OS # Mohabbat yun nahi achi precap on 10 - Page 3

Created

Last reply

Replies

52

Views

8.5k

Users

12

Likes

60

Frequent Posters

AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#21

Originally posted by: sana.harshiti

Hi Khwahish 🤗wow beautiful OS

Interesting to see Prem's Junoon..
eagrly waiting what he will do next to get his Heer😉...
pleasee update soon the next part plzzz

thank u for liking... will update soon😊
AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#22

Originally posted by: Premeer_Diwani

beautiful story..

prem is such a stubborn..and heer is careless too.. lol..
i'm loving this terrific combo.. it is gona to be a passionate story..
pls update next part soon...

thanks alot priya for liking... 😳
AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#23
will update soon... aathi ek part ka or addition hogaya hai... yaar abhi likha hi nahi... will try to update next one soon...
AASUS thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#24
Khwahish Ty for the reply :D
Very excited to know you'll uodate soon. 😎
AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#25
will updat 2nd part tonight...
AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#26
Part 2


Prem ko bohat gussa araha tha, wo jab call karta heer cell switch off kar deti. wo countless message send karta, uski miss khoobsurat ek reply nahi karti, prem ki halat uss chotay bachi k jaisi hogai thi jiska favourte toy kho gaya ho, or wo talaash karta phir raha ho har jagah. prem bhi waise hi uss larki ko dhoond raha tha har jagah, har chehre main. Dusri taraf heer pareshan thi uski shaadi ka din nazdeek aaraha tha, upar se banda usay pareshaan kar raha tha. messages se usay pata chal gaya tha k ye wohi car wala shaks hai. ab heer pareshan thi k wo kyun uske peechay haath dho k par gaya hai, agar uskay ya manmeet k ghar main kisi ko bhi iss larke k baray main pata chal gaya tou kiya hoga? sab uske baray main kiya sochen gey? uska image apni or manmeet ki family k saamne kharab na ho jae kahin. usay jitna darr in sari baton ka tha uss se kahin zyada gussa or nafrat wo us shaks se karne lagi thi jis se wo galti se lift le beithi thi.

----------------------------------

Aur ho song rockstar.

Meri bebasi ka bayaan hai
bas chal raha na iss ghadi
Meri bebasi ka bayaan hai
bas chal raha na iss ghadi

Ras hasrat ka nichod doon
Kas baahon mein aa tod doon
Chaahoon kya jaanu naa
Chheen loon chhod doon
Iss lamhe kya kar jaaun
Iss lamhe kya kar jaaun..
Iss lamhe kya kar doon jo mujhe chain mile aaraam mile
Aur ho.. Aur ho
Saans ka shor ho aanch bhi aur badhe
Aur ho.. Aur ho
Saans ka shor ho taap bhi aur chadhe
Aur ho.. Aur ho
Aur mile hum aur bhi jal jaaye

Tujhe pehli baar main milta hoon har dafaa
Meri bebasi ka bayaan hai

Tujhe chheen loon ya chhod doon
Maang loon yaa mod doon
Iss lamhe kya kar jaaun
Iss lamhe kya kar doon
Jo mujhe chain mile aaram mile

Aur ho.. Aur ho
Saans ka shor ho aanch bhi aur badhe
Aur ho.. Aur ho
Saans ka shor ho taap bhi aur chadhe
Aur ho.. Aur ho
Aur mile hum aur bhi jal jaayein

[le le le...
Jiya jiya...
Piya piya...
ye hey...]

Main hasrat mein ek uljhi dor huaa
Suljha de ho ho...
Main dastak hoon
Tu bandh kiwaado sa
Khul ja re ho
O bebasi mann mein basi
Aa Jeete jeete jee le sapna

Aur ho.. aur ho
Saans ka shor ho aanch ki aur badhe
Aur ho.. aur ho
Saans ka shor ho taap ki aur chadhe
Aur ho.. aur ho
Aur mile hum aur bhi jal jaaye

