Kuch toh Log Kahenge...ye shabd pehle mere jehan mein..rajesh Khanna ka hit song hi laata tha...par ye sab achanak August mein aaye KTLK ke promos ne badal diya...ab Kuch toh log kahenge sunne ya padhne par sirf humara show jehan mein aata hai...
ek show zindagi ko itna kuch de sakta hai..mere liye bahut ascharya wali baat hai...KTLK ke promos ne mujhe aakarshit kiya aur man mein maine thaan liya tha...mai ye show awashya dekhungi...
vyakulta se 3rd oct 2011 ki apeksha karne lagi...wo raat bhi aayi..pehla episode dekha aur aakarshan ab pyar mein parivartit ho gaya...KTLK ki wajah se Dhoop kinare jaisi sadabahar show dekhna ...
Man mein uththe kotuhal ko mujhe baanthna tha...mera jariya bana India-Forum...KTLK forum...
yahan aa kar KTLK ki adbhut episodes ki charcha karti...AshNi ne man moh liya tha..seedhi saadi kahani..jismein koi taam jhaam nahi tha...
Kalakaar jeewan se jude they...sare relations itne suljhe aur pyare..
Nidhi-baba ki bonding ...pita-beti ki saral dil choo lene wali bonding...dekh ke honthon par saumya si muskurahat aati hai...
Nidhi-Anji ki dosti TV world ki best darshayi dosti hai mere liye...dosti jo dosti ki tarah thi...TV shows ki typical unrealistic dosti jaise nahi...
Mrs Solanki aur Nidhi ki beech huyi baatein dil ke kone ko gudgudati hain...
AshNi ki interactions...unke beech panapte prem ne sabko khush kiya ...ek ek episode maine anginat baar dekha hai...
KTLK ki sabse badi daan(gift) mujhe hai...bahut sare pyare ajeej dost ...jo mujhe KTLK ki wajah se mile...mere andar ki pratibha ko bahar nikalne mein madadgaar saabit hua...
dheere dheere...KTLK bhi trp ki gorakhdhande mein ulajh gaya...kahani ko uski mul roop se hata diya gaya...saas bahu drama pasand karne wali darshako ko khinchne ki asafal koshish shuru huyi...KTLK ki pehchaan khone lagi...
phir hamari koshishein shuru huyi KTLK ko wapis uske mool roop mein lane ki..hum kuch safal huye..kuch asafal...hum log par jhujhte rahe...
Sony channel ne sada KTLK ko prathmikta di...KTLK bashers ne koi kashar nahi chori thi ki KTLK bandh ho jaye..parantu KTLK ka magic ...AshNi ka magic..SK-KK ka magic unke upar hamesha bhari raha...
iss saal jab KTLK ne apni journey shesh ki..humne yahi asha rakhi hai..jald hi hume KTLK 2 ke saath KTLK magic wapis milega...kehte hain na.."jab tak saans tab tak aas"..
ye Asha hi hum KTLK lovers ko khushiya deti hai...
KTLK ko main jitna bhi dhanyawaad doon..kam hai...KTLK mere liye hamesha hi sabse behatreen show tha hai aur rahega...
DIVYA...😊
Edited by rabzonedge - 11 years ago