PART 4
RK kept thinking " Madhu main kabhi tumhe nahi chhodunga Madhu maine tumse waada kiya tha ki agar ye duniya aake mujhese kahe ya bhagwaan aake kahe ya agar tum bhi aake mujhe kaho ki main tumhe chhod doon tab bhi main tumhe nahi chhodunga . Aisa kya majboori hai Madhu ki tum ye sab karne ke liye vivash ho ? Mujhe batao Madhu . Mujhe yaad hai tumne mujhe kaha tha ki jab tum kisi baat ke liye nahi bolti ho to uska matlab hai ki wo cheez tumhe abhi chahiye . Aur yahan to baat hai humaare zindagi alag hone ki . Nahi Madhu mujhe pata hai ki asal mein tum chahte ho ki hum hamesha saath rahe . MAin tumhe kabhi nahi chhodunga kabhi bhi nahi marte dum tak nahi . "
Tera Rasta Chhodun Na Lyrics
Meherbaani nahi tumhara pyar maanga hai
Tumhe manzoor hai tabhi to yaar manga hai
Ghairon ke dar se, tere sheher se
Hai kasam rishta todoon na
Tera rastaa main chhodoon na.. -x4
Agar ye hai nahi, to phir jaane pyar kya hai
Mere jeet hai tu, kise parvaah haar kya hai
Tera rasta chhodoon na..
Chhodoon naa main tera rasta chhodoon naa
Zindaa hoon lekin, wo baat nahi hai
Haathon mein teraa, jo haath nahi hai
Ishq ka hai naam bada
Maine hai kiya kaam bada
Kar ke magar aadha chhodoon na
Tere rukh se ye chehra modoon na
Tera rastaa main chhodoon na... -x4
Chaahat hai meri, kusoor nahi hai
Dil jazbati hai, majboor nahi hai
Sar ye bhale phoot gaya
Jism mera toot gaya
Khud se kiya waada todoon naa
Baandhun sehra, kafan odhoon naa
Tera rastaa main chhodun na... -x3
Tera rasta chhodoon na..
Chhodoon naa main tera rasta chhodoon naa
Tera rasta chhodun na..
Haan Tera rasta chhodun na..
Ho.. Tera rasta chhodun na
Tera rasta chhodun na
Chhodoon naa main tera rasta chhodoon naa
RK was lost in his own thoughts when suddenly he heard footsteps . He looked up and saw Bittuji . " Chief aapki bhabiji ke saath baat ho gayi ? " RK told " Haan Bittuji baat to ho gayi lekin mujhe aapse bahut hi zarrori baat karni hai . Pehle aap ye jaan lijiye ke abhi jo baat main aapse karne jaa raha hoon wo saab baat kabhi bhi kisi bhi jagah me kisi aur ke saamne kabhi bhi aana nahi chahiye . Aisa samajh lijiye ki maine aapko meri locker ki chaabi di aur aapko wo chaabi ko apne andar lena hai taaki koi aur kabhi bhi us chaabi ko le naa saake ? Aap meri baat samajh rahe hai kya ? " " Chief maine aap ke saath 10 saal kaam kiya hai . Aapke baare main aise bahut kuch mujhe pata hai jo is duniya ko bhi nahi pata . Lekin maine kabhi bhi kisiko aisi baatein nahi bataayi . Isiliya aap mujhpe bharosa kar sakte hai Chief . Chahe mere jaan kyun na chale jaaye par main kabhi bhi kisiko bhi kuch nahi bataunga " . Saying this Bittujis voice became heavy and his eyes filled with tears . Seeing this RK then said " " Haan Bittuji