Dr/Ms S D B
Time:8 pm
Scene: Ishwari Nivas: The whole family including Ranveer,Neha(visiting maika) are sitting in the living room. Sonakshi is caught up with work(she left at 7am).
Nikki:Sona Bhabhi ko itni der kyun lag rahi hai?
Dev(moody as Sona left before he woke up): Unhe bohot kaam hai aaj. Aa jayenge. Aur unhe apna naya certificate bhi collect karna hai.
Maa:Use khud ki tabiyat ka zyaara sa bhi dhyaan nahi. Lekin jab dekho mere peeche padi rehti hai. Pata nahi itna kaam rakhkar usne kuch khaya peeya hai ya nahi. Aur yeh certificate aaj hi lena hai kya?
Rhea:Finally! Sona Bhabhi kitni excited thi! Achha hua ki Bhaiyya Dev Dixit hai. Varna in sarkaar waalon ka koi bharosa nahi. Bina rishwat ke kaam ni karte aur phir bhi unke sau nakhre hote hai.
RadhaRani:Haan Dev Dixit hai tabhi toh shaadi kiya hai usne. Garib ki beti ki toh koi sunta hi nahi. Use apne naam ke aage Dixit lagane ki kya zaroorat? Dacter hai woh. Aur maine suna hai bohot saare lady dacter nahi badalte apna naam.
Ranveer:Lekin Sonakshiji apne naam se Bose nahi hata rahi hai. Woh bas dono naam rakhna chahti hai.
Mamaji(angry):Maine tumse pehle hi kahata ki aakhri baar keh raha hun- Sonakshi is ghar ki bahu hi nahi, beti bhi hai. Bohot achhi ladki hai. Uske baare mein koi anap-shanap nahi bologi tum!
Dev(irritated):Mamiji aap bade hai. Main aap ki bohot izzat karta hun. Lekin agar aap baar baar kuch bhi bologi Sona ke baare mein toh main dobara ek kaan se sunkar doosre kaan se nahi jaane de sakta. Issliye main aap se request karta hun ki aap please aayinda Sonakshi ke baare mein aise baatein mat kijiye. I'm sure ki ab toh aap bhi bas kehne ke liye kehti hai. Issliye aap baar baar wohi baat dohrate ho. Aapko unke khilaaf koi asli shikayat nahi hai.
Maa:Haan Bhabhiji aap bhi bheetar maan chuki hai ki woh karodon mein ek hai.
RadhaRani:Achha baba, lo, main chup ho jaati hun.
Sonakshi's payals can be heard.
Dev:Achha ab topic change karo. Sona ko is charche ke baare mein pata nahi hona chahiye.
Nikki:Don't worry Bhaiyya, I got this.
Sona enters.
Nikki:Toh Dr. SDB, kaisa lag raha hai aapko?
Sona gives a wide smile.
Neha:Toh laayiye. Bataiye. Sabse pehle mein aapka naya naam dekhna chahti hun. Print mein.
Sona hands over the envelope to her.
(Ranveer and Sonakshi are now brother and sister by relation but they developed a strong bond even before her marriage when Neha-Ranveer help in convincing Ishwari for the marriage. Sona calls him Ranveer Dada.)
Ranveer:Mujhe toh apni behen ka naya naam bohot pasand hai.
Sona:Arey Dada, mere paas aapke liye surprise hai.
Ranveer:Arey waah, toh Dr. Sonakshi Dixit Bose ka pehla surprise mere liye hai.
Sonakshi(confused):Dixit?
RadhaRani:Bhul gayi kya? S-D-B. Angrezi mujhe achhe se nahi aati, lekin main bhi jaanti hun ki Dixit D akshar se shuru hota hai.
Rhea:Aaj hi toh badla hai. Aadat daalni padegi.
Sonakshi:One second. One second. Rukhiye. Aap sabko lagta hai ki D ka matlab Dixit hai? Par kyun? Main Dixit lagakar kya karungi? (Turning to Dev) Dev, aap chahte the ki main apne naam ke baad Dixit lagaun?
Dev:Nahi toh. Maine toh aapse naam badalne ke liye kaha hi nahi tha. Aap hi karna chahti thi.
