakaali thumbnail
Posted: 8 years ago
#23
I am sorry agar mai reply next 24 hours me na de paau.. actually I am new on IF aur mai 24 hours me 10 se jyada msg nahi ka sakti isiliye kal bhi mai conversation puri nahi ka paai thi n plzz bura mat manana.. I will reply later but jab tak I can we can talk :)

Now maine kabhi kisi purana ko padhte waqt ye nahi socha ki vo male POV se likhi gai hai ya female POV se seriously N now you said so I wanna say that jo story lakshmi di ikh rahi hai vo bhi Markandeya Puran ki hai.. You talked about Shiva Purana to Shiva Purana me sirf shiv ji ke bare me nahi unke according jeevan darshan hai even Garun Puraan me to jeevan me kiye gaye bure karm ke according dand jo milega aatma ko vo bhi hai... tumne kaha ki shiv puran shiv ko glorify karne ke liye likhi gai h.. this thinking is so wrong.. Naryan puran, adishakti, maha-lakshmi, ganesha, kartikeya aisi koi purana nahi to iska kya matlab h unhe glorify nahi kiya gaya??? Ma'am geeta, ramayana jitne bhi granth h vo kisi ko glorify karne ke liye nahi jeevan darshan ke liye h..jeevan ko perfect banane ke liye, maunshya ko satkarma ka mahatva samjhane ke liye aur manav us parbrahma ko prapat kar sake isliye.. kisi bhi puran ka maksad kisi ko glorify karna nahi...

forget about show.. maine apne kisi bhi comment me show ke liye nahi kaha.. maine likha tha ki kai log aur kai granth me likha hai ki parvati ko adi shakti tak pahuchane ke liye yatra karni padi thi aur isi yatra me unke dwara pahchane gaye rupo ko ham Nav-Durga kahte hai.. Pravti apna adi-shakti roop nahi janti thi but yeah I agree she knows about sati aur vo uska hi punar-janam h but use yaad nahi tha ki us janam me actual me kya hua tha...Maine kabhi nahi kaha ki show me kya, kyun dikha rahe.. di ne likha to maine apna view diya ki kahi jagah ye bhi likha hai ki unhe yaad nahi tha... local stories, logo ke belief jude hai usse yahi kaha tha maine.. Kai temple hai India me jo us katha se jude hai aur kai logo ke belief hai.. DKDM show me bhi dikhai thi parvati ki yatra jisme vo fir matsya kanya ke roop me janam lekar ekagrata ke bare me seekhti hai jo ki usi katha ka part hai ab vo Mahadeva ka show tha to jyada nahi bataya... Parvati ne apna aadi-shakti swaroop itni easily nahi jaana tha.. vo Adi-shakti hai but vaha tak pahuchane ke liye unhone kadi sadhna, tapsya ki thi aur sansar ko seekhaya tha ki agar manushya dradh nishchay kare aur parmarth ki bahvna se kaam kare to vo paramishwar ban bhi sakta hai aur unhe paa bhi sakta hai..