Ruke se naa ruke
Ye naa thake
Aandhi si jo chale inn saanso ki
Pata bhi naa chale kahaan pe kya jale
Hai darr se, tann-mann ki, siharan se
Hasrat ki, sulgan se
Bhadke aur shola shola
Jale bujhe dhuaan dhuaan
O dhuaan dhuaan
Lage mujhe dhuaan dhuaan o

Meri bebasi ka bayaan hai
Meri bebasi ka bayaan hai
Meri bebasi ka bayaan hai



----------------------------------

Manmeet ko prem ne sab kuch bataya, manmeet bhi kafi arsay se prem ki deewano jaisi halat dekh raha tha or prem ki us larki se deewangi se bohat achi tarah waqif tha isi liye manmeet ne prem se us larki ka number manga takay wo apne papa k refrence se us larki ka ata pata maloom kar le, or prem ko bata dey. prem ne usay us larki ka number msg kar diya, manmeet ne inbox check kiya or shock reh gaya, ek bar do bar phir najane kitni hi baar usne prem ka send kiya hua number read kiya, wo abhi tak shock main tha jab prem ki call i.
"number mil gaya?".Prem ne pucha.
manmeet ik dam sanbhla.
"han prem! tujhe pakka yakeen hai k yahi number tha?" manmeet ne confrm karna zaruri samjha.
"ankhen band kar k infact sotay hue bhi tujhe ye number bata sakta hun, ungliyan ghis gai ye number dail karte karte, or tu mujhse conferm kar raha hai?" prem repled.
manmeet sigh " o.k phir main dekhta hun k main tere liye kiya kar sakta hun".
call disconnected.
manmeet bohat pareshan tha usay samajh nahi aaraha tha k wo kiya kare? kyun k ye number uski mangetar heer ka tha, bohat der tak sochne k baad usne gehri saans li or faisla kiya, ab usay uss faisle ko har haal main maanna tha or manwana bhi tha, ek faisla jo bohat kuch badalne wala tha bohat kuch.

-----------------------------


wo abhi tak shocked thi usay yaqeen nahi aa raha tha k manmeet ne shaadi se inkaar kar diya, wo samajh nahi parahi thi k akhir hua kiya? manmeet ne apni jagah apne dost ka proposal diya tha jis k liye usne apni or heer ki family ko mana liya tha. or kaise manaya tha ye sirf wohi janta tha, itnay papar usne apni puri zindagi main nahi belay honge. ab bas heer ko manana tha or yehi kaam usay sab se mushkil lag raha tha.

----------------------

Usay pata tha k heer ko manana itna aasan nahi lekin heer ka aisa reaction milay ga ye manmeet nahi janta tha heer ne usay bina kisi lehaz k zordar karara thappar de mara tha, or iss baat ka heer ko zara bhi afsoos nahi tha. manmeet shock tha aise reaction pe or thora hurt bhi hua tha lekin usay har haal main heer ko manana tha jo faisla usne apni dosti k leye liya tha usay har haal main sab se manzoori leni thi khaas kar heer ki. iss waqt na tou wo heer ka family friend tha na uss ka fiance or na hi kuch or, wo tou shayad manmeet bhi nahi tha wo tou koi or hi tha, haan wo sirf prem ka dost tha, uska jigri yaar jo iss waqt prem k dil ka muqadma larne heer ki adaalat mein aya tha, or wo janta tha k mushkil zaroor hai lekin namumkin nahi hai wo prem ka muqadma jeet jae ga. heer ki adalat prem k haq mein faisla de hi degi bas kuch waqt lagay ga, haan bas thora waqt, usay bhi tou laga tha naa heer ko bhi lagay ga.

