wo collage se bahar nikli or idhar udhar nazaren dorane lagi, usay white color ki carola x nazar i, wo bhaagti hui i or us main bina dekhe baith gai.
" itni der se aye ho kabse wait kar rahi hun, teen bar gate tak aake wapis gai hun, tumhara tou kuch pata hi nahi tha, idiot ab car start tou karo khud hi start nahi hogi ye"
gaari start hui, wo apne collage bag main sir diye najane kiya dhoond rahi thi, usne sir utha k road ko dekha or boli
"ye tou mere ghar ka rasta nahi hai"
"janta hon". ik anjani si awaaz i.
usne sir ghuma k dekha, uska dil tezi se dharaknay laga. wo ghabra gai kyun ki jaldbazi main wo manmeet ki jaga kisi or ki gaari main bhaith gai thi.
"wo main galti se aap ki gaari main bhaith gai aisi gaari kisi or ki bhi hai tou galti se aisa ho gaya."
he smiled
"bohat khoobsorat galti ki hai, i like it"
"dekhye gaari rokye mujhe ghar jana hai"
"sorry sweerheart mera mood tou long drive ka hai, pehli baar itni khoobsurat larki ne meri gaari main khud hi lift li hai so mein tou full enjoy karne k mood main, pehle long drive pe chalte hain phir achay se resturent main lunch phir ice cream whatsay?"
wo uss se aise puch raha tha jaise dono ek dosre ko barson se jantay hon.
Heer ko uss pe bohat sakht gussa aya.
"gaari roko, kaha naa galti se hua ye sab stop the car"
Prem strubbonly said.
" no"
Heer bebasi se rone lagi.
" hey beautufull rona band karo."
"gaari roko warna main kood jaongi"
he reply: "o.k kood jao. automatic lock hain miss khubsoorat"
Ghar main sab pareshan honge ye soch k usne mobile nikala iss se pehle k wo dail kar paati prem ne uska mobile chheen liya.
"kiya badtameezi hai ye mera cell wapis karo"
"kardun ga number tou le lun takay tum se baad main raabta kar sakun. apna naam tou tum bataogi nahi so tumhara naam "miss khubsoorat" k naam se save karaha hun. o.k. ye lo cell or ab apne ghar ka pata batao takay tumhen ghar chhor dun"
"kabhi nahi bataongi mujhe yahin utaar do."
"utar tou tum mere dil main gai ho, najane itni der se kyun mili ho?"
"stop the car". she yelled
usnay gaari rok di.
"umeed karta hun hum dooba zaroor milenge or tumhara number tou hai mere paas, will talk soon"
usne lock khol diya gaari ka heer khamoshi se utri.
" kabhi nahi. tumse baat karti hai meri jooti"
she run away from him, he shout
"tumhari jooti bhi sir aankhon pe miss khubsoorat."
he smiled and start his car
-------------------------------------------------------------
wo ghar pohnchi tou manmeet ko pareshan dekha. manmeet usay dekhte hi uss k paas aya.
"kahan thin tum? main kitna pareshan hogaya tha, pura ek ghanta wahan khara tumhara intezaar kar raha tha, tumhara kuch pata hi nahi tha."
"wo... main public library chali gai thi kuch important point clear karne thay tou kuch books leni thin"
heer ne car or car wale ki baat manmeet se chupa li thi, kyun ye wo khud bhi nahi janti thi.
"kahan hain books?"
manmeet ne heer k khali haath dekh k pucha.
"library main hi note kar liye thay saare points tou books lai hi nahi".
heer ne jaldi se baat banai.
"o.k main chalta hon bye".
heer noded & move toward her room.
Heer or manmeet k fathers apas main dost thay unhon ne apni dosti ko mazboot karne k liye manmeet or heer ka rishta tey kar diya tha un dono k engagment do mahine pehle hui thi or shaadi heer k graduation k exam k baad hona thi. manmeet ko heer ko daily college se wapis ghar drop karne ki responsiblity manmeet k papa ne di thi takey dono ki achi understanding hojae.
-----------------------------------------------------
Manmeet phone pe apne dost se baat kar raha tha.
" tumhara wait kar raha tha main collage k bahar, socha tha tumhe heer se milwaonga, engagment pe tou tum out of country thay but tum... aj b nahi aye."
"aya tou tha par ek haseena ne lift mang li so...
prem answer him.
"oh! tou aap ne lift de di or bhaag gae wahan se, bohat khoob.
manmeet taunting.
" sirf lift nahi mere yaar dil bhi de diya, meri car or mere dil main without permission entery maar di miss khoobsoorat ne"
prem smiles.
" o, lagta hai bohat khoobsurat hain wo?"
manmeet ask.
"meri nazar main wo iss duniya ki sab se haseen hain."
" tumhare mun se kisi larki k baray main sun k hairat ho rahi hai, kahan tou larkiyon se bhaagte thay or kahan uss lift wali k gun gae ja rahe ho, kiya jaadu kar diya hai uss ne?"
"mil k detail bataonga, filhaal sirf itna k wo nahi tou kuch nahi, by hook by crook usay apna bana k hi rahun ga chahe iss k liye usay kidnap hi kiyun na karna parey."
"janta hun janta hun, tum had se ziyada ziddi, aryal tatto ho. apni baat or pasand se ek inch hatne ko tayyar nahi hotay ho, apni baat reject hone ya apni pasand na milne ka tou koi sawal hi nahi hai. aaj tak tumne jo chaha hai wo paya hai umeed karta hun k tumhara dil leke jane wali hamesha k liye tumhari zindagi main aa jae. or mujhse jo ban para wo main zaroor karunga."
manmeet sincerly said.
"thanks yaar"
"o.k phir shaam ko milte hain bye"
"yah! bye"
call disconnected.
---------------------------------------------------------------
Phir bohat saare din guzar gae heer k exams bhi ho gae, ab ghar main uski or manmeet ki shaadi ki tayyariyan hone lagin, heer uss car wale ko bhool gai or ye bhi bhool gai k uss car wale ne uska number liya tha.
wo novel parh rahi thi jab uske mobile ki message tone baji usne inbox show kiya.
"Zangg Naa lagg jaey kahein mohabat ko,,,
Kuch Tum Bhi tou Rabbtoun ke silsilay rakho...!"
this sent by unknown number...
she read and ignore
now her cell start ringing, flash an unknown number. usne call recieve nahi ki.
har thori der baad uska mobile baj raha tha wo unknown number dekh k call hi nahi uthati usay pata nahi kyun koft ho rahi thi, novel pe uska concentration bar bar toot raha tha usne tang aa ke cell hi switch off kar diya.
Prem ne apna mobile deewar pe de mara, usay bohat gussa araha tha.
"miss khoobsurat ! itni zid achi nahi hoti, main zid pe agaya tou phir shikayat hogi aapko."
He thought wo jan kar phone nahi utha rahi.
uski ankhon main kuch kar guzarne ka junoon tha, itne dino main ik pal k liye bhi uske khayalon se wo larki kahin nahi gai, har pal uski sochon pe chhai rehti thi, prem ab thak gaya tha uske khayalon k saath jeete jeete ab prem ko uska wajood chahiye tha, uski miss khoobsurat chahiye thi or har qeemat par chahiye thi.
----------------------------------------------------------------
thats it... wat happen next...
* prem ki deewangi k agay heer haar jae gi ya prem ka piyar haray ga? đ
*manmeet ka faisla kiya hoga?
* friendship or love?
just wait to know