Parvati Adi-shakti hai but unki deh Manushya ki thi.. vo param-ishwar hai but unhone manav roop me janam liya tha.. Jab vinayak ka sir kata tha tab Jagdmba ne jisne khud ye sansar banaya aur jiski santan ham sab hai unhone swayam ye sansaar ko nasht karne ka prayas kiya tha vo prayas kiya tha unhone swayam ek putra ke liye apni sabhi santano ko nashta karne ka nishchay kiya tha.. vo galat nahi thi vo hua tha unki manav deh ke karan.. Manav deh ke karan apne putra ki mratyu se shok grasit hokar unhone trideva ko unki bhool samjhane ke liye vo kadam uthaya tha.. aur baad me Mahadeva se maafi bhi mangi... Aur yahi hua tha Mahakaali aur rakhtabeej yudh me.. Mahakaali ne Rakhta-beej ke rakhta ka paan kiya jiske karan vo apne krodh par kaabu hi nahi kar paai aur Mahadeva par unhone paav rakha.. kahi se bhi padho usme yeh likha hoga ki Mahakaali ne jab Mahadeva par Pair rakha to unhe kitna dukha hau tha.. Adi-shakti ka pura control tha Mahakaali par but Parvati ka nahi kyunki unki deh Manav ki thi.. Parvati ne Mahakaali ke roop me Mahdeva ko nigal liya tha aur dhommvati bani thi.. us samay bhi unhe apaar dard hua tha aur yr prakriti sringar vihin hui thi... ab Parvati ki deh to manushya ki thi unhone ye sab kiya yeh samjh aata hai kyunki deh itni urja sah nahi paati thi but Adi-shakti ne aisa kiya kyu?? agar ye janane ki koshish ki hoti to yahi in kathao ka saar hai.. Adi-shakti pram ishwar hai.. unhone aisa kiya Devo, Manavo aur rakshaso ko jeevan darshan dene ke liye... Pravati ne vinayak ka sir katne ke baad sansaar ka naash karne ki koshish ki to yeh seekhane ke liye ki ek maa ke samne jab uske abodh balak ki mrityu hoti hai to uski peeda pure sansaar milkar bhi kam nahi kar sakta.. tab vo pure sansaar ko nashta kar sakti hai.. ek mata ko hi sansaar ko nasht karne ka adhikaar hai kyunki janam bhi vahi deti hai... Mahakaali ne jab Mahadeva ko nigla to unhone sansaar ko ye seekh di ki ek mata shaktishaali hoti h vo apne putro ke liye ishwar se bhi lad jaati hai.. unhone sanaar ko dikhaya ki agar bhakt ki bhakti me shakti ho purna aastha ho to vo maa se kuchh bhi prapta kar sakta hai.. Maa uski raksha ke liye Swyam Mahadeva ko bhi nigal jaayegi.. fir ek patni ne jo apni Mamtwa me bhool ki uske karan unhone dhumavati ka roop liya.. unhone sansaa ko seekh di ki jab ek naari harti hai ek patni ke roop me to uski dasha, uska roop kaisa ho jata hai.. vo shaktishaali, pujayniya hokar bhi khud shok-grasit hoti hai... Mahakaali ne Mahadeva par pair rakha isse hame seekh milti hai jab koi purush naari ka apmaan karta hai to naari prachand roop leti hai.. is sansaar ko tahas-ahas kar deti hai aur fir uske samne swayam Mahakaal ko bhi jhukna padta hai.. Yeh saari kathaye kisi ko glorify, sahi ya bada saabit karne ke liye nahi hai.. ye kathaye jeevan-darshan ke liye hai.. satya ki khoj ke liye hai... Yeh Manushyake liye hai jisse vo param-ishwar ko paa sake na ki unko bada ya chhota sabit kar sake...ye kathaye hai jisse manushya seekh sake ki sab ek hi hai.. Param-ishwar ek hi hai jise ham alag-alag naamo se jante hai aur poojte hai... Mahakaali me hi Mahakaal hai aur Shiva me hi Shiv...

