12 baje bhi itni garmi thi ke wo pasine se bheegi hoi thi...jaise hi wo apni gali ki taraf muri phir se wohi manzar apni ankhon ke samne dekh kar ghabra gai...usne apna dupatta sar par theek kia or nazrein neeche kar ke chalna shuruw kar diya...tab hi awaz ayi..
"adaab"... wo usko ignore karke age chalti rahi...wo nahi chahit thi ke is waqwt gali mei kuch bhi ho...r dil hi dil mei wo ye mang rahi thi ke jaldi se ghar a jaye lekin uske ghar to end par tha r wo gali ke start me thi....
ab wo uske peeche ja rha tha....:"kam se kam jawab toh de do"
wo phr se bohat ghabra gayi ...darpook toh woh hamesha se hi thi kabhi bhi larne ki himmat nai rahi....jab us larke ne dekha ke koi jawab nai a rha toh usne uska hath pakar liya.....
ritesh: aey tu kya samjhti hai mei tera peecha itni jaldi chor don ga....kal bhejo ga amma ko tere ghar rishte ke liye...han kar dena...kyunke ab yeh judai mujh se bardasht nai hoti...."
wo bohat ghabra gayi thi r usi waqt samne ke ghar ka darwaza khula r wo foran hi seema ko door pe khara dekh kar andar bhag gayi....
ghar ke andar ja kar uski becheni thori si kam hoyi thi...usne dupatta sar se utar kar side pe rakha....
seema: "meher kya bol rha tha yeh kamina riteish?"
seema bachpan se hi meher ki dost thi r shayed yehi wo akeli dost thi...meher r seema ek sath bare hoye the...r yeh riteish is gali ka gunda tha jo ek bar nahi bohat bar chori r is tarah ke mamlo mei jail ja chuka tha....r aj kal iski nazar meher pe thi is liye wo ate jate meher ka peecha karta r use tang karta....
meher: "kya kehna hai usne ...keh rha tha apni ama ko rishta le kar ghar bheje ga...mei toh bohat tang a gayi hn us se seema..."
seema: "toh tu chacha g se shikayat kyun nai karti uski...unhe bta shayed wo kuch kar sakein.."
meher: "bola tha bauji ko lekin unho ne kaha aise logon ko bilawaja moun lagane se apna hi nuksaan hta hai..."
seema: "waise meher bura mat manna lekin uski himmat ko tumhi ne barhaya hai...tujhe toh chahiye tha jis din usne pehli bar tujhe tang kiya tha usi din khinch kar ek thapar lagati use toh uski itni himmat a hoti...."
meher: "yehi himmat toh mujh mei nai hai seema...na bauji ne kabhi yeh himmat di na mujh mei kabhi yeh himmat ayi.."
r yehi sochte hoye wo kisi soch mei gum hogai...
seema :"acha ab tum akeli na jana mei khana bana loun phr tujhe ghar chor ati hn.."
dopahar ko jab wo apne ghar ayi toh use yeh ghar khane ko dore...is ghar mei akelapan use hamesha se hi bura lagta tha...bas do hi toh log the...wo or uske bauji...uski maa toh use bachpan mei hi chor kar chali gayi thi...aj unka apna alag parivar tha jahan woh khush thi unho ne ek bar bhi meher ki tarak mur kar nahi dekha tha.....woh hamesha se hi apne bauji ke sath khush rahi thi...
usne dopahar ka khana bnaya r ghar saaf kiya...
sham ko uske bauji a gaye r unho ne mil kar sath khana khaya...agle din sham ko jab wo bauji ke liye chai bna rahe thi toh riteish ki amma a gayi....
reithei ki maa:"bhai sahab mei toh kahri r seedhi baat kaho gi mei yahan apki beti apni meher ka hath mangne ayi hn apne riteish ke liye.."
meher ke bauji: "deikhiye behen mei apki bohat izzat karta hun lekin mei apni beti ka hath apke bete ke liya nai de sakta.yeh rishta mujhe manzoor nahi.."
yeh sun kar riteish ki maa gusse mei a gyi r boli" kyun kya kami hai mere bete mei acha khasa hai r phr ahsan mano hmara ke tumhari beti ke liye tumhara hath mang rahe hn r kon mange ga iska hath.."
yeh sunne ke baad riteish ki maa wahan se gusse mei chali gayi r ghar ja kar riteish ki yeh btaya ke un baap beti ne meri bohat bezati ki hai..
