OS-Guzra huaa kal ch-2 page 3

rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#1

December ki kuwase wali kanpkapati subah ke 5:30 baje they...uninda kasba apne nind ke giraft se dheere dheere azaad ho raha tha..chidiyo ne kalraw gaan aarambh kiya tha'ikka-dukka log sadako par nikal rahe they..

Nidhi ne Khidki khol ke dekha'Doodhwala besuri awaaz mein uss anchal ki lok sangeet gaate huye aa raha tha..Darwaze par dastak huyi' Doodhwala aur bharti saath hi aaye they..Bharthi Ne doodh liya aur Chai banane chali gayi'

"Bharti Ab tak akhbaar wala nahi aaya..Chai bana ke akhbaar le aao'"'Nidhi ne khidki bandh kar diya'

Raviwaar ek lamba boriyat wala din'Prathmik chikitsa Kendra mein koi apaatkalin stithi huyi tab usse bulaya jayega..kendra ke peeche hi kuch kamre hain..jinme se ek main Nidhi aur dusre mein Dr Ashutosh rehte hain'.

Darwaze par phir dastak huyi'Dr Ashutosh they..Thand se hathon ko masalte..Gehri khoyi khoyi shaant spasth..bhawnawihin aankhein'Dr Ashutosh ke antarman ki udwelna ko safaltapurwak dhank leti hai unki aankhein'Ye jaaduyi kaarnama bahut saalon mein seekha hai unhone..

Unki aankhein dekh kar wo behad kamzor pad jaati hai'saari shakti'saara pran..sharir se bahar behne lagta hai'dil hahakaar karne lagta hai..Laut chalo Nidhi'Lucknow'Piyush Tumhara hai..sweekaar lo tumhe uski aawashyakta hai'tumne toot ke ussi ko chaha hai'khud se bhagna bandh karo..

Nidhi se saha nahi gaya'Wo kursi ko pakad ke baith gayi.."Dr Nidhi aaj akhbaar wala nahi aaya..aapke yahan aaya hai kya??"

Jawab dene ke liye wo shabd dhund rahi thi..Andar bahar sannata goonj raha tha'

"Dr Nidhi Aap theek hai??"

"mere yahan bhi nahi aaya Dr ashutosh..Bharti jayegi Akhbaar lene..aapke liye bhi le aayegi"

"Ji shukriya..Chalta hoon"

Halki dhoop nikal aayi thi..kuwasa thoda chant gaya tha..Chai ke saath wo akhbaar padh rahi thi..

Akhbaar ko samet kar rakha'

23 ghante bina kuch kiye bitane hai..khamoshi se ghire tanha akele'

maine tanhaai ko swyam chuna hai'sabse kat kar door'yahan aa gayi hoon'kyu kar rahi hoon mai khud ke saath aisa??..kaun khush hua hai mere iss kadam se??..nahin sochna hai mujhe'saari zindagi aise tanha akeli rahungi kya main.??..Nahin nahin khud par aisa ghinona jurm nahi karungi..Piyush ko achcha.nahi lagega...

"Nashta laga doon"'
Nidhi ektak bharti ko dekhti hai..Akeli kahan hoon main bharti to hai'ek nischal muskaan uske hothon par aati hai'Piyush ki naraazgi se bach gayi main...
"haan laga do'usmai baba se phone pe baat kar ke aati hoon'phir mai aur tum bazaar jayenge..thik hai "

"ji chalungi'"

Ghar ki phone ki ghanti baj rahi thi'.Baba ne phone uthaya.."Hello"

"Hello baba.."Awaaz bhigi huyi thi..

"Nidhi..Meri Bachchi..kaisi hai?"

"Theek hoon baba..aap kaise hai.?"

"bas Tere bina kaisa ho sakta hoon..Wapis aa ja Nidhi"

"Baba aapne promise kiya tha na.."

"Nidhi Mujhe le chal'"

"babaaa'Anji uncle aunty kaise hai'Chote sarkar dadi Bua?

"Hmmm..sab thik hai Nidhi..sab ke bahut saare sawaal hai jiska jawaab main nahi de paata.."

"Baba yahan bahut thand hai..Lucknow me bhi hogi hai na'"

"Nidhi Baat ko ghumane se sawaal nahi badalte'.unka saamna tujhe karna hoga nidhi"

"Baba aap nahi baba'"

"Nidhi Chote sarkar ki shaadi hone wali hai..Tujhe nahi bataya na'Dadi buaa ne dhundhi "

"Sach baba.." aur wo hansi khilkhila ke'"chote sarkar ko shadi ka kitna shauq hai..unki shaadi bhi ho jayegi.."

"Tujhe Bhi to Shaadi ka shauq tha Nidhi'Teri Gudde ki shaadi anji ke gudiya se huyi thi..Yaad hai anji kitna royi thi..Pura din royi thi'"

"haan baba 'Aunty uncle ne phir pag phere ki rasm karayi thi..taki anji Gudiya ko dekh sake..Kya Din they na wo'.Aur Baba yaad hai piyush ne kaha tha Wo gudiya ke badle Mujhe'.." wo ruk gayi..Jis raaste wo jana nahi chahti thi..khud hi uss ka mod le liya..

