Hi all .
I am very sick and tired of the crap track the cvs are churning out these days
So I have decided to write a story on how the plot could progress with a bit of logic
Its a bit different approach that I am trying
Its also my first attempt
So please forgive me for any errors
If many people like it and comment I may turn it to a FF else I will make it a SS
I am going to make bhai even worse than in the show I am going to make him act like the Devil Incarnate . Madhu will suffer a lot but in the end she will unite with RK and defeat the **** . Sultan fans please stay away as its not for u .
index
part 1 - page 1
part 2 - page 4
part 3 - page 7
part 4 - page 8
FATE PLAYS ITS OWN CARDS
After Mr. Joshi took away RK , Madhu came to their room . Bittuji had also gone with RK . Madhu stood in front of the Ganesha idol in their room and folded her hands before Lord Ganesha . She folded her hands and started praying while tears filled her eyes . " Hey Bappa aap ne bachpan se leke aaj tak mujhe har ek sankat se bachaye hain . Aapne humesha se hi mere aur mere parivaar ke raksha kiye hain . Pichle saal jab RK ko goli lagi thi aap ne mere prarthana sunke RK ko naya jeevan diya tha . Isliye main humesha aapki abhaari rahoongi . Lekin aaj main zindagi ki aise do raahen par aake khadi hoon jahan se mujhe koi bhi manzil ya koi bhi raasta nazar nahi aaraha hai . Ganeshji aap please mujhe ye faisla karne ke liye sahayata kijiye . Main kya karoon kuch samajh nahi aaraha hai . Mujhe hausla dijiye taaki main sahi faisla le sakoon . mujhe koi to raasta dikhaiye kuch to kijiye main aapki sharan me aayi hoon mera marg darshan kijiye ... "
suddenly her phone rang . It was an unknown number so she understood it was Sultan . She wiped her tears and cleared her throat to steady her voice . Then she picked up the call . " Hello " she said . A great laughter sounded from the other end . " Meri Madhu kaisi ho tum ? Waise tum ro kyun rahi ho ? Mat ro . Aaj to tumhari azadi ka din hai . Waise RK to abhi tak phir se jail jaa chuka hoga na ? Tut tut tut...tum bhi na madhu . maine tumse kaha tha na ki bus kal ka raat tumhare us najayaz aadmi ke liye tumhare saath uska aakhri raat hoga ? Maine kaha tha na ki agar subah hone ke baad tum ne usse apne aapse alag nahi kiya to main usse khatam kar doonga ? Ab dekh lo . Wo to abhi bus jail gaya hai ... kya pata sayad aj uske liye uski zindagi ki aakhri raat ho . Waise bhi main usse zinda nahi rakhoonga . Usse aaj hi maar dalunga aur phir main tumhe leke jaunga is sab se bahut door jahan sirf tum aur hum honge aur humari choti si ashiana... " Madhu shouted " bas sultan tum aisa kuch nahi karoge tum RK ko nahi mar sakte..." Sultan interrupted her " Meri Pyaari Madhu main usse maar sakta hoon aur maar ke dikhaunga bhi " Madhu said " Please aisa kuch mat karna tum jo bologe main woh karoongi main aaj hi RK se talak ke papers pe dastakhat karwaungi par please tum usse kuch mat karna " Sultan said " Thik hai Madhu agar tum aaj hi usse us papers pe sign karwaogi to main usse nahi marunga par mujhe pata hai ye kaam karne ke baad wo khud hi mar jayega usse maarne ki zaroorat bhi nahi hoga . Yaad rakhna Madhu tum abhi aur issi waqt uske paas jao aur papers pe sign karwao... Aur tumhe pata hai na agar tumne kisiko iske baare mein kuch bhi bataya to... " Madhu said " Main kisiko nahi Bataungi " Sultan said " Thik hai to phir tum ab jao usse azaad ho jao phir main tumhe lene aaunga " Saying this he disconnected the call .