mujhe pata hai aap mere saath kabhi dagabaazi nahi karenge . To ab aap bahut hi dhyan se mere baat suniye . Abhi jab Madhu mujhse milne aayi thi to usne mujhe divorce papers deke gayi aur uspe sign karne ke liye bola . Wo pehle hi usse sign kar chuki hai . Lekin uski zubaan aur uska chehra bilkool do alag baatein bol rahe the . " " Chief aisa kaise ho sakta hai ? Bhabiji aisa bilkool hi nahi kar sakti main aapko yakeen ke saath keh sakta hoon " " Aapne bilkool sahi socha hai Bittuji . Mujhe lagta hai ki Madhu koi bahut badi musibat me hai . Wo bahut hi pareshaan hai . Usko kisi baat ka darr hai . Maine bahut koshish kiya usse poochne ka lekin wo kuch bol hi nahi . Mujhe lagta hai ki koi usse bahut majboor kar raha hai . Wo normal behaviour nahi kar rahi hai . Bittuji aaj se aap kuch aise aadmi yon ko uspe nazar rakhne ke liye le aiyye jo ki uspe nazar bhi rakhega aur Madhu ko pata bhi nahi chalega aur jo aadmi Madhu ko dara dhamkake majboor kar raha hai usko bhi nahi pata chalega ki Madhu ke upar koi nazar rakha hua hai . Bittuji ye saare intezaam aaj abhi isis waqt hona chahiye . Madhu abhi thodi der me aayegi phir se usse pehle aap kisi na kisi tarah ye sab intezaam karwaiyye . Aur haan aap Madhu se normally baat kijiyega . Usse ye nahi pata chalna chahiye ki maine aap ko wo divorce papers ke baare mein kuch bhi kaha . Usse ye pata nahi chalna chahiye ki maine koi shaq kiya hai . Samjhe aap ? Agar zaroorat pare to kisi filmwala ka bhi help lijiye taaki wo apni asli chehra chhupaake kisi aur bhesh le sake . Aapko ye karna hi hoga . " Bittuji said " Chief aap chinta maat kijiye main abhi saare intezaam karwata hoon . " " Aur ek baat Bittuji . Hume aisa kuch intezaam bhi karna hoga jisse agar Madhu ke pichche nazar rakhnewaale kabhi usse kho bhi de tab bhi hum yahan baithkar ye pata laga sake ki wo kahan hai . " " Chief par ye sab to sirf moblie phone me possible hai . Agar bhabiji ke paas mobile bhi nahi raha to ye kaise hoga ? " RK though for a while and said " Bittuji zaroor hoga . Kehte hai ki agar sachche mann se dhoondo to bhagwaan bhi mil jaate hai aur ye to sirk ek technology hai . Waise bhi RK jab kisi maksad ko apne dil se thaan leta hai to wo usse poora bhi karta hai aur uska tareeka bhi khud hi nikaalta hai . " Then he whispered something in Bittujis ears . " Thik hai chief ye bus abhi order kar deta hoon bahut jald hi aa jayega . " " Mujhe pata hai Bittuji par jab tak ye saare intezaam na ho jaaye hume kisi bhi haal me Madhu ko yahan aane se rokna hoga . " " Aap chinta mat kijiye Chief . Main ye sab samhal loonga " . Saying this he went out and made some calls . Then he went to meet MAdhu who was sitting on a bench outside the jail compound .
