special thanks to 'Rahil Qaazi'
"KADAK dialogues by BULLET RAJA"
-Jai shree Mahakaal. 😎
-Rani tumhari ankhon mien ansu hai,
aur ansu nazar ko dhundla kar dete hai,
ansu pocho aur phir dhekho...
tumhari nazar kharab hui hai,
hum tho pehle se bhi zyaada pyaare ho gaye hain!😆 😆
-Hum kya charane ki char santre ki goli hain, jab chaha kha liya jab chaha thuk diya.🤣
-Abhay Kapoor tumhari film ka the end,
aur humari aur humari rani ki film suru...
woh kya bolte hain?... 'AKSON' 😉
- humaare tauji kaha karte thhe ki lugai ke do kaam hote hain,
pehla, tave se utri huyi roti thandi nahi honi chahiye
aur dusra, pati ke kameez ki collar gandi nahi honi chahiye! 😆
-Raja banduk se nahin marta...pyaar se marta hai, Rani ke pyaar se...Aur Raja apni Rani ke pyaar se mar chuka hai.
-Tum dono ke liye kya daal baple laddoo mangaye... chalo uthao apna saman aur niklo😆
-Humare Tauji kehte hai ke agar aurat se prem karo, toh uske nakhre jhelo, uski zidd jhelo, uska gussa jhelo, par karo apne mann ki ! 😆
-SAALE...saale ho tum humaare ? 🤣
-Arre waah salesaab jigar mein gussa bhi leke chalte ho ? Dekho jagah dil mein honi chahiye, ghar mein toh apne aap ho jati hai.
- "Raaniii..." (plus the way he gives tharkey looks to her in front of sunny right at the end of the epi) 🤣🤣
-Aaurat k haath mein lachkan achichi lagti hai, muchkan nahi !!
-Kafi taakat hai in kalaiyo mein, or hogi bhi raja ki jo rani ho !!
-"Ab kya Minister se likhwa ker de...Jao paani lekar Aao..." 😆
-Loh, paani piyo...arre peelo nahin to behosh hoke gir padogi aur vaise bhi mujhe giray paday log bilkul pasand nahin hain, iss Abhay Kapoor ki tarah 🤣
-Yeh rona dhona baand karo. Vaise bhi hummain rona pasand nahin hai. Haan roolana bahut pasand hai. Abhi thodi der main aapko Abhay Kapoor batainge ke roya kaisey jaata hai 🤣
-Pagaalpan dikhaon, dikhaon pagaalpan...chahoon toh tujhe ek second mein uttha key neechey phaink sakta hoon...pata bhi nahin chalega ke hawa kahan se aa rahi hai aur kahan se jaa rahi hai. Par nahin, mein tujhey maarney todhi aaya hoon. Mein toh tujhey thank you bolney aaya hoon...😆 😆
-Hmm, bandook vandook leney gaya hooga...aur kya, ruko. Yeh lo khao, bhooki hogi na, bhook lagi hoogi 😛
-Purana maadal hai. Hamarey yahan bacchey diwali mein isssey tikdi (?) phodtay hain. Iska lever hamessa atackta hai
-tauji kaha karte thhe ki lugai aur rajayi ghar se bahar sirf dhunakne ke liye jaate hai😆
-yeh haath chodne ke liye thodi pakda hai 😈
-Akaal mrityu woh marey jo kaam kare chandaal ka, aur khyal uska kya kare jo bhakt ho Mahakal ka 🤣 😈
-Asal zindagi ho yaan film, climax mein villain ko toh maarna hi padta hain. Aisa hi chalta aa raha hai aur chalta rahega...😎
-Ab lekin kya karein, Granthon mein likha hai ki burayee ka anth bura hi hota hai. Ab aap to jaanti hain, woh humain maarna chahta tha. Ab dono mein sey kisi ek ko toh marna hi tha. Ab humari kismet mein jindagi likhi thi aur uske kismet mein..🤣
-Aapnay bhi to Kans ka anth kiya tha. Aapnay aap key jamaney key Kans ka anth kiya aur humnay humaray jamaney key Kans ka anth kiya. Jab aap khooni nahi huay to hum kahanse khuni huyey, hain?😆
- Sach yeh hai ki hamara naam Raju nahin Raja hai. Sach yeh hai ki humney jo kuch kiya, apni patni key liye kiya. Aur sach yeh hai ki bahut pyaar karte hain tumsey" 😎
-Agar hathiyaar jeb mein naa ho toh aisa lagta hai ki kuch pehna hi nahi. 😆
-galaa dabaane mein hum master aadmi hain,
dabaate hi aankhen , saasein aur jeeb teeno bahaar 😉
-Humaare yahaan damad Mar jaye toh Saas ro ro kar mar jati hai,
Tumhari Ankhon Mein To Curfew Laga Hai.