Nikki:Lekin agar D ka matlab Dixit nahi hai toh phir kya hai?
Neha(holding the sheet in her hand and looking at Sona fondly, with tears in her eyes):Dev.
Sona:Haan Dev. Maine aaj hospital mein kitne logon ko paat padhaya. Doctors, nurses, peons. Sabko. Ab aap sab ko bhi padhana padega kya? It's Dr.Sonakshi Dev for you.
Dev and Ishwari Maa are just smiling at her.
Nikki:Wow kya pyaar hai. Toh Bhabhi aapko yeh thought kab aaya?
Sona(all excited and gushing):Arey bohot pehle se. Main jab bhi kaam ke beech do minute ka break leti thi aur Dev ko bohot miss karti thi toh main apne writing pad par Sonakshi Dev Sonakshi Dev likhti thi. Toh jab shaadi pakki hui maine socha ki main official kyun nahi kar dun.
Dev:Toh matlab aaj kal aap breaks nahi leti hai?
Sona:Leti hun.
Dev:Toh aap past tense mein kyun baat kar rahi hai? Aaj kal aap break mein kya karte ho?
Sona: Offo Dev, aap bhi na. Tumi akdum impossible ho!
Dev:OK fine. Vaise toh achha hua ki pehle aapne confess kiya.
Sona:Matlab?
Dev:Saare papers jin par maine Sonakshi Dev Dev Sonakshi Dev Sona likha hai woh sab maine desk ke neeche drawer mein store kiye hai.
Everybody smiles looking at them.
Maa:Sada khush raho.
Mamaji:Hamesha aise hi rehna. Itna hi pyaar aur mumkin ho toh aur bhi.
Nikki:Do log isse bhi zyaada pyaar kar sakte hai kya?
Ranveer:Vaise Ms.Sonakshi Dev mera surprise kahan hai?
Sona(Picking up her bag):Achha toh main lunch time mein ek aisi jagah gayi thi jahan mujhe aisa kuch mila tha jise aap na jaane kab se doondh rahe the. Tan-ta-daa!
(Takes out a heavy textbook)
Ranveer:Arey aapko kahan mila yeh. Main Dilli ke saare kitaabon ke dukaan jaanta hun. Kahin nahi mila.
Sona:Arey bachpan se main bhi bohot padhaku thi. Mujhe bhi Dilli ke saare bookshops maalum hai. Galli galli mein chupe hue bhi.
Ranveer(taking the book):Mujhe bhi bataiye na!
Sona:Arey kyun. Aur bhi kitaabein hai toh mujhe bata dijiye. Lekin yeh mera secret rahega.
Ranveer:Achha abhi ke liye jaane deta hun. Lekin aap se toh main pata karke hi rahunga. And thank you so much. Mujhe isse notes banana shuru karna hoga. Bachhon ko padhane ke liye.
Neha:Lekin abhi nahi. Family time hai. Jab dinner ke baad hum ghar vapas jayenge tab.
Sona:Arey haan toh dinner kab karne waale hai hum?
Neha:Ek minute, agar aap lunch time mein kitaab lene gaye the, toh aapne lunch Nahi kiya hoga. Toh phir? Shaam ko canteen se kuch khaya tha kya?
(Sona makes a sheepish face)
Dev:Sonakshi, aapne pichle baar kab khaya?(with an intimidating expression)
Sona(in a small voice):Kal raat ko.
Dev(gets up):Kichhu! Dinner laga do.
Maa:Mujhe pata tha! Main keh rahi thi ki iss ladki ko apni fikar bilkul nahi hoti.
Walks over to Sonakshi and picks her up in his arms.
Sona:Dev! Kya kar rahe ho? Bade hai. Bachhe hai.
Nikki:Oh hello hum bachhe nahi hai. Main college jaati hun. Mere dost already apne teesre boyfriends par hai.
Dev:Sab abhi khana khayenge. Varna Sona nahi khayegi.
(Sona is still struggling in his arms.)
Dev(softly)Sonakshi Dev...
(Sona starts blushing and calms down.)