" Bhabiji " he greeted Madhu . " Bittuji achcha hua aap mujhe akele milne aaye . Mujhe aapse bahut zaoori baat karni hai . Please aap baithiye yahan . " Bittuji sat down beside her on the bench . " Bittuji aap hamesh se mere liye ek bade bhai jaisa rahe hai . Maine aapko humesha se ussi nazar se dekha hai . Ussi haq se main aj aapse kuch maang rahi hoon pehli aur aakhribaar . Kya aap mujhe wo de sakte hai ? " Now Bittuji was in a dilemma here as he had already promised his Chief to look after Madhu and find out her problems but here his Bhabiji also wanted something from him . Very tentatively he said " Bataiyya Bhabiji kya chahiye aapko . " " Pehle aap wada kijiye ki main aap ko jo bhi kehne jaa rahi hoon wo aap kisiko bhi nahi batayenge aapki Chief ko bhi nahi . " Bittuji immediately had a doubt " Par Bhabiji aisa kya ... " " Bittuji aapko waada karna hi hoga varna aapse hum isse aage aur kuch keh nahi sakte . " " Thik hai Bhabiji main waada karta hoon ki ye sab baat main kisise nahi karoonga Chief se bhi nahi . " " Thik hai Bittuji ab suniye . Mujhe aapke Chief ko chodd ke jaana hoga . Kyun kisliye kab kahan ye saare sawaal aap mat poochiye main jawab nahi de paoongi aapko . Aap bus yeh jaan lijiye aur samajh lijiye ke main jo bhi kar rahi hoon aapke Chief ke bhale ke liye aur lambi zindagi ke liye kar rahi hoon . Mujhe aap se baat ek hi request hai ki mere jaane ki baad aap apke Chief ka dhyan rakhenge khayal rakhenge usse kabhi akela nahi chodenge . Usko kabhi galat raahon pe jaane mat dijiye ga . Bus ye kar dijiye . Mujhpe ye ehsaan kar dijiye main zindagi bhar aapki abhari rahoongi . " Bittuji was shocked and astounded . He realised that his Chief was absolutely right . There was something very wrong going on . But he also knew that it was useless asking Madhu . Also if he asked her she may never reveal anything else any further . He thought " Kya kamaal ki jodi hai in dono ki . Dono ki done ke liye itni fiakr hai itni parwa hai ki ek doosre ke liye kuch bhi kar sakte hai . Ek doosre pe mar mitne ke liye taiyyar hai . Dono hi bilkool ek jaise hai . Aur dono ek doosre se apni saare taklif chhupaate hai . Main inke liye kuch bhi karoonga. Mujhe maaf kar dena bhabiji par aapne mujhe jo bhi baatein batayi hai mujhe Chief ko bataana hi padega kyunki mujhe achche se samajh me aagaya ki aap Chief se bahut zyada pyar karte hai . Mujhe ye bhi pata chal gaya ki aap kisi bahit badi musibat me hain aur ye mera farz hai ki main aapko is musibat se chhotkaara dilaoon . Aapne mujhe apne bade bhai ka darja diye hai uski maan main zaroor rakhoonga bhale hi uske liye mujhe aapse kiya gaya waada todna pade aur uske baad aapse mujhe daant khaani paade . Agar aapke aankhon me main gir bhi jaaon to bhi mujhe manzoor hai lekin main aapki aur Cheif ki yeh anokha jodi kabhi tootne nahi doonga . Ye aapse mera waada hai . Main aapko aur Chief ko phir se ekbar milaake hi rahoonga chahe iske liye mujhe jo bhi karna pade . "
Bittuji was thinking all these things when suddenly Madhu asked " Kya hua Bittuji aap achanak ekdum se kahan kho gayen ? Aap ko jo saare baatein maine batayi aap please wo saab apne aap tak hi rakhiyega . " " Thik hai Bhabiji main ... " Suddenly his phone rang " Ek minute bhabiji main abhi aaya . " He went away and picked the call at a distance from where Madhu was sitting on the bench . He turned towards Madhu and started talking so that if she comes near him he could see her . " Haan jaisa maine kaha tha bilkool waisa hi kiya na . Haan . Thik hai . Tumhe pata hai tumhe kya karna hai . Haan wo jo cheez humne mangwayi hai wo yahan pe leke ao . Jaldi . Thik hai . " He disconnected the call . Then he went to Madhu and said " Bhabiji aap yahi pe baithiye main abhi aata hoon . Please yahan se kahi mat jaiyega . " " Thik hai Bittuji main abhi yehi pe baithi hoon par aap jaake apke Chief ko boliye ki maine usse kuch diya kuch kaam ke liye agar wo kaam ho gaya ho to wo mujhe wo wapas kar de . " " Thik hai bhabiji aap idhar baith ke intezaar kijiye main Chief se pooch ke aata hoon . " Saying this Bittuji went away .