-------------------------

"Prem k dad ne uski mom ko tab chhor diya tha jab prem iss dunya main aney wala tha.uske dad ne apne father k darr se prem ki mom se shadi ki thi kyun k agar wo prem ki mom se shadi nahi karte tou prem k dadaji unhe jaedad se alag kar dete. shadi karte hi jaedad unke naam ho gai tou unhon ne prem ki mom ko divorce dedi or apni pasand se shadi karli. prem ki mom ne kitni mushkilon se usay or khud sambhala hai ye main tumhe alfazon main kabhi nahi bata sakunga. jab wo 7 saal ka tha uski mom ki death hogai thi wo sari raat unka haath pakray rota raha tha koi nahi tha us waqt usay sambhalne k liye, koi nahi tha jo uski mom ko sahi time pe hospital pohcha dey. tum tou sun k hi rone lagi ho uss pe tou beeti hai. uske step sis bro hain but ussay bohat nafrat karte hain, uske dad itne ghatya hain k uski kaamyabi uski uraan dekh k jalan ka shikar hain. kyunki unki baqi aulaad naliaq hai. apni jalan nikaalne k liye unhone hamesha prem k raastay main kaante bichae hain. but prem ka goodluck scholarship bhi milti gai or uske dad ki koshishen b fail hoti gain. haan ik jagah wo jeet gae."
Heer look at him as she want to know.
"Collage main ik larki prem ki zindagi main i thi, wo prem se bohat mohabbat karne lagi thi prem b usay pasand karne laga tha uswaqt prem ko job ka masla tha tab prem k dad ne situation ka faida uthaya or us larki k dad jo k unke dost thay ko prem k khilaaf kar diya unhone apni beti ko dusre sheher shift kar diya. prem ne usay dhoondnay ki bohat koshish ki lekin nakaam raha. ek din prem k dad ne usay ik card la k diya. apni jeet or uski haar ka card, usi larki ki shadi ka card tha or usi din ka tha, prem k paas waqt bhi nahi tha k wo shadi rok ley. us din wo toor gaya wo sari zindagi nahi samajh paya k ik saga baap apni jaiz aulaad k saath aisa kaise kar sakta hai? us din us ne haar na manne ka faisla kar liya. wo din hai or aj ka din hai prem phir kabhi nahi hara. aj jab 11 saal k baad wo agay barhna chahta hai apni zindagi main. dil se tumhe maang raha hai tou main kaise inkaar karun? hum dono ik dusre se mohabbat nahi karte wo karta hai, wo tumse bohat mohabbat karta hai, paglon ki tarah chahta hai tumhe.
uske baray main tumhen sirf iss liye bataya hai takay tum uss say nafrat na karo sari zindagi apne baap or step relations ki bewajah nafrat sahi hai ussne tumhari nahi seh paega. usssay nafrat mat karna please. uss say shadi karlo wo tumhe bohat khush rakkhay ga uski mohabbat ki tum ikloti haqdaar hogi. wo tumhe kabhi ronay nahi dega belive me.
manmeet khamosh hogaya. Heer uthi or chup chap park se bahar chali gai. manmeet sigh. ab usay koi dusra raasta talaash karna tha heer ko manane ka. Shayad?

-------------------

Edited by AnokhiKhwahish - 10 years ago
AnokhiKhwahish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#27

Originally posted by: AASUS

Thank you Khwahish ❤️

welcome dear... bas last part jaldi likh lon😆
AASUS thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#28
🤗 Khwaiah :D

How r u? New update woot woot woot *happy dance* :D I love this story really. I'm glad u did not give up and keeping up your writing.
It's very nice the way you write - mostly Hindi. I understand it too.

Anyhow on to the new part. I read last night but fell asleep ao couldn't comment.
Ty it's very cool twists and turn!

Wow I'm glad Manneer didn't turn against Prem or be shattered or worry about reputation.
He decided to step up and help Prem wow - Kudos for the effort!
Heer's reaction is expected - she's angry for what Mabmeet has done to her and family. Also the messages on phone - in her Pov is just annoying / crazy.
But Manmeet's tireless effort seem to hv melted her na. She shed tears hearing Prem's past.
I suppose hearing from her friend / ex fianc is more convincing than if Prem told his own story. I also don't think Prem would burger telling her his past at this point.
So Heee left to the park - that means she'll think over what's been told to her.
Manneet is still worried hmm - can't wait for next part :D
Ty so much muah love u Khwaish
-Xpress- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#29
Awesome update it was ...loved it <3
Looking forward to the next part
thanks for the pm :)
tarannum6 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 10 years ago
#30
Woww Awosome update... Loved it... Eagerly waiting for the next part... Pls update soon :)

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".