M back with this one shot! i really don't know how u all r gonna feel after reading this one..but i hope that it touches ur heart!
so..here it goes..
Mumbai..ek aisa sheher jahan har roz hazaron log sirf ek sapne ke sath aate hain..
Hath mein kuch paise liye..aur bas ankhon mein ek sapna liye..
ek baar apne pankh faela kar ..udna chahte hai..
The city of dreams..sapnon ka sheher..ek aisa sheher hai..jahan har ek minute mein sab kuch badal jata hai..
Bas ek samundar hi hai jo nahi badalta..
Aur is hi samundar ki leheron par log apne sapne bunte hain..aur jaise kuch lehren kinare tak aate aate tutkar bikhar jati hain..aur in sapnon par likhe kuch sapne bhi yun hi bikhar jate hain..
Par haan..kuch lehren kisi na kisi tareeke se kinaron ko chum hi leti hain..
Yeh sheher kuch aisa hi hai..ki ajnabiyon ko bhi apna bana leta hai..
Sapne dekhne..aur unke liye jeena sikha deta hai..
Main isi sheher mein paida huyi aur sapne dekhna bhi mujhe isi sheher ne sikhaya..
Ek film ke set par paida huyi..hospital ki light se pehle..ek film ki light padi..
sabse pehle uski god mein gayi jise is filmy duniya mein pooja jata tha..
Naam bhi aisa..madhubala..
Yeh sab hua par phir bhi main kabhi is filmy chakachond ka hissa nahi banna chahti thi..
Sirf uski biwi bankar rehna chahti thi..uski baahon mein sir rakhkar apni saari zindagi uske naam kar dena chahti thi..
Par takdeer..
Mujhe mere sapnon se bohot dur le aayi..
Apne pyaar..apni zindagi se..
Bohot dur..
woh..jo meri zindagi ban chuka tha..woh jo meri har hassi..mere har aasoon..sab mein bas chuka tha..meri dhadkanein..meri sansein..
Sab uske naam ho chuki thi..woh dur chala gaya tha mujhse..hamesha hamesha ke liye..
"Har dhadkan teri meri hai..teri har sans par haq hai sirf mera..
Tu zinda kisi aur shareer mein hai..bas itna sa haq hai tera..."
Rishabh Kundra..woh insaan jisne mujhe pyaar karna sikhaya..jiske liye maine ek aisi duniya mein kadam rakha..jo kabhi meri thi hi nahi..
Par kismat..
Alag kar diya mujhe..mere sapne se..usse jise..main..
Is chamak ke peeche ke andhere se..is jhuthi maya se..main dur jaana chahti hoon..uske paas..
Tum the..toh main thi..
Tum nahi..toh main bhi nahi..
(With this she ends her life..coz her dream was to be biwi..& not madhubala- the superstar..
She wanted to be in his arms forever..luv him till her last breath..
But destiny..it took him away..far away..
And she couldn't..she luvd him..
She lived for him..
& today she died for herself..coz a life without him..
Was not less than a slow poison for her..)
Ps: Well..i really don't want this to happen in reality but i just expressed what'd i do if i were madhu!
i've just tried to express my feelings..
plz share ur views too