Bittuji came to RK and said " Chief saara intezaam ho gaya hai . Aap ne jaisa jaisa kaha tha maine bilkool waisa waisa hi kiya hai . " " Bahut achcha Bittuji . Wo cheez kahan hai jo maine aapse laane ke liye kaha tha ? " " Ye raha Chief " Bittuji handed RK a gift wrapped packet . " Thank you Bittuji ab aap Madhu ko bulaiyye . " " Ji Chief main abhi jaakar unhe bulaata hoon . " Bittuji went to Madhu and said " Bhabiji Chief ne aapko bulaaye hai unhone kaha hai ki aapne unhe jo kaam diya tha wo kaam khatam ho chuka hai . Aap aiyye . " " Chaliye Bittuji . " Saying this Madhu got up and went with him . They both came to RKs cell . RK said " Bittuji aap thode der ke liye bahar jaiyye . Main biwi se akele mein kuch baat karna chata hoon . " " Ji Chief . " Bittuji went away leaving the two of them alone . RK handed the divorce papers to Madhu and told " Ye lo biwi maine ye papers pe sign kar diya hai . Aaj khush to bahut hoge tum ? Hai na ? Aaj tum azad ho gayi ho biwi . Mubarak ho tumhe ye azaadi . " Madhu found it too hard to control herself but somehow she did it " Thanks RK ye azaadi mujhe chahiye thi . Tumhe tumhari zindagi mubarak ho . " RK said " Biwi meri zindagi mubarak tabhi hogi agar tum mera aakhri ek ichcha poori karogi . Please ? " Madhi was bit surprised " Aakhri ichca ? Wo kya hai ? " RK said " Biwi pata naho mera waqt ab kaisa hoga tunhaare jaane ke baad par main chahta hoon ki tumhara achcha waqt humesh bana rahe . Isliye tumhaare achche waqt ke liye main tumhe kuch dena chahta hoon . Isse tum achcha shagun samajh ke rakh lo . Please . Humesha isse apne paas rakhna . Mujhe pata chalega ki tum jahan bhi ho khush ho . " Saying this he gave the wrapped gift to Madhu . She was touched by this gesture . She could not speak for sometime . She thought " RK mujhe is waqt bhi parting gift de raha hai jab hum juda hone jaa rahe hain . RK chahta hai ki main jahan bh irahoon khush rahhon . Par main RK ke bina kaisa jiyoongi ? " She was lost in her thoughts when RK broke her reverie . " Kya hua biwi kholo gift ko " She came out of her thoughts and opened the wrapping . She saw a beatiful red velvet box . She opened the box and found a gold watch inside it . She was awestruck seeing it . RK had literally meant the good time . RK said " Biwi agar bura na mano to ye main tumhe apne haathon se pehnana chata hoon . Please mana mat karna . Pata nahi aise mauka mujhe phirse kabhi milega ya nahi . She did not have the heart to say no . How could she when it was maybe the last chance RK , her Rishabh would touch her ? She extended her hand and RK made her wear it very slowly savouring every touch . once it was done RK said " Biwi mujhese waada karo ki ye ghadi tum kabhi nahi utaaroge . Agar tumne kisi din ye ghadi utar diya to wo mera is zindagi mein aur is duniya mein aakhri din hoga . " Madhi said " Main waada karti hoon ki main ye ghadi kabhi nahi utaaroongi . " Saying this she took the papers and walked away from there . RK said " Biwi tumhaara achcha waqt hamesha tumhaare saath rahega kyunki ab main hamesha tumhaare saath hi rahhonga . Tum dekhna hum bahut jald phirse ek honge "
jiye to jiye kaise bin aapke
jiye to jiye kaise bin aapke
lagta nahi dil kahin bin aapke
jiye to jiye kaise bin aapke
jiye to jiye kaise bin aapke
muje koi de de zahar hans ke mein pee lungi
muje koi de de zahar hans ke mein pee lungi
har dard sah lungi har haal mein jee lungi
har dard sah lungi har haal mein jee lungi
dard-e judai sah na sakungi
tere bina mein rah na sakungi
jiye to jiye kaise bin aapke
lagta nahi dil kahin bin aapke
Edited by rima4ever - 12 years ago