Adarniya creatives mahodaya😆 ' atithi vishesh sanvad lekhak shri Raghuvir Shekhawat ji😛 ..maananiya darshak aur mere pyaare forumwasiyon'😉
aaj agar MEIEJ aasmaan ki bulandiyo ko chu raha hai ..to uska shreya sirrf ek insaan ko jaata hai Shri Saurabh Tewari ji 😃...give him a a big hand ..👏👏he is a great guy... really you are...
Peechle dus mahino se inhone nirantar iss serial mein jhatkon pe jhatke diye hai '''umeed hai aage bhi dete rahenge🤢..hame to aashcharya hota hai ki ek insaan apne creative career mein itne unxepected jhatke kaise de sakta hai ...🤣inhone kadi tapaasya se apne aapko is kabil bunaya hai...🤣
kalakaron ka sahi upyog😛... kahani ka purna istemaal koi inse seeke ..seeke inse... seeke '. 😆
aaj hum sab fans yaha hai ..kal alag alag forum mein fail jayenge ...😎waadaa hai aapse jis forum mein honge waha jhatke denge🤣 MEIEJ ka naam roshan karenge 'dikha denge sabko jo jhatke dene ki shamtaa yaha ke fans mein hai wo sansaar ke kisi fans mein nahiii '.😎No other fan... No other fan...😛
Adarniya sanvad lekhakji namashkar...😉 aapne is serial ko wo cheez di jiski hamein sakht zaroorat thi ' Dialogue😃 ..dialogue hote sabi ke paas hai ..par aapke jaise nahi' aapne apne dialogue iss jhatkadhari purush ke haat mein diye hai'🤣ab dekiye yeh kaisa iska upyog karta hai...😆
Is swarn awsar par ek dialogue yaad aa raha hai'
"Paglon ki si nafrat...Paglon ka sa ishq...Paglon ka sa Junoon...Dono ne
milkar kya khoob nibhaya -
Madhubala Ek Ishq Ek Junoon"!!! aaahaan
PS- this is the after effect of studying 😛
*Dialogue credit to dialogue thread