Mai yaha aa hu aur maine di se apna view kaha tha ki jo mai janti hu vo mai unhe bata saku aur jo vo janti hai vo mujhe.. Mujhe koi matlab nahi ki vo show me kya dikha rahe aur kitna sach hai vo kyunki sach kya hai kyu hai aur kon si katha hai kon si manyta sach h agar yeh ham jante to ham manushya to nahi hote aur na yaha par discuss kar rahe hote.. vo log jo bhi dikha rahe hai vo utna bhi thik hai jab tak usse achhi seekh milti hai kyunki aajkal ke yuga me iski jarurt hai.. purane time me hamari daadi, nani hame kathaye sunaati thi, ham bachpan se dharmik serial dekhte hue bade hue.. us time par hamne agar vo nahi dekha hota to shayad hame bhi ruchi nahi hoti isme aur na hi aaj ham is serial ki authenticity par debate kar rahe hote.. is serial ko dekh kar mere bhai bahan hamare culture ke bare me janane ke liye inspire ho.. vo bhi padhna start kare tab bhi mere liye yeh bahut hoga.. duniya me har chij me burai aur achhai hai..ham kya dekhte hai yeh hamara chayan hai... aur rahi baat actors ki to achhe actors honge to jyada se jyada log dekhenge.. jaan payenge, prabhavit aur inspire honge apne grantho ko janane ke liye... Agar jo tum kah rahi ho vo hi karna hai to jarurt kya hai serial banane ki ham aastha channel dekh sakte hai..usme stories har grantha ki prakand pandit bolte hai to kya vo har koi dekhta hai?? kya vo bache dekhenge?? usse kuchh seekhenge??? aajkal ke Mythological shows me distortion hota hai but kam se kam isse bache hamare culture se to jude hai.. ham itna jaan gaye hai isiliye ham achha aur bura, kharab, glorify, originality ki baate karte hai but ek bache ke liye to na kuchh bura hota hai na hi achha, na kuchh kam glorify na kuchh jyada, na satya na astya.. vo to har cheej ko saman bhaav se grahan karta hai isiliye kahte hai bacho me ishwar ka vaas hota hai.. aur hame usi bhaav se sab grahan karna chahiye... jaise-jaise ham bade hote hai jitne jyada puraan padhte hai utna hi unke artho ko janane me yeh moolbhoot siddhant bhool jaate hai.. tumne apne comment me buri baate likhi even ek jagah Wt* bhi likha tumhe isse un logo ko kya farq pada sirf tumhari jabaan gandi hui bahan... baaki tumhari ichha tumhe jis cheej ka chayan karna ho tum free ho.. Maine bas apna view likha tha aur rahi baat serial ki to agar vo achhi baate dikhate hai aur actors achha kaam karte hai aur log unseinspire hokar uske bare me aur janana chahte hai to vo mere liye achha hi hai.. n lastly Its pleasure to talk to you :) apni baat adi-shati aur Mahadeva ko yaad karte hue khatam karna chahungi :)

Shrishti Sthiti Vinasham Shakti Bhute Sanatane

Guna Shaye Gana maye Narayani Namaustute.

Meaning: We bow to the first female, The eternal energy who creates, sustains and destroys all the elements i.e. tatva and the one who is truly supreme spirit (Nirgun) at the time who encapsulate all the attributes for Generation, Observation and Destruction.


Jai Mahakaal... Jai Mahakaali...



Edited by Mahakaali - 8 years ago
RisingPhoenix thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#24
^yes you are right about the glorification part. But what I think is DKDM being a Mahadev centric show could take that liberty but in a show named after Mahakaali showing Parvati as a mere mortal who knows nothing about her self is unacceptable atleast to me.
Maine humesha yahi padha hai ki Maanav deh ki hi vajah se MaParvati ne almost 1000 years tapasya karke phir apna AdyaShakti roop dharan kiya tha. And then after she married ShivJi. And we are talking about the serial here. When they didn't want to show Parvati/Mahakaali as the main character here they shouldn't have named the show after her.
Devi Mahatmya is a part of Markandeya purana. And that's what lakshmi di is posting.
It's called Devi Mahatmya/ Devi Bhagvatam Puran for its about the Devi.
It's just because Parvati Ma saying 'mai sadharan manushya hu' is something undigestible. Tell me when a show based on Mahabharat is made, after dilevering the gita does Krishna say he got it from Shiva in the form of Shiva Gita in ramavtar? No. Why? Because here we are watching Sri Vishnu's avatar Krishna as the parabramhan. Why not the same for Mahakaali? Why for a show named on her take such major stories form other Puranas? That's what we meant to say. Which among the purana's is true is not the topic of discussion. After all the Tridev and Tridevi are equal. But when a show is made on Adya shakti why make her character so sloppy? That's the only question we have from the makers.
Edited by DeepVeerPhoenix - 8 years ago
Mahakaali thumbnail
Posted: 8 years ago
#25

Originally posted by: DeepVeerPhoenix

^yes you are right about the glorification part. Bt what I think Luna wants to say is DKDM being a Mahadev centric show could take that liberty but showing Parvati as a mere mortal who knows nothing about her self is unacceptable atleast to me.

