Part 3
Rishabh Karan thinks to tell truth to all and starts going.
Rakhi :Ye mein kya sun rahi hun ? Tujhe shaadi nahin karni ? Shaadi kya gudda guddi ka khel hai tum logon ke liye jo aaj haan to kal naa??
Karan :mom aap galat samjh rahe ho ..
Rakhi :Bas karan !bohot hua tum sab ka . Rishabh karan to aisa hi hai but tujhe kya hua hai .. kahan gaye mere sanskaar ? Kya yahi sikhaya hai meine tujhe ki pehle waade karo shaadi ke fir mukar jao ?bol..?
He dont say anything
Rishabh meine kaha jawaab de !!
Rishabh :haan nahin karna chahta mein ye shaadi ! Kyunki is shaadi se koi khush nahin rahega maa ..
Rakhi :tujhe aisa kisne kaha ?
Rishabh :kya kisi ne mujhse poochha ek baar bhi ki mein kya chahta hun ? Shaadi karna bhi chahta hun ? Kya mein sherlin se pyaar karta hun ?
Rakhi :mujhe kuchh nahin sunna .. tumne sherlin ko shaadi ka waada kiya tha bhool gaye tumhari engagement ho chuki hai uske saath . Kya meine yahi seekh di hai tujhe ek ladki ko beech mandap mein thukra dena sirf isliye kyunki ab tera man nahin hai shaadi karne ke liye !
Rishabh :mom samajhne ki koshish karo ..
Rakhi :bas ab agar tune shaadi nahin ki to mera mara muh dekhega.. samjha !
Bol karega shaadi ya nahin ?
Rishabh is broken.he angrily goes from there in hall to marry sherlin.
Karan :mom aap..
Rakhi :karan tujhe meri kasam hai ab tune shaadi rokne ki koshish ki na to dekh lena..
Karan is sad too much .
Scene shifts to mandap
Pandit ji ranting mantras .
Sherlin :rishabh mein jeet gayi aur tum raam jaise seedho ho isliye haar gaye .
Tumhare paas saari qualities hain ek perfect man ki but mujhe kya .. mujhe to mere punnu baby se matlab hai . Agar tum meri prithvi se shaadi na rokte to mein tumhari life barbaad karne tumhare peechhe kabhi na padti .
But bachchu just wait and watch niw .. tumhari life battar na bana di na to mera naam bhi sherlin nahin aur tumse tumhari preeta ko humesha ke liye alag nahin kiya to kya fayda tumse shaadi karne ka . Main maksad hai mera tum dono ko alag karna barbaad kar dena ki tum kisi layak na raho .. ohh wo kehte hain na.. "na ghar ke .. na ghaat ke " she smiles evily and looks at rishabh .
Rishabh is so sad upset and broken inside ..
Kehte hain jodiyan upar wala banata hai but ye apne kya kiya mere saath bhagwaan ?
Sirf meri hi nahin sherlin ki bhi life destroy ho jayegi mujhse shaadi kar ke .. kyunki mein usse pyaar nahin karta aur shayad use wo khushi wo hak nahin de paunga kabhi jo wo deserve karti hai .
Kehte hain logo ke bhagya ek dusre ke saath jude hote hain. Mere bhagya mein sherlin hi thi to mujhe pyaar preeta se kyun hua.. ??
Pyaar sirf ek baar hota hai aur wo meine preeta ji se kiya hai .. par na jane kismat ko kya manzoor hai . Shaadi ke baad shayad preeta ji is ghar mein bhi naa apayein .. na mein preeta ji se apni dosti nibha paunga aur na apna rishta sherlin se ,kahaan fas gaya mein !
Rishabh closes his eyes
He remembers preeta and his moments . Their holding hands together,kitchen moment when their hand touched unknowingly ,how both helped each other in fire and putted hankey over each other mouth to help each other in breathing.
Shayad mera pyaar ka yahi mukaam tha . He has tears in his eyes ..
Pandit ji ranting mantras and rishabh all lost in preeta and his moments .
Mahesh:kritika dekh rishabh lost hai .. pata hai wo kya soch raha hai ?
Kritika :nahin papa.... Waise bhi bhai ye shaadi nahin karna chahte the ..
Mahesh: ye preeta ke baare mein soch raha hai .. aur un palon ko yaad kar ke ro raha hai . Yehi to true love hai..
Shaadi parivaar ke liye kar raha hai par uska dil aur dhadkan to kisi aur ke paas hai . Kritika tu sun rahi hai na.. ye ..
He turns back .. kritika not there..
Iska matlab isne kuchh nahin suna.. chhodo jisko pata chalna chahiye tha use to kuchh pata nahin chala ab bhagwan ko hi pata wo kya chahta hai !
59