Originally posted by: Aazeen02
Jin raaston ka zikr hai yahan,
Main khadi kahin inhi galiyon mei...
Sajan ke ghar mehkoon,
Ya Babul ke aangan ki kaliyon mei...
Main ri thehri ek ladki, aaj Papa ki rajkumari hoon,
Kal jaane kaun mile, jiski rani banoon na banoon,
Par papa ki dulari hoon...
Main sochti aksar akele,
Kaise jaungi unko chodke,
Kahin main khudgarz toh nahi,
Jo beech mei unhe akele rehne,
Main jaa rahi naye rishte jodke...
Main ri asamarth, kaisi ye majoobri hai,
Baba, jana chahti nahi hoon,
Par kehte ho zaroori hai...
Inn sab ke beech ye yaad rakhna,
Ja rahi hoon, kisi ki Bahu-Patni banke,
Lekin, zindagi ke kisi phi mod par dekhna palatke,
Main aapki beti thi,hoon, aur rahungi,
Rakhna inko yaad, kagaz par Mann ke...😳
sony di, iss behtareen post ne aapke, mujhe kuch Ghumzadaa sa kar diya...
Kuch apne mann ko tatola,
Kuch iss dil ko samabhala,
Apne inn ehsaas ko kalam se nikaala...
Main rok na saki, khud ko, iss kavita ko likhne,
Aapko teh-e-dil se shukriya adaa karti hoon, is khoobsurat se kalaam ke liye...
PS: Sorry sony di, emotional words zyadatar maatr-bhasha mein nikalte hain... I hope, I do not cause u much inconvinience...
Love and regards..
Aazeen...