Madhu could not control her tears now . She again started saying to Bappa " Hey Ganeshji ye aapne kya kiya aap ne ek shaitaan ko jeetne diya . Aap yeh kaise kar sakta hai ? Aaj akhri baar aapse main kuch maang rahi hoon aap kripya karke mujhe unsuna mat kijiye . Aap mujhe shakti dijiye taaki main apne RK ki zindagi ki salaamati ke liye usse door ho paaon . Mujhe itna himmat dijiye taaki main apne rk se door reh paaon . Itna madad kijiye ki main rk ko yakin dila sakoon ki main usse ab bilkul bhi pyar nahi karti hoon . Itni taaqat dijiye ki main RK ke ankhon me dekh kar ye baat keh sakoon . Aur RK ko ye sab sehne ki shakti dijiye . Itna dekhiye ki woh toot na jaaye . Ab se bus aap ka hi sahara hai . Ab se mere RK ko ap ko hi dekhna hoga . Uska khayal rakhiyega . Usko main ap ki hi bharose chhod ke jaa rahi hoon . Aur ek akhri baat . Aap ne to us shaitan ko nahi roka par aj main , Madhubala Rishabh Kundra , aapke samne kasam khati hoon ke Sultan ne jo mere saath kiya hai iska saza usse main doongi . Main karoongi us shaitan ka anth . Main loongi badla aur main usse uske kiye ki dand doongi . Mere aur mere RK ka har ek dard aur takleef ka keemat chukana hoga usse . Bhale hi isme mujhe eri poori zindagi lag jaaye . Par jak tak main uske kartooton ka jawab nahi deti tab tak main chain se nahi jiyungi . Main rahoon ya na rahoon mere RK ko wo shaitan aur pareshaan nahi karega " .
Just then she heard some conch shells blowing in the background . Radhaji was also doing Ganesh aarti for RK . After saying all this she brought the divorce papers before Ganeshji and with trembling hands signed on them . Then she went around the room recollecting all the golden moments she had spent with her RK in this room right from the day RK had brought her to this room to save himself from Deepali . The sweet and sour nok jhoks , the fights , them caring for each other , the karvachauth , the challenge before Shamsher and Padminis sangeet all these memories came flooding in her mind . she saw all the pictures of RK and stroked all of them with her hands . She wanted to take all of this in her mind and store them in her heart as she knew maybe she could never come back here again . It was as if she was clicking the pictures of all their memories and keeping a permanent print in her mind .
She took some items with her in her handbag and called Bittuji . " Hello Bittuji RK kaise hai ? " " Bhabiji Chief bilkul thik hai main lawyer se baat kar raha hoon taaki jaldi se Chief ko bail mil jaye aur ye bhi pata karne ki koshish kar raho hoon ki unka bail yoon aise achanak kaise eject ho gaya " " Thik hai Bittuji main aarahi hoon wahan " " Bhabiji ek minute " Bittuji told RK and the lawyer that Madhu want to come there . The lawyer told " Mr. RK maine aap se pehle bhi kaha hai ki agar apki wife is mamle se door rahi to aap ke case ke liye bahut achca aur faydamand hoga " RK replied " Maine bhi aapko pehle hi kaha hai ki wo meri biwi hai aur is mamle mein aap baat nahi kare toh hi achcha hai . Bittuji aap unhe yaha aane ke liye bol dijiye . Yahan aayegi to thoda chain milega usse . " " Thik hai Chief " " Ji bhabiji aap aajaiye " . Telling this Bittuji disconnected the call . Madhu said " RK mujhe maaf kar dena yeh tumahri zindagi ki sawaal hain . Main tumhe marte huye nahi dekh sakti . Iske alawa mere paas aur koi raasta nahi hai . Main apni zindagi ki baaki din tumhaare in sunehre yaado ke sahare jee loongi . Mujhe yeh pata hoga ki tum zinda ho bus yahi kaafi hoga mere liye . Hum ek doosre ke saath nahi jee sakte par roz main aasman me chaand ko dekhungi aur sochungi ki tum mere paas ho . Apni aakhri saans tak tumhari madhu sirf tumhari hi rahegi . Mere dil , dimag , aatma , khushi , gham , saans sab pe bus sirf tumhara hi haq hoga aur kisika nahi . Main tumhari thi , tumhari hoon aur tumhari hi rahoongi . Aur tumhe takleef denewaale ko main uske har ek kiye ke sazaa doongi iski liye chahe mujhe jo bhi karna pade chahe mujhe kitna waqt kyun na lag jaaye . "
please like and comment...only then i will get the encouragement and enthusiasm to proceed further...
Edited by rima4ever - 12 years ago