Part 2 Nidhi apne kamareme exam ki taiyari kar rahi thi.Aarti khana bana rahi thi aur DB puja main baithe the.Armaan do dino se bahar gaya tha aur aaj aanewala tha. Itne me Nidhi ka cellphone baja.Samne Ashutosh tha.Nidhi: good morning doctor Ashutosh,subah subah?" Ashutosh: Nidhi,tum tum'uski aawaj me kampan tha,dar tha.Nidhi dar gai usne puchha,"kya hua dr Ashutosh?sab theek toh hai na? " Ashutosh:Tum jaldi se KGH me aa jao,Armaan ka accident hua hai.Nidhi:kya?bhaiya ka accident,kuchh jyada toh nahi laga hai na unhe? Ashutosh: Please Nidhi sawaal mat karo,bus jaldi aa jao,aur ho sake toh DB aur Aarti ko bhi leke aana." Nidhi ko kuchh bura hone ka andesha tha,lekin usne apne aap ko sambhala aur Db aur Aarti ko lekar hospital pahuchi. AShutosh ne Nidhi ko ek taraf bulaya aur kahaa," Nidhi,Armaan bahoot hi serious hai.Ab tumhe himmat rakhni hogi.Please... Nidhi ne dekha toh Armaan ke pure badan par pattiya bandhi hui thi.Use is haalat me dekhkar Aarti behosh ho gai.Nidhi ne us pe paani dala aur woh hosh me aayi toh usne Nidhi ke pair pakad liye," Please,Nidhi di aap apne bhai ko bacha lijiye.Woh meri zindagi ka sahara hai.unke siwa mera duniya me koi nahi hai.Bacha lijiye unhe.' Nidhi ne use uthaya aur bench pe bithaya.aur boli," mian dekhti hoo,bhabhi." aur woh Armaan ke pas gai.Usne Armaan ki saari reports dekhi aur use pata chal gaya ki Armaan ke sur ke andar jyada damage hua hai.Use uske bachaneki possibilities bahoot kum lagi.Lekin use halki si umeed thi ki Armaan bach jayega. Pure 24 ghante beet chuke the.Armaan ko achanak hosh aaya.Usne Nidhi ,DB aur Aarti ki taraf dekha aur kuchh bolneki koshish kar raha tha.Lekin tabhi uski saans ne uska saath chhod diya aur woh sabko chhodke chala gaya. Aarti ka toh ro roke bura haal tha.Us par DB ne Aarti se kahaa," Dekh manhoos ! tuze is ghar me aaye mahina bhi nahi hua aur tu mere bete ko kha gai.Itne saal kabhi bukhar bhi nahi aaya tha mere bache ko.Tere kadam hi manhoos hai.Ab tuh mere ghar ki rasoi aur Mandir me paav nahi rakhegi.Apni yeh manhoos shakal kabhi nahi dikhayegi." Aaj Armaan ka 13 wa tha.Ghar me sab rishtedaar aaye the.Samaj me toh jitne muh utni baten hoti hai.Sab ne is haadse ke liye Aarti ko hi jimmedar theheraya.DB ka gussa aur bhi badh gaya. Nidhi ki exam me sirf 15 din bache the.Ashutosh ne use samazaya," Nidhi,yeh tumhare liye imtihaan ki ghadi hai.tumhe saari jimmedari ek saath uthani hai.Ek taraf padhai bhi karni hai aur dusri taraf ghar me bhi dhyan dena hai." Nidhi ne unki baat gaur se suni lekin koi jawab nahi diya. Nidhi raat me padhai karneki koshish kar rahi thi.Tabhi DB ki aawaaj ghar me gunji.DB," Manhoos,kaanch ka cup fod diya.Woh toh upshagoon hota hai.Itna bada upshagoon toh kar gai,ghar ke bete ko khake.Jee nahi bhara.Bus ab tuze main is ghar me ek minute nahi rehene dungi.Nikal."aur bua use ghasitte hue le jane lagi. Aarti," bua,main kahaa jaoongi.Itni raat ho chuki hai.Subah chali jaoongi." DB: main toh tuze is ghar me ek minute nahi rehene dungi. Aarti daudkar Nidhi ke kamareki taraf gai aur usne Nidhi ke kamareke darwaja khatkhataya.Nidhi ne darwaja khola aur Aarti usse lipat gai ," didi,inse kahiye na main subah chali jaoongi.Aaj raat ke liye muze is ghar me jagah de dijiye. DB ne use khichne ki koshish ki toh Nidhi ne unka haath pakad liya," Bua,bus kijiye aap.Hum is bareme subah baat karenge.Aap jake so jaiye.Aur bhabhi aaj raat ko mere saath soegi." Nidhi ne aaj gaur se Aarti ki taraf dekha.Kitni masoom hai yeh ladki.Aur uske saath aisa ? kya kudarat hai na? mera toh bhai tha woh lekin iski toh puri zindagi thi woh.Kya karegi yeh? kuchh toh karna padega. Aur woh kuchh sochkar so gai. Nidhi ne subah uthkar dekha toh Aarti uske samne baithi thi.Aarti," didi,main jaa rahi hoo.Bus aapke uthaneka intejaar kar rahi thi." Nidhi,"aap kahi nahi jayengi bhabhi.Yeh ghar aapka bhi hai.Bhaiya nahi toh kya hua main toh hu.Aap isi ghar me rahegi. DB ne suna aur woh bhada gai DB,'Nidhi,tum chup rahogi.Tum padhe like log ho na isiliye aisee bate karte ho.Maine to tumhe bhi padhnese mana kiya tha.Lekin Armaan mane tab na? Nidhi: DB yeh inka bhi ghar hai,bus aap inhe aaj se kuchh nahi karegi.Meri exam khatam ho jane dijiye uske baad inke bareme sochenge. Us din se Nidhi Aarti ki jaise bodyguard ban gai.Aarti Nidhi ka khayal rakhti aur Nidhi Aarti ka. Nidhi ki exam khatam ho gai thi aaj.Aaj use ek faisla lena tha.Use jaroorat thi Ashutosh ke salah ki.Usne Ashutosh ko phone kiya. Third and last part will update soon