Maine humesha yahi padha hai ki Maanav deh ki hi vajah se MaParvati ne almost 1000 years tapasya karke phir apna AdyaShakti roop dharan kiya tha. And then after she married ShivJi. And we are talking about the serial here. When they didn't want to show Parvati/Mahakaali as the main character here they shouldn't have named the show after her.
Devi Mahatmya is a part of Markandeya purana. And that's what lakshmi di is posting.
It's called Devi Mahatmya/ Devi Bhagvatam Puran for its about the Devi.
It's just because Parvati Ma saying 'mai sadharan manushya hu' is something undigestible. Tell me when a show based on Mahabharat is made, after dilevering the gita does Krishna say he got it from Shiva in the form of Shiva Gita in ramavtar? No. Why? Because here we are watching Sri Vishnu's avatar Krishna as the parabramhan. Why not the same for Mahakaali? Why for a show named on her take such major stories form other Puranas? That's what we meant to say. Which among the purana's is true is not the topic of discussion. After all the Tridev and Tridevi are equal. But when a show is made on Adya shakti why make her character so sloppy? That's the only question we have from the makers.


Aur adi shakti, Mahakaali ki story sirf Devi Puraan me hai?? kya vahi hai ek?? uske alawa kuchh nahi?? tum kah rahi ho usse lekar nahi banaya ar shayad usse lekar banaya hota to dusre log agar yahi same chij bolte to vo galat hote? jitni bhi Mahabharata bani usme Geeta puri ki puri dikhayi gai ho aisa ek bhi show nahi.. na hi usme pura chraritra bataya kisi bhi nayak ka to fir Mahabharata dikhana hi kyu?? agar Mahabharta dikhani hai to unhe puri geeta ke ek-ek shlok bolne chahiye na?? to fir kyu nahi dikhate?? mera vahi jawab hai jo maine last para me diya yeh sab Aastha channel par bhi dikhate hai but use bache, aur aajkal ka youth kabhi nahi dekhega even mai nahi dekh paati not know about you.. to fir aise serial banakar fayda bas yahi isse ham log aur janane ke bare me inspire hote hai... aur mai tumhe yakeen dilati hu agar story Devi Mahatmya ke according chal rahi hoti aur koi uska lekar bhi question karta to bhi mera yahi reply hota.. kam se kam hame kuchh to pata chal raha hai..kuchh ham discuss kar rahe us karan.. new baate seekh rahe aur story padh rahe.. dekho jab maine dekhna start kiya tha to I know ki vo distortion karenge aur maine fir bhi dekhna accept kiya aur dekh rahi hu cause iske karan itna sabkuchh janane ko mila.. I understand ur views aur mai samjh rahi hu tum log kya kah rahe.. hope next jab adi-shakti par serial bane to vo Makandeya Purana se bane.. I also wanna see that story
RisingPhoenix thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#26
^par problem yahi hai jab ShivJi ya VishnuJi ki life pe stows bante hai tab 'major stories' kabhi bhi un puran ya geeta se milenge jo unko Parabhraman manti hai. Isi liye DKDM bohot accha show raha. Toh yeh show hi aisa kyu? Exactly. Lekin Mahabharat me shiva puran me jo story hai shiv geeta ke bare me woh toh nahi dikhate. Toh yaha Devi Mahatmya se kyu nahi?
Aur actual problem yeh hai ki agar show ke makers Shiv puran ko refer kar rahe hai toh usme bhi Ma Parvati khud ko sadharan manushya nahi kehti. Aur ShivJi unhe adi shakto roop se atmagat karate hai yeh bhi maine nahi padha.
@lakshmi di correct me if I'm wrong here coz I've read shiv puran in parts and that too long back
Edited by DeepVeerPhoenix - 8 years ago
Mahakaali thumbnail
Posted: 8 years ago
#27

Originally posted by: DeepVeerPhoenix

^par problem yahi hai jab ShivJi ya VishnuJi ki life pe stows bante hai tab 'major stories' kabhi bhi un puran ya geeta se milenge jo unko Parabhraman manti hai. Isi liye DKDM bohot accha show raha. Toh yeh show hi aisa kyu? Exactly. Lekin Mahabharat me shiva puran me jo story hai shiv geeta ke bare me woh toh nahi dikhate. Toh yaha Devi Mahatmya se kyu nahi?

