hi iam back wid da 2 part of the ff.enjoy!
Heer was consoled but she was still worried about the reactions and behavior of the family members towards her. And prem was thinking about who placed the b.case intheir cupboard. Prem comes out of his thoughts and look at heer's worried face.
Prem:heer.
Heer doesn't reply as she is still thinking.
Prem; heer!
Heer:han…
Prem:kiya hua…kiya soch rahi ho?
Heer:kuch nahi….bas yehi ke sab gharwale kiya soch rahe honge mere bare mein.
Prem:heeer tum bhi na..jab tum ne kuch kiya hi nahi hai to dark kyon rahi ho…aur waise bhi jab sach sab ke samne ayega to koi tum se kuch nahi kahe ga.
Heer: lekin prem yeh to sirf tum jante ho ke maine kuch nahi kiya…baqu sab ko main kaise samjhaoon, aur waise bhi main to yeh bhi nahi janti ke in sab ke piche kis ka haath hai.
Prem:kiya tumhe mujh pe bharosa nahi.
Heer:khud se bhi ziyada.
Prem:to bas ab sab kuch mujh pe chhor do. Main pata laga kar hi rahoon ga.par tab tak tum kisi se kuch nahi kehna hmm.
Heer nods in +ive.
Prem: bas eik baar us insaan ka pata chal jaye to saari problem solve ho jaye gi.
Prem looks at heer and puts his hand on her cheek.
Prem: aura b is bare main soch soch kar pareshaan mat hona han.
Haan jab kisi ka tum jaisa pati ho to use pareshaan hone ki kiya zaroorat hai.(lovingly) main bohat kismet wali hoon jo mujhe tum jaisa humsafar mila.
Prem:nahi heer kismet wala to main hoon jo mujhe tum jaisi patni mili. Bhoolgai jab puri duniya ne mera saath chor diya tha to tum ne mera saath diya thha.
Heer:tum ne jo meray liya kia uske samne to wo kuch bhi nahi thha.
(oh ho, ab larai shuruu ho gayi kiya. Ke kaun achha hai…lol)
9apna masla bhool gaye kiya jo past pe lar rahe hain…ha ha ha )
prem: nahi heer tum ne mera liye bohat kuch kiya hai ab meri baari hai.(yahan kiya baariyan lagi huyi hain…he he)choron ga nahi usse jisne bhi yeh sab kiya hai.
……waise kaun hoga wo.(curiously)
heer: preeem choron in baton ko…ab mujhe yeh batao ke khana le aaoon bohat bhook lagi hogi na.
prem:han han le aao..tumhare chakar mein to bhool hi gaya.
Heer: achha tum fresh ho jao main 2 min mein aayi haan.
Pem(naughtily): 2 min hi lagana, 2 min bol ke pura ghanta mat laga dena.
Heer: ghanta nahi lagati 2 min kaha hain na 2 min hi main aaon gi. Main heer hoon prem juneja nahi.(while going out of the room)
Heer comes back with a tray of food.and prem is in the washroom.
Heer; prem! Aao khana kha lo. Main le ayi hoon.
Prem:haan bas aa raha hoon.
Prem cums back.
Prem: heer tum ne khaya.
Heer: nahi tumhara intezar kar rahi thi.
Prem: tum bhi naa kitni baar kaha hai kha liya karo, lekin majaal hai jo kisi eik baat bhi maano.dekho apne aap ko, din ba din sookti jarahi ho. Yehi haal rah na to eik din nazar bhi nahi aao gi.
Heer: achha ab agar tumhara bhashan khatam ho gaya ho to khana kha lein.
Prem:haan.
Prem cums there and they both have lunch.
Prem: heer
Heer:haan.
Prem;waise tumhe kisi par koi shak hai kiya.
Heer: nahi to…aur waise bhi koi aisa jaan booch kar kyon karega.
Prem:bas bas bohat mahanta(greatness) dikha di. Han koi asa kyon karega brief case to apne aap chal kar aaya hain na yahan.
Heer:preeem!
Prem:Achha ab mujhe yeh batao ke sab se pehle kisne kaha thha ke b.case tumhare pass hai.
Heer:wo..chachi ne.
Prem:aur kamre tak sab ko kaun laya.
Heer:kamre tak bhi chachi layin.
Prem:achha to yeh baat hai..mera to pura pura shak chachi par hi jata hai.
Heer:lekin..chachi aisa kyon karengi. Aur hamari baat par kaun yakin karega.
Prem: tum fikar mat karo main puray sabooton kay saath hi kisi ka naam loon ga. Tum pareshaan mat hona.(putting his hand on heer's cheek) heer gives him a lovely look and a smile.(ok now the serious part is here)
Heer: mujhe tum par pura bharosa hai prem.bas hamesha mera isi tarhan saath dete rehna.
Prem:heer……..main mar jaoon ga lekin…
Heer pts her hand on his lips, with teary eyes.
Heer; khabardar jo aainda aisi baat apni zabaan par bhi laye to.
Prem holds her hand and gives her a smile.
Prem:doonga….hamesha tumhara saath doonga.
And then they both hug…
Hope u guys like it. Plz plz do comment. Thank u all who encouraged me to write it. Thank u so much.
Special thanks to Parth bhaiya, for giving me the idea of how prem proves heer innocent and finds the truth.
Luv iqra