meher ke bauji:"ap janti bhi hain ke riteish ka nam kis tarah mashoor hai..pichle hi dino wo chori ke ilzam mei jail gya tha..behen ji muje maaf kariye.."
raat ko khane ke waqt bauji apne purane dost lalit ke bare mei meher se baat kar rahe the....
meher: "bauji ap unke bare mei itna btate hn..kabhi unko ghar kyun nai bulate khane par"
bauji.:"beta wo itna ameer insan hai...r kahan mei ek chota sa kam karne wala woh bi uski hi company mei..mei toh ehsan mand hn lalit ka keh bure waqt mei usne mera sath diya.."
yeh sun kar riteish agle hi din meher ke bauji ke pass ja puhancha r unhe dhamkaya..
riteish: dekhiye mei apki izzat karta hun..lekin meher toh sirf meri hi hai..agr ap ne uska hath na diya toh muje use uthwane mei zyada waqt nai lage ga..."
bauji jaise hi office pohnche unkii tabiyat us waqt tak kafi kharab ho gayi thi..usi hi waqt lalit juneja ne unhe apne office mei bulaya..
wo files utha kar unke cabin mei gaye...
bauji: "mei andar a sakta hn sir"
lalit:"yar a ja..r yeh phr se sir mei tera dist hn na..aj mei bohat khush hn beta a gya hai mera wapas ab yehi rahe ga...r yeh business sambhale ga bas ata hi hoga office....
lekin bauji konsa unki baat sun rahe the ahista ahist unko apne dil mei dard mehsoos hwa r ankhon ke samne hi andhera cha gya..r wo neeche gir gaye....lalit juneja yeh dekh kar pareshan ho gaye r usi waqt unka beta andar aya...wo uski mada se unhe utha kar hospital le gaye...
raat itni ho gayi thi r bauji abhi tak ghar nahi aye the...meher bohat pareshan ho ai thi..tabhi sarwaze par dastak hoi r wo bhagi hoi darwaaza kholne gayi ke shyed uske bauji a gaye hn...door kholte hi usne kehna shuruw kiay: "nauji aj itni deir......"
lekiin jab dekha ke wahan do anjane chaehre uske bauji ko shara diye khare hn toh wo chup ho gayi....wo dono use andar le aye...
lalit juneja: "beta zara pani lana"
wo tray mei do glass pani rakh kar le ayi usne ek glass lalit juneja ko diya r disra us larke ke age kar diya jo dono hath apni jeans ki pockets mei dale khara tha...
larka: "no thanks....dad mei bahir car mei apka wait kar rha hn.."
r yeh kehte wo bahar chala gya...
meher pareshani se bauji ke kareeb beth gayi..tabhi lalit sahab ne use btaya ke bauji ko heartaattack hwa tha..lekin ab wo theek hn..
lalit juneja: "ab muje samjh aya toh muje apne ghar kyun nai lata tha:"
bauji r meher dono hi sharminda ho gaye ke unka yeh chota sa ghar lalit juneja ko pasand nai ayega..
lalit: "tu nahi chahta tha mei b apni pyari beti ka pyar sameto...bas sara pyar tujhe hi mile.."
unho ne meher ko pyar karte huwe kaha....r meher ne soch kuch log is duniya ki burai se barh kar hte hain...
do din baad jab bauji ghar aye toh khase parreshan lag rae the ..meher unke liye pani layi toh unho ne meher ko pass hi bitha liya..
bauji: meher mene tera rishta riteish ke sath kar diya hai."
yeh sun kar jaise meher ke sar par asman gir para ho...wo yeh nahi chahti thi.aise insan ke sath rehna...kya yehi kismat hai uski ke bachpan se le kar aj tak jin ansoo ne uska daman nai chora tha wo uska muqadar ban jayen...
bauji: "meher muje maaf kar de lekin tere liye yehi faisla sahi tha r mei bhi kab tak tera sath nibhao ga..."
meher ne hamesha ki tarah kuch nahi kaha wo janti thi uske bauji ki hushi kitni zaruri hai...kafi din aise guzar gaye...riteish ki ama ne akar usko angothi pehnai r mangni kar di.....
lekin wo dekh rahi thi keh ek sham bauji ghar aye toh apne kamre mei ja kar rona shuruw ho gaye...meher ne unhe kabhi itna udas nahi dekha tha lekin jab seema uske ghar ayi toh usne unhe wajah btayi..
seema: "chacha g ritheish ke ghar the kal toh police a gayi use griftar karne ke liya...is baat par chacha g r riteish ke darmyan behas ho gayi r riteish ne chacha g par hath uthaya r chachag ne tera rishta uske sath tor diya.."
