Hey, Guys.
Sumit chonk gaya hai. Aisi koun si baat thi, kya aap jaanna nahi chahege ki kyon Sumit chonka, kyon uske hosh ud gaye aur kya huva hai? To phir chaliye us safar par jahan Kumkum-Sumit ekdoosre ke pati patni nahi magar sacche aashiq, jeevansathi, dost aur ekdoosre par mar mitnewale humsafar hai. Chaliye chalte hai aage.
Yahan Sumit phone par baat karke bahot hi bonkhla jaata hai aur uske chehre par pasina hota hai, woh bahot gabhra jaata hai aur phone rakhta hai.
Kumkum: Sumit, kiska phone tha aur aisa kya tumne suna hai ki tum itne gabhraye huve lag rahe ho? Kuch to kaho.
Sumit:(Sabse apni nazre churake) Nahi, Kumkum. Aisi koi baat nahi.
Kumkum: Sumit, tumse behtar main tumhe janti hoon, batao to sahi kya baat hai?
Sumit: Woh, woh...Woh.
Kumkum: Kya tum bhi woh woh kar rahe ho. Aage bhi to kaho.
Sumit: Woh office se phone tha aur tender paas karna hai woh uske baare me zara si galatfemi ho gayi thi aur isliye zara sa thoda tension hai magar main sab documents mail kar doonga, to thik ho jaaye gai.
Kumkum: Are you sure? Tum.
Sumit: Haan, baba. Tum rest karo vaise bhi tumhari tabiyat thik nahi.
Dadaji: Sumit, thik keh raha hai beta.
Sumit: Dadaji, Papa.
Kul & Dadaji: Kaho kuch kehna chahte ho?
Sumit: Woh main soch raha tha ki Kumkum ko doctor ne rest karne ke liye kaha hai aur woh khud apna khayal rakhti nahi to main soch raha tha ki woh...
Kul: Bolonaa. Kya kehna chahte ho?
Sumit: Woh ye ki office se kuch dino ki chutti le loo.
Dadaji: Ye bhi koi poochne ki baat hai?
Kul: Agar tum nahi kehte to bhi main tum se yahin kehta.
Priya: Are, waah. Kumkum . Pati ho to aisa.
Kumkum: Kya bhabhi aap bhi. Aur Sumit tumhe aisa karne ki koi zaroorat nahi hai. Main rest karoongi magar mere khatir tum apna kaam kyon rok rahe ho?
Dadima: Nahi, Kumkum. Sumit sahi keh raha hai.
Veenaji: Haan Kumkum, business tumse badkar thodi naa hai?
Kumkum: (Apne aap se) Muje lagta hai ki Sumit ko koi naa koi baat khaye jaa rahi hai aur woh yahan bata nahi raha to shayad usse akele me poochungi.
Rahul: Sumit, tum business ki bilkul fikr mat karo. Main hoon naa. Sab sambhal loonga. Tumhare jitna accha nahi magar kar to loonga.
Sumit: Kya bhaiya aap bhi. Kaisi baat karte hai. Aap mujse zyada experienced hai.
Mr.Sharma: Sumit, tum bilkul fikr mat karna. Hum abhi office hi jaa rahe hai.
Mrs.Sharma: Sumit.
Sumit: Ji mummy.
Mrs.Sharma: Tum kai dino se is bhagadodi me aram nahi kar paaye to ab tum aur Kumkum do no rest karlo.
Sumit: Kumkum.
Kumkum: Bolo, Sumit.
Sumit: Tumhe main kamre me chhod deta hoon, phir muje ek mail karna hai woh karke main aata hoon. Pehle tumhe chhod deta hoon.
Kumkum: Sumit, tum apna kaam karo. Main andar chali jaaoongi. Main bhabhi se kehti hoon, woh chood degi.
Priya: Haan, Sumit main le jaati hoon.
Sumit: Thik hai.
Priya: Chalo Kumkum.
Kumkum: Ji bhabhi.
Kumkum sirf Priya ko pakadke khadi rehne ki koshish karti hai magar usse itne chakkar aane lagte hai ki woh girne wali hoti hai, magar Sumit ka dhayana wahan hi hota hai aur woh pichhe se Kumkum ko pakad leta hai.
Sumit: Kumkum. Kya huva.
Kumkum: Woh zaraa se chakkar.
Sumit: Isse tum zaraa se keh rahi ho? Mamma.
Veenaji: Haan.
