Aaj main totally mad ho gayi hoon(kitnon dinon ke baad😉😉😉)....isliye maine baith ke kuch gaane edit kiye...And yeh gaane main aapko sunaaungi 'Ammu ki Mehfil' mein😉😉...
Pehle hi keh rahi hoon...you guys know mera dimaag kaisa chalta hai...I hope no one will be offended..If I do offend someone, please forgive me..
To, shuru karein???????😉
This is an unknown song for all of you, coz it's a very old song we learnt in school(I mean, the original which we learnt at school😉)..
Muchhad ki moochhon mein, Pooja aag laga dena
Huda ko kyun sataaye, Nairu ki baja dena..
Next:
Kabhi shaam dhale to Nair ki moochhein kaat dena
Kabhi chaand dhale to uski socks(🤢) chhupa dena..
Magar chhupaana is tarah tum, ke uske victims na ban jaana.....
Agla namoona..........
Halka halka sa yeh nasha...
Behka behka sa yeh sama oh jaana
Na aana jaane jaan..Na aane yeh sama
Haio muchhad ki socks ka......................................🤢
Aur kuch pesh karti hoon.......
Moochhon mein aisi baat woh dabaakle le aaya..
khul jaaye jo yeh raaz to Pooja kahegi Mua
Yeh boring tha...kuch aur try karti hoon...
Wah wah Ramji
jodi kya banaayi
Bhargu aur Chanda ko
badhaayi ho badhaayi
Sab rasmon se badi hai jag mein
bhoot se chudail ki sagaayi
Aage pesh karti hoon..
Muchhad yeh bata de tu
teri mooch hai sookh rahi kyun???????????
Jo hai ankahee
jo hai ansuni
Woh baat bhargu ko bata
Muchhdaaaaaaaaaaaaa
kahe moochhe tujhse kya
Muchdaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
yeh moochhon se na tu chhupa
Aur aaj ki mehfil ka yeh aakhri namoona, humaari original dengue-malaria vector dr. Ritu ke naam................
Humko maloom hai
Akal usmein kam hai
Ritu se ho jaati hain galtiyaan
Sabr se machhri mehroom hai
Baaki mehfil kal jamegi, on popular demand(demand hogi to jamegi😉)...Jaate jaate ek-ek paan le jaaiye, n taareefein n joote chhod jaayiye😉
Credit goes to Saheli, Naz n Preeti, jo ghanton tak mere yeh gaane sunte..uh..sehte rahe😊