"Nidhi'Parso Piyush ki shaadi ho gayi.."baba ne Dheeme swar mein kaha'Nidhi ne phone kaat diya tha'Issi baat se wo bachna chahti thi..nahi sunna chahti thi'aur wahi baat pighle seeshe ki tarah uske andar pahunchi'

Ankhon me labalab aansoo they..Raasta nahi dekh paa rahi thi..kamre ke andar gayi'Piyush ki shaadi ho gayi..yehi to chahti thi main'Nahiii jhuth hai..main ye nahi chahti thi..To kya chahti thi main???...Jawaab mujhe pata hai..par main Nahi Bol sakti khud se'.ek zinda laash ho rahin hoon"

"Bazaar jayengi??...aap phir ro rahin hai??"..

"Nahii'." Nidhi khidki ko pakad ke khadi ho gayi'

Bharti chupchap andar chali gayi'

13 saal ki nidhi apna maths ka homework le kar anji ke ghar gayi'

"Anjiii anjiii'"

"Haan idhar hoon kamre mein Nidhi.."

Bistar par dono saheliyaan ludo khel rahi thi' ..Ekagrata se dono ghotiyon ko dekh rahi thi..koi chal na kare'.

Tabhi kisi ne Nidhi ki choti peeche se khinch di.."Piyush mat karo aisaa aunty ko shikayat kar dungi"

"Kar do Maa se shikayat..Tum ladkiyo ko rone aur shikayat karne ke siwa aata kya hai??"

"Bhaiya Nidhi ko pareshan mat karo'Tumhare doston ko to main tang nahi karti"

"Chup raho tum Nidhi ki chamchi'."

"Maaa'.Bhaiyaa humeh tang kar raha hai."

"Anjiii rehne de Piyush ko bhi hamare saath khelne dete hai.."

Anji aur Piyush Stabdh ho Nidhi ko dekh rahe they'

"Piyush phir tum mera Maths homework kar doge na.."

"Ohh to isliye Mujhe khelne de rahi ho apne saath'waise tumhe meri yaad nahi aati bas Anji ki aati hai..par jab kaam ho to meri yaad aati hai tumhe Bandariya"

"Bandariya mat bolo..tumhekab aati hai meri yaad jab tumhe kisi ko pareshan karna hota hai..kyu.."

"Nahi mujhe tumhari yaad sirf tab nahi aati"

"To phir kab aati hai?"

"Hamesha aati hai"

Uss din pehli baar Dil badi zor se dhadka tha Nidhi ka'chehre ki shiraon mein rakt prawaah Tez thi'Kuch ajeeb ho raha tha uske saath'..

Edited by rabzonedge - 12 years ago

Created

Last reply

Replies

35

Views

6k

Users

11

Likes

160

Frequent Posters

Aazeen02 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#2
Divya di, awesome my sis... It really reminded me of my Hindi classes...

Ab toh aisa lagta hai, jaise naata toot gaya ho... Itne manbhaavak lekh- kahaniyaan jaisa choot gayi ho... Akhbaar mein likhi vistrit katha padhne ka samay hi kahan milta hai, lekin jab bhi hindi ke shudh shabdon se sammilit in kahaton ko padhti hu, toh na jaane kyu hriday mantrmugdh ho jaata hai... Ek ajeeb tareeqe ki shaanti ka anubhav hota hai... Jaise ye wohi raasta hai, jo mere ghar ki taraf ko aata hai... Jaise ye garmiyon ki wohi chuttiyan hain, jab main saal bhar ki thakaan mitaane apne paitrik ghar laut rahi hoon...
Ye hai mere liye, Hindi ki visheshta...

Aapki kahani mein Nidhi ke hriday ke aseem dard ki vyaakhya ki gayi hai... Apne Piyush se alag hone ka dard... Apno ke sawaalon se, unke saath na ho paane ka dukh... Aur inn sab ke beech kahin ek chota sa bhaag hai Ashutosh ka, jo Nidhi ko lautne ke liye prerit karne ki koshish kar raha hai... Ek dost ki tarah...?
Bharti shayad, yahan, iss praathmik chikitsa kendra mein, Nidhi ka ek maatr sahaara hai... Uske kaaryon mein sahaayata karne waali...
Lekin, inn sab ke beech, ashutosh ki tasweer abhi bhi dhoomil hai... Uska, Nidhi ke saath akele iss jagah par aa jaana, lucknow chod ke, kyu? Kya wo bhi chori se, nidhi ko dil de baitha hai?
Aakhir mein, uss bachpan ki yaad ko daalna bohot ki manmohak tha... Gudda-gudiya ki shadi, aur gudiya ke pagphere ne dil mein ek gud-gudi si chod di... Jaise kal hum bhi toh anji ya nidhi hi toh thhey... Maa se kehkar khaana pakwaate thhey shaadi mein...
Khair, aapki kahani mein bachpan ki yaad ne, Nidhi aur Piyush ke prem prasang ko aarambh kiya tha...
Khoob-bohot khoob... Shesh bhaag bhi jald hi likhne ka prayaas kijiyega...

