ek aisee kashmakash main hoon...........ki bas chaaron aur dhoova hi nazar aa raha hai......jise manzil samjhti thi.....woh chalava tha............aur jo humdard tha......uspe bharosa na kar payee.....
Main, in teen logon main batee huee hoon.....kya karoon......
Ek mera dost hai, sabse achha shayad nahi, par sabse pyaara zaroor......meri bikhri si zindagee main ek hasi hamesha dhoondh leta hai......jab bhi aata hai, uski apni baatein, kabhi bachhon si.....to kabhi ankahe jazbaaton se bhari.....mujhe yeh ehsaas dilati hai.....ki woh hai.....hamesha.....mere aaspas......bas, mere aawaz dene ki der hai!
Ek mere bhaiyya ke dost hai. Ab ise baatuni rishta kaho....kyonki main inhe, ek aise insaan ke taur pe jaanti hoon jin par main aankh bandh kar bharosha karti hoon.....bharosa.....wishwas.....dosti.....aur shayad pyaar.....kyaa hai yeh inse jaana.......ek aam insaan, par mere bhaiyya jaise sachhe aur achhe! Kyun kabhi.....main inse naraz nahin reh paati.....beure se bure waqt main bhi, inke paas apne sawal lekar pahonch jaati hoon........shayad....ek haq....jatane ki koshish karti hoon......................ek aisa insaan, jo perfect ho.....aur jise milke dil main turant samman ho....respect ho......pehli baar ek deserted canteen main, bina music ke......dance main............mujhe ehsaas hua.......ki main adhoori hoon........yahan......main aurat hoon.....shayad sabse sundar?......sabse special.......khaas......
Aur ek mere bhai ke dost hain.....jinhe abhi abhi jana hai..........zindadili unmain itni hai.....ki kisiko bhi muskurata kar de......bina dosti kiye hi hum shayad dost hain.............kabhi badi gehri baat aasani se keh dete hain.....aur kabhi kabhi, kuch kehte hi nahin.........zindagi, inke liye ek theory hai shayad, jise master karne ki koshish jaari hai.........
Ab.....yahan is mode pe, Bhaiyya ko bekusoor saabit karke, unko apni shahadat lauta kar......main Naina Singh.........