yeh sun ka wo bhi bohat royi...yeh sab uski wajah se huwa tha lekin wo itni himmat nahi kar payi ke bauji se is bare mei baat kar sakti...
kuch din aise hi guzar gaye....
lekin ek raat jab wo bauji ko khane ke liye uthane ayi toh usne dekha bauji ki ankhein laal ho rahi thi r wo saan lene ki koshish kar rahe the...use kch samajh na aya ke kya kare tabhi bel ki awaz par wo darwaza kholne gayi toh smane lalit juneja ko dekha r rone lagi..
meher:"uncle wo bauji...pta nahi kya ho rha hai uneh..."
lalit juneja forna unhe lekar hospital chal gya....
****************************************************************
wo wahan akeli bethi deewaro dekh rahi thi.....aj kon tha uske sath is ghar mei koi bhi nai....bas wo r uski bauji yadein....
do din guzar gaye the uske bauji ko jab wo is duniya se chale gaye...uski maa bhi ayi thi use milne lekin unka apna parivar tha r wo bohat jald apne family ke sath canada ja rahi thi...jate hoye use kuch paise de kar gayi....lalit juneja use har roz milne ate the...is bure waqt mei unho ne uska bohat sath diya tha.....
lekin kon tha ab uska....r wo riteish jo kabhi bhi jail se choot kar a jayega...toh kya use apni sari zindagi uske sath guzarni hogi....
sham ko seema or uski ama a gaye use milne.....tabhi lalit sahab bhi a gaye to seem aki ama ne unhe sara kisa btaya ke kaise uski mangni riteish se huwi thi r toot gayyi r jo abh tak huwa...
seema ki ama:" ab ap btayen bhai sahab kya karo is bachi ka...maa toh pehle hi chor kar chali gayi r ab yeh akeli...isko apne sath bhi nahi rakh sakti ke mri toh khud teen betiyan hain...kahan rahegi yeh ab"
lalit uncle: "yeh hi koi sochne ki baat hai meri beti mere sath mere ghar mei rahe gi..chalo meher jo bhi zaruri saman pack karna hai pack karlo 10 minute hain tumhare pas."
wahan mojood 3 aurtein unhe aise dekh rahi thi jaise pta nahi wo bohat mamooli se baat kar rahe hn....meher chup kar ke uthi r saman pack kar ke lalit juneja ke sath unke ghar a gayi...
wo jaise hi car se utri toh lalit uncle ke sath lawn ki tarf mur gayi jahan unki family moujood thi...
lalit uncle khud bhi beth gaye r use bhi bethne ka ishara kiya....
harman: "dad yeh kon hn..."
lalit:"yeh mere dost balwant ki beti hai..wo ab is duniya mei nahi rha toh mei use yahn le aya hn ..wo ab yahn rahegi..humare sath:"
r meher yeh hn mere bete..yeh harman hai mera dosra number ka beta army mei captain hai...aj kal chutiyan hain toh ghar aya huwa hai...r yeh samrat hai mera teesra beta yeh 3rd year mei hai parh rha hai...ab dekho iski parhai kab tak khatam hti hai.. r yeh tumhari aunty r meri pyari se biwi gayatri hai..."
gayatri ne uski taraf dekha r phr lalit sshab ke sath andar chali gayi...
harman: "toh ap dad ke dost ki beti hn matlab phr hamari bhi dost huwi...hai na"
mehr ne ghabra kar uski taraf dekha..
harman: "dekho mei tumhe ap wap nahi kaho ga kyunke dosti mei ap nai hta r tum mujhe bhai wagera nai balke harman kehna kyunke ab hum dost hn kyunke jab tak tum hum se dosti nahi karo gi tab tak hum tumhe chorein ge nahi kyun samrat..."
samrat ne confuse ho kar harman ko dekha r harman ne use ankh mari toh kehne laga..."han bilkul hum se dosti karni pare gi..."
harman ne hath age karte huwe kaha: phr dosti paki"
meher ne bhi usse hath mila liya kyunke yehi ek hal tha...wo abhi bethe hi the ke gate se unho ne soniya ko ate dekha...
wo jaise hi unke pas puhnchi
soniya: "hey guyzz"
harman:"lo shaitan ki kami thi wo bhi a gayi..
soniya: "tumse kisi ne baat ki hai...r phir usne meher ko bethe dekha "
soniya: "tum kon ho..pehle toh kabhi nai sekha?"