Atyant Prem...
Aazeen...

PS: main ummeed karti hoon, ke mera uttar padh kar, main mazaak ka vishay na ban jaaoon...
deepali.rock thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#3
Hi dear. Loved the concept. Plz update soon
rajanigandha26 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
Good one. Pl. Continue. It's different
debaparna77 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#5
Wow!! jaanu...awesome OS 👏 👏 ..ek ghante pehle padha tha...itna sudh hindi ke dobara padhna padha...Mudra aisehi tujhe best sahityakaar of this forum nehi kaha tha...love u 🤗

plzzz continue ...
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#6
Rabzy,very cute and beautiful concept.aur aapki hindi masha allah bahoot hi khubsurat hai.Jaise kisine shabdo ko khubsurat se thaal me saja ke rakha ho.swachh bina kisi milawat ki.Nidhi aur piyush bachpan ke saath aur shayad nidhi aur piyush ka pyaar.chale no more guessing.will wait for the next chap.👏 5 ⭐️ aapki shudh hindi ke liye
niniborn2rule thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#7
rabzy khub bhalo hoyeche re... very good...jaldi continue kar..😊
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#8

Originally posted by: Aazeen02

Divya di, awesome my sis... It really reminded me of my Hindi classes...

Ab toh aisa lagta hai, jaise naata toot gaya ho... Itne manbhaavak lekh- kahaniyaan jaisa choot gayi ho... Akhbaar mein likhi vistrit katha padhne ka samay hi kahan milta hai, lekin jab bhi hindi ke shudh shabdon se sammilit in kahaton ko padhti hu, toh na jaane kyu hriday mantrmugdh ho jaata hai... Ek ajeeb tareeqe ki shaanti ka anubhav hota hai... Jaise ye wohi raasta hai, jo mere ghar ki taraf ko aata hai... Jaise ye garmiyon ki wohi chuttiyan hain, jab main saal bhar ki thakaan mitaane apne paitrik ghar laut rahi hoon...
Ye hai mere liye, Hindi ki visheshta...

Aapki kahani mein Nidhi ke hriday ke aseem dard ki vyaakhya ki gayi hai... Apne Piyush se alag hone ka dard... Apno ke sawaalon se, unke saath na ho paane ka dukh... Aur inn sab ke beech kahin ek chota sa bhaag hai Ashutosh ka, jo Nidhi ko lautne ke liye prerit karne ki koshish kar raha hai... Ek dost ki tarah...?
Bharti shayad, yahan, iss praathmik chikitsa kendra mein, Nidhi ka ek maatr sahaara hai... Uske kaaryon mein sahaayata karne waali...
Lekin, inn sab ke beech, ashutosh ki tasweer abhi bhi dhoomil hai... Uska, Nidhi ke saath akele iss jagah par aa jaana, lucknow chod ke, kyu? Kya wo bhi chori se, nidhi ko dil de baitha hai?
Aakhir mein, uss bachpan ki yaad ko daalna bohot ki manmohak tha... Gudda-gudiya ki shadi, aur gudiya ke pagphere ne dil mein ek gud-gudi si chod di... Jaise kal hum bhi toh anji ya nidhi hi toh thhey... Maa se kehkar khaana pakwaate thhey shaadi mein...
Khair, aapki kahani mein bachpan ki yaad ne, Nidhi aur Piyush ke prem prasang ko aarambh kiya tha...
Khoob-bohot khoob... Shesh bhaag bhi jald hi likhne ka prayaas kijiyega...

Atyant Prem...
Aazeen...

PS: main ummeed karti hoon, ke mera uttar padh kar, main mazaak ka vishay na ban jaaoon...

Aazeen sarv pratham..main tumse kahungi...kaun itna bawla hoga jo tumhare hridaysparshi tippani par uphaas kare...
hindi mere liye bhi garmi ki chuttiyaan...nanihaal ki yaadein..mere khali samay par padhi jane wali upnayaso ka tana-bana hai...anginat smritiyon ka samooh..
Aazeen Dr ashutosh aur nidhi sirf ek saath kendra mein chikitsak hain...filhaal aupcharik rishta hai unka..dheere dheere Dr ashutosh ki kahani bhi ubhregi...
Asankhya Dhanyawaad...Bhawpurna tippani ke liye..😳
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#9

Originally posted by: deepali.rock

Hi dear. Loved the concept. Plz update soon

Thankoo dipali..😳
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#10

Originally posted by: rajanigandha26

Good one. Pl. Continue. It's different

Thanks Rajani..😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".