Khoti Milti 'khusi'-OS
Khusi 4 saal ki ho gayi thi…Bachpan se hi wo kafi kamzor rahi thi..Achche se dekhbhaal Nutrition par dhyaan dene par bhi…uske chehre par kabhi raunak nahi aayi….
Nidhi Ka PG ho gaya tha…Paedictrician wo banna chahti thi..Ban gayi thi…KGH mein hi usne as Paedi Doctor join kar liya tha…
Life smoothly guzar rahi thi…Bade baba Khusi ke saath Khelte rehte they….Khusi ke Nana Badi Nani sab ko jaise ek hansta khelta khilona mil gaya tha….
Khusi ko school mein daalne ki baat chal rahi thi….Par uske Health ko lekar sab pareshaan they..Tamaam tests huye par uski beemari ka koi diagnosis nahi ho paa raha tha…Nidhi Ghabrayi si rehti thi..Aajkal..
"Mumma Mujhe bhi school jana hai….Anshul Mujhse chota hai aur school jata hai"
Anshul Dr Rangnath aur Anji ka beta tha…Wo 2.5 years ka tha aur usse Unlogo ne play school me daala tha…
Khusi aksar school jane ki zidd kiya karti thi….
"Betu Anshul chota hai wo play school jata hai..Aap ko humlog nursery mein daalenge na…Bas kuchh mahino ki baat hai..phir mumma Khusi ke liye naye uniform,Baggs water bottles layengi aur Taiyaar karke school Bhejengi"
"Promise mumma"
"promise khusi"
"Promise Daddoo"
"Promise meri Nanhi Titli"
Wo Masoom bachchi issi mein khush ho jati…..
Ek Mahina Guzar gaya….Nidhi Khusi Ko utha kar taiyaar kar ke Hospital Jaati thi….Wo usse Jagaa rahi thi..par Khusi uthi nahi…
Nidhi ne Chillana start Kiya…..
"Dr Ashutosh,Babaaa……Jaldi Aaiyeee"
Main Daud ke gaya…..Nidhi ko bhi Pata tha..Par Nidhi Accept nahi kar rahi thi…..
Meri Saansein Ruk Gayi….Nahi Bhagwaan Ye sach Nahi ho saktaaa….Iss pal ko jhuth mein Badal Do Bhagwaan….
Khusi ki pulse Nahi thi….She was Gone…..
Cardiac Arrest tha……
Nidhi….Paglon ke jaise Matha patak patak kar ro Rahi thi….
Baba –"Bhagwaan meri Umr hai tere paas aane ki Tune meri Masoom kali kyu chin li"
Hiraman kaka Bhi fut fut ke Ro rahe they..Meri Duniya ujhad gayi Ek pal mein….Main chilla kar rona chahta Tha…Par main Aisi yaatna mehsoos kar raha tha..Meri Aatma bilakh rahi thi..par meri Aankh Nam nahi thi….Kyu Nahi ro paa rahaa tha main??
Maine Apni Bachchi ko Gaud mein liya aur Bahar nikal pada…
"Dr ashutosh..Meri Bachchi Mujhe dijiye….."
Nidhi mere piche daud padi…
"Chup ho jao Nidhi..Mujhe Janna hai..Meri Beti kyu gayi humeh chod ke…."
"Chup ho jaoon..Meri beti nahi rahi main chup ho jaaooon…..
Mera Bachcha Mera astitva….Meri 4 saal ki tapasya..Mera 4 saal ka waqt….Sab chin gaya mujhse Dr Ashutosh iss pal….Dr ashutosh Hamari Khusi Nahiii Rahi"
"haan meri khusi Nahi rahi…..Meri khusi nahi Rahii..Nidhi nidhi..Meri khusi nahi rahi….Khusi beta utho..Dekho Tumhe school Jana hai..Tumhe Admission karana hai..Khusi uthooo"
Mera Lava beh nikla….ghar ke Darwaaze par main Baith gaya..Khusi ko seene se laga kar chilaa padaaa.."Khusiii"
Main fafak fafak kar ro raha tha…..Nidhi Mujhe Pakad ke Zaar zaar rone lagi….
HK ne Sabko phone kar diya tha….Khusi ke nana Badi Nani..Dr Rangnath,Anji..Shyama aunty Solanki uncle Sab aa gaye they….
Sab ki Aankhein Nam thi….
"Nidhi Main Khusi ka autopsy karana chahta hoon..Meri Beti kyu gayi humeh chodh ke"
"Dr Ashutosh Nahi Mujhe Nahi janna….Iske sharir ko Tehas nehas na karein..mujhse Bardasht nahi hoga"
"Nidhi…Main saari umr Apni Beti ke jane ka dukh seh nahi paaunga Bina jane wo kyu gayi mujhe chodh ke"
Autopsy Kara ke pata chala Khusi ko Rare Inherited genetic cardiac disease tha..Jo easily reports mein Pakad mein nahi Aata..hai…..
