Thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein kankar na maar
tere liye hu main anjaani
mere liye hai tu begana
begaane ne anjaani ka
dard bhala kaisa pehchana
jo iss duniya ne na jaana
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein
sab phoolon ke hai deewane
kaaton se dil kaun lagaye
bhole raahi main hu kaata
kyon apna daaman uljhaaye
rab tujhko kaaton se bachaye
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein
timhi bataao kaise basegi
dil ke armaanon ki basti
khwaab adhure reh jaayenge
mit jaayegi inki hasti
chalti nahi hai ret pe kashti
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein
Gaalo ki laali dekh aaine mein
soch mein par gari main
aankhon me bhi yeh chamak kaisi
uljhan me par gayi main
mann se poochi tujhe hua hai kya...
tan ko jala rahi baat hai kya...
yeh mujhe aaj hua hai kya..
soch mein par gayi main...
ek raat mein mujhe hua hai kya..
saanson mein meetha ehsaas hai kya..
yeh kahan kho gayi tujhe pata hai kya..
dil se puchi main...
kyun lag raha hai sab naya..
yeh mujhe aaj hua hai kya..
sawaalon mein uljha reh gayi main...
On the other hand, Dutta feeling a little suffocated in that room so sitting outside in the swing in deep thoughts. Like Naku even his thoughts were out of control today, contradicting his persona very much, he couldn't seem to take his mind of the events of the evening. Trying hard to fight against his wild thoughts. 'Yeh kaise jazbaat hain jo phir se meri zindagi mein chupke se laut rahe hain, jinhe mein kabhi uss ke liye mehsoos karta hai. Aaj woh Naku...nahi yeh mein kya soch raha hoon...in ankahee jazbaatun par kabu pana utna hi mushkil hota hai jitna...jitna keh tab mushkil tha jab...jab woh mere paas thi...aise hi jaise supriya...' Dutta stops his thought right there, clenching his fist tighter. Closing his eyes he moves his head up as if trying to take all his frustration out some how. This only leads his mind to wonder around freely...the flashbacks of Naku in her simple yet elegant salwar kameez...the way her hair fell on her face acting as an obstruction to his view...damn one can easily feel themselves loosing their senses in her long beautiful locks. Dil ki dhadkan ko phir se kisi ne cher khani ki ho jaise...un dabe hue jazbaaton ko phir se kisine jagah diya ho jaise...un anderi aur sunsaan galliyun mein phir se roshini ki ek kiran dikhayi ho jaise...un bikhre huwe hue tukrun ko phir se zinda kar diya ho jaise...[[tried to write a full poem all by myself lol]].
Rather surprised and angry at his thoughts, he suddenly jolts up. 'Yeh kya ho raha hai!!!!' [[full on dutta ishtyle]] he roared while looking up, his face suddenly gone from slender with a sense ease to stiff..his face muscles contracting...veins slightly more visible as the blood passed through them at a much quicker pace...his eyes had a hint of roughness in them. Suddenly, moments of his past flash before his eyes...with every memory his anger shot up...every thought...every moment...everything coming back. Dutta gets off the swing and hits a pole. What the hell was he thinking...how could he let it go this far...
Dil ka dard ruk na payega,
Jo hui hulchul itefaak se bhi,
To ghamon ka paimana chhalak jayega
Mat de hawa dabi hui un chingaariyon ko,
Warna tera bhi daaman is aag se jal jayega
Kaid hai jo dariya in aankhon mein,
Mat de usko aur ashko ke moti,
Nahi to woh bhi bewajah beh jayega
Kaise bhool pauga woh beete hue pal,
Kaise mita pauga uski yaadein is dil se,
Jab usi ka hi ehsaas meri har saans se ayega
Yeh woh zakhm hai jo mile hai wafa ke badle,
Yeh woh tohfe hai jo uski nishaniyan hai,
Agar kahu usko bewafa to daag mohabbat pe lag jayega
Chala jauga mehfilon se tanhai mein
Aur phir dhoondhuga mehfilon ko hi tanhai mein,
Shayad yehi ek aakhri mukaam zindagi mein ayega
Kyun bichha ke baithu main nigaahe uski raahon mein,
Kyun karoo aaj bhi intezaar uske aane ka "JASSI"
Waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega
Waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega
To Be Continued...