-chal baith! ek goli waste matt karva 😆
-kya hua aansu nahi aa rahe? ek thaped doonga toh tartari express ki tara behne lagogi 🤣
-kya nahi ho tum, chor, makkaar, bhootni, chuddail...hmm, kya nahi ho tum? 😆
-ha police wallon ko koi kaam dandha nahi ab woh log pathi patni ka jagada suljayenge😆
-Jab tum aisi nazaron se dekhti ho to bilkul tamanche ki tarah lagti ho...Aisa lagta abhi bina chetawani ke fire ker dogi..." 😳 😆
-Ye pyaar saala insaan ko nikamma ker deta hai..." 😆
-Haye aise kyun dhekh rahi ho... nazaron se giraogi kya? 🤣
-Tumhien pata hai ye jo nazarien hai na inka connection dil se hota hai aur dil bohut kameeni chiz hota hai! 🤣
-Vidayi ka mamla hai...thoda ro lo hath pair patak lo...lagna to chahiye vidaayi hai..." 😆 🤣
-Hamare yahan lugayiyaan tab roti hai...jab pati unki sutayi karte hain...Sutayi samajhti ho...Pitayi...aur humne to tumhe gusse ki nazar se bhi nhi dekha... " 😳 😆
-Hmm humne najar padh li tumhari
- achha to tum romanchak tareeke se jana chahti ho 😉
-shahjahan ne pyaar mein taj mahal banwaya, hum bhi madhu mahal banwayenge 😆
-Kya karogi police ko bulaaogi? Police ko to tumne kal bhi bulaaya tha, kya hua? Kuch nai! Ab phir bulaaogi, police aaegi, thoda nachenge gaenge... Time waste hoga...🤣
-Rani bhuke rehne se pet ki atariya anthne lagti hai... kyun mami ji anthti hai ke nahin? 😆
-Saale pati patni ke beechmien nahin bolte ! genhun ke saath gun bhi pis jaata hai🤣
-Bas yahi humare pyaar ki izzat? hum apne pyar ko mar denge goli mar denge 😆
-Ek minute mien humaara dil bahatar baar dhadakta hai, tauji ki kasam, Raja Khuswa apne dil par haath rakh ke ye kasam kha raha hai ke agar tumne khaana nahin khaaya toh, hum humare dil ki tahatarvi dhadkan nahin sun payenge 😆
-Khaana ho gaya, gaana ho raha hai, aur ab jaana hoga. 😉 😆
-Acha humare admi dhekhe hai hum sab log milkar tumhien ek ek ungli par bhi uthaaenge tab bhi uth jaogi.🤣
-daro mat, main hunaa tumhaare saath... bas surr se neeche jaogi and phurr se upar aaogi 🤣
-arre yaar! 😛
- arre ye focus ka chashma hai, fashion ka nahi 😛
-rani uparr dekho, tumhaari photu nahi aa rahi...
-jije bandook niche! bandook uthaani hume bhi aata hai! par hume yeh pata hai kispe uthaani aur kispe nahi! patni hai humaari, dharampatni ! 😎
- Jungli ? Haan hai hum jungli ! Tumhe lagta haina hum jungli hai! Toh hai hum jungli !!
- Humara Pyaar bhi humaari tarah jungli hi hai !
- aur suno...humein jab humara pyaar nahin milega, tab hum uske peechhe nahin bhaagenge, uski bheek nahin maangenge !
- Hum usse baandh denge!
- Hum pyaar maagte nahin, chheen lete hai! Kyunki humein apne pyaar se zyada, apni taaqat pe vishwaas hai.
PS: uff yeh itni bak bak karta hai! 😲
Edited by war_is_peace - 11 years ago