Hamari Bachchi humse Bahut door jaa chuki thi..Itne kam dino ke liye wo Aayi thi..Sirf 'khusi' Dene..Aur jaate huye hamari saari 'Khusi' apne saath le gayi…
Zindagi pehle jaisi nahi thi…Pura ghar ujhad gaya tha…Nidhi sooni aankhon se Khusi ki har cheezon ko chuti aur Roti rehti….
Hospital Jaati kisi Bachchi ko dekhti Aur usse gale lagakar Ro Padti….Wo Deep Depression mein chali gayi thi….
"Nidhi Khana kha lo beta" Baba keh rahe they…
"Baba Mujhe bhukh Nahi hai"
Baal bikhre huye they…Na Theek se khati thi..Na theek se kapde pehenti thi..Jo mila pehen liya…Nikal gayi…Bas Khusi ke Kapde..uske Khilaune dekhti rehti thi…
Dil toh mera bhi Cheekhta tha..Par main Kamzor bhi nahi ban sakta tha…Usse kaun samhalta…..
"Nidhi chalo Kahin Ghum kar Aate hain..Kuchh dino ke liye"
"Mujhe kahin nahi Jaana……"
"Nidhi Kuchh bolo..Itni Khamoshi..Itna sannata..Ye ghar mujhe koi
mortuary lagta hai…sab khamosh….Mujhe meri awaz nahi sunaai deti"
"dr Ashutosh….Main khud ek zinda Laash hoon..Meri beti gayi..Mera sab kuchh gayaa….Issi ghar mein Dam toda usne..Uski aakhri Saansein yahi thi na…Ye ghar Mortuary hi hai..Kyaa aap jee rahen hai…Nahi na..saansein lena Jeena nahi hota dr ashutosh….Mai bas ek aurat thi ..Jab wo Meri zindagi mein Aayi thi..Usne Mujhe Maa banaya..Ek aisa ehsaas Jisne meri rag rag mein meri Aatma mein ..Mere behte huye ek ek katre khoon mein..Mamata bhar diya…Wo meri dhadkan,Saansein..Meri zindagi mein samati gayi…Main uski aankhon se Duniya dekhne lagi..uske Baaton mein khone lagi..uski neend uththi thi..uski neend soti thi…Mera apna kyaa tha….Kuchh bhi nahi..Meri zindagi ki dhuri…Meri Bachchi thi..Meri prerna aage Badhne ki…Main kyu Zindaa rahoon Dr ashutosh..Meri Bachchi ke saath..Ek Maa bhi Mar gayi..uska wajood bhi Marr gaya..Wo Maa sirf saansein leti hai..Kyuki wo ek Biwi hai..wo ek Bahu hai..wo ek Beti hai..Wo ek Doctor hai….par wo Jeeti nahi Hai…Ye ghar ab ghar nahi hai..Main main Nahi hoon…Meri beti mujhe lauta sakte hain Aap..Main kahin bhi Ghumne Jaaoon..kyaa Meri Beti waapis aayegi..Nahi na..Phir kyu jaaoon Kahin…"
Aaj Itne dino baad Nidhi ne apna dard Nikala tha….Wo wahi zameen par Beth ke ..Apne seene ko pakad kar "Khusiii" keh kar rone lagi….
Main kamre se Baahar aa gaya….Main Nidhi ko Aise nahi Dekh sakta Tha…Kyaa Karoon….Jisse meri Nidhi Halka sa Muskura De….
Wo hi ghar ka Marghat sa Mahaul..Baba bhi Kuchh nahi bolte they….Nidhi Waisi hi thi…..
Maine Dr Sharma se baat ki Jo ki KGH mein psychiatrist hain…
Unhe Nidhi ki Sari Manostithi batayi…
"Dr ashutosh…Nidhi ke life mein ek Vaccum Aa gaya hai..wo Bachchi ko bahut miss karti hai..Jab tak aap uski ye kami puri nahi karte wo aise hi behave karegi..Talk to her..Ya toh aap phir se Baby Adopt kijiye ya Biologicaly Usse mom banne ke liye Protsahit kijiye.."
…..Raat ko Hamare Room mein…"Nidhi tumse ek baat karni thi…Tumhare andar ki maa ko main zinda karma chahta hoon"
"kaise…"
"Nidhi iss baar tum 9 mahine 'Khusi' ko apne andar rakhna..phir iss duniya iss ghar mein laana..wo waapis aayegi Nidhi..Hum tum mil kar layenge usse"
Nidhi ki aankho mein ek roshni chamki…."Hamari Khusi waapis aayegi Dr Ashutosh..Main laaungi usse sahi kahaa aapne..Main laaungi usse phir se Hamari zindagi mein..Itni asaani se Meri bachchi ko Main Jane nahi dungi..Kabhi nahi"
Nidhi Ki Mamta jeet gayi thi…..