Sumit: Agar koi phone aaye to sabse keh dijiyega ki muje mobile pe phone kare main Kumkum ko kamre me lekar jaa raha hoon shayad Kumkum ki tabiyat bahot kharab hai.
Dadima: Haan, iski tabiyat vakehi bahot kharab hai, ek kaam kar isse uthakar hi leja varna Kumkum chal nahi paayegi.
Sumit: Ji dadima.
Sumit Kumkum ko uthakar apne kamre me jaata hai aur andar jaakar kamre ka darvaza band kar deta hai.
Yahan sab ikkthe baat karte hai.
Dadima: Aji, Kumkum ki tabiyat aisi hai aur hum honeymoon ki baat kar rahe hai.
Veenaji: Haan babuji. Maaji sach keh rahi hai.
Dadaji: Are, aap log shayad bhool gaye magar ab se thik 10 dino ke baad Sumit ka janamdin hai aur shayad usi din karvachoth bhi hai. To Kumkum ki to ye pehli karva choth hogi ti un dono ko us din tohfe ke roop me hum honeymoon ki tickets gift me denge.
Kul: Are, ye to dhyan se hi nikal gaya.
Mr.Sharma: Aap sahi keh rahe hai wadhwa saab.
Rahul: Ye sachmuch bahot accha idea hai.
Ye sab baate karne ke baad yahan se sab apne kaam ki aur nikal padte hai aur yahan Kumkum-Sumit ke kamre me Sumit sab khidkiya band karne lagta hai.
Kumkum: Ye kya kar rahe ho Sumit? Khidkiya kyon band kar rahe ho?
Sumit: Kumkum, tum sirf aram karo aur savaal nahi.
Kumkum: Thik hai magar ek patni hone ke naate pati ki kuch chize jaane ka aurat ko poora haq hota hai to us baare me to bat kar sakte hai.
Sumit: Matlab?
Kumkum: Tum yahan mere paas do minute ke liye baith sakte ho?
Sumit: Kya?
Kumkum: Sirf haan ya naa.
Sumit: Thik hai.
Sumit Kumkum ke paas baithta hai.
Kumkum: Sumit, main ye jaan sakti hoon ki ab jab hum ghar par aaye to kiska phone aaya?
Sumit: Maine tumse kaha to sahi ke office se.
Kumkum: Sumit tum jante ho ki tumhe jooth bolna nahi aata to phir kyon?
Sumit: Nahi aisa kuch nahi.
Kumkum: Sumit main itne bhi kabil nahi ki tum mujse apni problems share kar sako?
Sumit: Kumkum...
Bich me rokkar Sumit ka hath pakad kar apne sir par rakhti hai.
Kumkum: Sumit, tumhe meri kasam hai, ab sach batao.
Sumit: Kumkum, actual me police commissioner ka phone tha.
Kumkum: Kya kaha unhone?
Sumit: Woh jisne tumhe goli maari thi. Hum usse galat samaj rahe the.
Kumkum: Matlab?
Sumit: Woh muj pe nahi balki tum par hi hamala karne aaya tha.
Kumkum: Kya? Mujpe magar.
Sumit: Haan, Kumkum. Tumhe us din laga ki woh muj par goli chalayega magar woh tumhe hi marne aaya tha aur tumne meri jaan bachane ke liye uske samne aa gai aur usne goli chalai to goli ka shikar bhi tum ban gayi.
Kumkum: Magar woh muje kyon marna chahta tha?
Sumit: Woh Renuka ka admi tha aur abhi tak nahi pakda gaya. Isliye ab bhi tumhari jan ko khatra hai. Aur tumhe kuch bhi ho jaaye to main bhi nahi ji paaoonga.
Kumkum: Sumit, tum fikr kyon kar rahe ho?
Sumit ki aankhe aansoo se bhar jaati hai, Kumkum uske aansoo ponchti hai.
Kumkum: Jab tak mera Sumit mere sath hai muje kuch nahi hoga, hai naa?
Sumit apne aape se kho jaata hai aur Kumkum ko gale laga leta hai. Kumkum usse samjati hai.
Kumkum: Sumit, muje kuch nahi hoga. Aur woh jald hi pakda jaayega.
Sumit ko hosh aata hai ki woh kya kar raha hai aur
Sumit: Kumkum. Woh woh I'm sorry.
Kumkum: Nahi. Main janti hoon ki tumhe meri kitni chinta hai to that's OK. Ab tum aram karo.
Sumit: Tum bhi.
Kumkum: Thik hai.
Aur dono aram karte hai.................................
To be continued.........................................
........................................................
❤️ I love Juhiji very much. ❤️