Aur actual problem yeh hai ki agar show ke makers Shiv puran ko refer kar rahe hai toh usme bhi Ma Parvati khud ko sadharan manushya nahi kehti. Aur ShivJi unhe adi shakto roop se atmagat karate hai yeh bhi maine nahi padha.
@lakshmi di correct me if I'm wrong here coz I've read shiv puran in parts and that too long back


Show ke makers kisi puran ko refer nahi kar rahe puri tarah se vo local stories aur purano ka mixture dikha rahe... Maine kaha tha ki maine yeh shiva n Garun Puran me padha hai aur hamre family tradition bhi jude hai usse.. isiliye maine tab bataya tha ki yeh bhi ek story hai... ab vo log aisa kyu kar rahe vo mai nahi janti but jaha tak mujhe lagta hai aisa isiliye kar rahe hai jisse interest bana rahe aur jo Mata ke different form hai jo ki unki adi shakti yatra se jude hai vo bata sake may be like Nav durga ki story, Sheetla Mata, Shakti peeth aur bhairav ke mukti ki story aur different local stories of north cause vo bina is yatra ke nahi dikha payege.. aur jaha tak mai show ke writer ko janti hu vo hamesha har puran ka mixture leta hai.. usne DKDM show me bhi Ramayna aur andhak wadh sath me dikhaya tha jaisa ki Ramayna me tha aur fir baad me Andhaka ko Mahadeva ne chhor diya tha jo kisi aur puran ke according tha cause Ramayana e according to Mahadeva tabhi trietra se use jala kar maar dalte hai... I can understand you.. Jab ham kuchh believe karte hai expect karte hai and faith rakhte koi use distort kare to it hurts but trust me agar ise is view se dekhogi ki shayad kuchh new janane ko mile.. Mata ke new roop pata chalenge to itna bura nahi lagega.. :)
Edited by Mahakaali - 8 years ago
RisingPhoenix thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#28
Thanks for understanding.
Bas mera discussion Puran ke part pe mostly nahi tha. Bas yeh tha ki show makers MaParvati ka characterisation itna weak na rakhe.
Bakhi we cannot change show. It's makers wish
RisingPhoenix thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#29
Well too serious of discussions here. To the main reason of this thread;
I'm eagerly waiting for mahishasur mardini part, lakshmi di.
Hopefully we will get to read it tomorrow
ltelidevara thumbnail
Visit Streak 1000 Thumbnail Visit Streak 750 Thumbnail + 8
Posted: 8 years ago
#30
Yashanshi.( Mahakali)

Sorry if the spelling is wrong.

I think you did not understand what Luna meant by glorification. Shiv Puran elevates Shiv as Parabrahma the supreme power.
Vishnu Puran glorifies Vishnu as the supreme diety.
Devi Bhagavat elevates Maa Shakti to the highest status.

All are written by Vyasa only. You talked about Markandeya Puran . There Markandeya Rishi is singing Devi's glory in Devi Mahatmyam. Rishi is not important there. The story is important.

We have mainly three cults based on the above three books. Saivaites,Vaishnavaites and Sakteyas. They used to fight among themselves.

Devi Mahatmyam is the most sought after book because it is a complete narration of Devi's glory unlike some other books where it is only a part of the story( except Devi Bhagawatam)

Next point Parvati's manushya rup. Unlike Sati Parvati is the complete manifestation of super power still to keep herself well equipped to bear the power Parvati did penance before marriage. She is well aware of her divinity. She knew her Sati story. If you want I will give you reference from Shiv Puran where Shiv Parvati conversation before marriage proves this.

You know what Ambika or Chandika is the super power who is Adi Sakti who created Mahakali. She is Parvati. She fights with Raktabij and orders Mahakali to drink the blood. In my story that part is yet to come. So Parvati's manushya rup as shown in the show is false.

Yes. Parvati learns Yoga from Mahadev but not as shown in DKDM.

Parvati many times descends to earth for different purposes and does penance to gratify Shiv. That doesn't mean she is a human.
She became Katyayani daughter of Katyayana rishi..

She comes down to Kanchipuram does penance because Shiv gets angry when she closes his eyes playfully. Ekambareswarar story is that only. The Saikat ling Parvati worshipped is still there.

There are many folk lores in India that are in circulation but we should first prefer what our Vedas,Puranas and Upanishads tell.

It really throws any one in confusion but we should always learn by reading,by searching,by discussing..knowledge is unlimited.

I would like to post here what I posted in another thread reg. Shiv Shakti.



Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".