Welcome back...(jitne kal ke torture se poore tarah ghaayal nahin hue😉)..aaj ki mehfil hogi aur bhi zabardast😊(shaayad😕), aur aur bhi short(shukar manaao😆, torture kam hoga)..
Hmmmm...aaj ki pehli peshkash...Nair (Oh, n let me clarify first...apnu ka interest sirf Huda mein hai😳😳...bole to samajh mein nahin aarela to le jaaun kya khopche mein??????????😉😉😆)...anyway, Nair udaas hai, uski moochhein kat gayi...uski taraf se yeh dard bhari ghazal...
Dil ke armaan aansooyon mein beh gaye...
Dil ke armaan aansooyon mein beh gaye...
Hum moochhon ko comb karna jo bhool gaye...
Moochhon ke saare baal jhad ke gir gaye..
Dil ke armaan aansooyon mein beh gaye..
Yeh geet, meri taraf se, humaari dengue machhari ko...😉
Aayi re aayi Ritu aayi re...
Triggers churaane yeh to aayi re
Akhiyaan milaake isne Raj se
Triggers ko churaaya, churaaya re
Churaake triggers kehti hai, rehna hai Muchhad ke dil mein....
Yeh gaana Alekh ki taraf se..
Rote rote, peena seekho
Hanste hanste, peena
Jitni daru bhari botal mein
Utna hi dimaag chale apun ka...
Ek aur tarz pesh karti hoon, zara bardaasht kar lena..😉
Badboo ne, Muchhad ki socks ki badboo ne
Sabki neend udaayi, Sabka chain churaaya
Paagal banaaya, sabko sataaya
Paagal banaake, sabko sataake
Finally, kiya behosh
Dheere dheere duniya ka pollution badh gaya bejod...
Krithika ki request pe, yeh aakhri do namoone pesh kar rahi hoon....
Aye dil dil ki duniya mein aisa haal bhi hota hai
Baahar Muchhad hansta hai, andar muchhad rota hai
Aye dil.......
Kisi ne yeh jaana nahin
Kisine yeh maana nahin koi pehchaana nahin
Muchhad to hai split personality patient!!!
Aakhri...seh lo, last hi to hai😉
Muchhad hai, Bhargu hai
Ritu bhi, aur Gehlot bhi hai
Ritu, to kab se out of range hai, Bhargu wapas aaya hai
Yeh saaare Raj ke chale jaane ke baad uchhalte hain..
Maaro, pakad ke maaro....inko maaroooooooo.......
Aaj ke liye itna hi..Don't forget to collect your pans!!😉 aur haan, requests, praise, aur joote, yahin chhod ke jaana😉