samrat: "yeh meher hn dad ke dost ki beti r aj se humare sath rahen gi"
harman: "r yeh hn soniya meher humari parosna r dost jo apne ghar se zyada yahn payi jati hn"
soniay :"toh is mei tumhe kyun takleef hoti hai.."
harman r soniya aps mei behas karne lag gaye toh samrat ne use ishara kiya ke yahan se chalte hn tabhi soniya ne uska hath pakar liya..wo ghabra gayi..
soniya: "aray yar tum kahan chali abhi toh hum mile hi nahi..yeh samrat r hjarman se toh aise hi chalti rehti hai..lekin aj se tum mujhe bhi apnio dost samjho ok ..."
meher ne bas smile kiya tha se yeh wohi log the jin ke sath use rehna tha uske apne...r yeh use boht apne r ane dil ke kareeb mehsoos huwe.....
****************************************************************************
usse yahan aye ek hafta ho gya tha r yeh bohat hi khushi ke sath guzra tha ....yeh sab uske apne the...samrat harman r soniya uske bohat ache dost ban gaye the.....wo abhi bhi chup rehti thi lekin yeh sab uske apne the....harman r samrat har waqt bolte rehte the...in se ek bara bhai bhi tha preet juneja jo us din lalit juneja ke sath uske ghar aya tha...lekin wo jab se ayi thi wo kam ke silsile mei country se bahar gya huwa tha......do din pehle hi wapas aya tha r bas ek formal hi huwa tha dono mei uske baad wo use nazar nahi aya tha.................
abhi bhi wo lounge mei bethi carom ka match dekh rahi thi jo samrat r soniya ke darmyan chal rha tha...
tabhi gate se harman enter huwa r uski sath wali sofapar a kar beth gya...
meher: "a gaye ap?"
harman: "haye kya bilkul biwiyon wala sawal kiya hai..."
soniya r samrat bhi apna match khatam kar ke unke sath a gaye..
soniya: "bohat shok hai shadi karne ka apko"
harman: "tum kya jano jab ek admi ghar aye r ek khoosurat ladki ate hi puche a gaye ap toh kaisa mehsoos hta hai..yeh tum kabhi jan nahi sakti..."
meher se sun kar bohat embaras ho rahi thi r boli:"harman bhai plzzz"
harman ne gussa se uski taraf dekha:"mehe ainda muje kabhi bhi bhai mat bulana"
meher forna use dekh kar dar gayi...'
harman hasne laga: "pagal mazak kar rha tha"
tabhi unhe kisi ki uncha uncha bolne ki awaz ayi un sab ne dekha ke preet ke kamre se naukrani rote houw nikli hai..thori dier baad preet bhi kitchen ki taraf gya r phr se uncha uncha bolne ki awaz ane lagi.....
soniya: "muje kisi ne btaya nai preet bhai bi ghar par the...mei toh chali" r yeh kehte hi soniya wahan se chali gayi....
sath mei hi smarat bhi khisak gya wahan se...harman sofe ke side se dekhne ko koshish kar rha tha keh ho kya rha hai...
tabhi gayatri aunty lounge mei ayi
harman: "kya huwa mama yeh sab.."
gaytri aunty :"kitni bar kaha hai naukron se ke preet ke kamre ki cheezein mat chera karein lekin nahi...ab pta nahi uska mobile kahan rakh diya hai mil nai rha r usne ghar sar par sawar kar lena hai...."yeh kehte hi wo jaldi se preet juneja ke kamre ki taraf chali gayi....
thori deir bad meher ne preet ko kamre se bahr jate huwe dekha....
harman tab bola: "ab halat theek hain...kale badal hath chuke hain...sab relax ho sakte hn.."
"tum nayi ho yahan is waja se dar gayi ho ahista ahista adat ho jaye gi...wo kya hai na waise toh preet bhai bohat ache hn..r kabhi kisi ke mamle mei inetrfere nahi karte lekin agar koi unse panga le le toh phr uski khei nai hti...mera r samrat ka mnna hai ke gusse ke waqt un par jin a jata hai...r phir unhe control karna ksi ke bas mei nahi hota...r bhai ke gussa se toh dad r mom bhi darte hn...lekin tum adi ho jao gi...jaise farz karo tumhari galti hai r tum unke sath phr bhi behas kar rahi ho toh tumhari khei nai..tumhe toh wo ek thapar marein ge r tum wohi behoosh.."
meher ghabra gayi...harman bola:"lekin daro mat wo ladkiyon se door hi rehte hn"
meher: "lekin mene kya kiya" usne dar kar kaha..............
harman hasa"pagal ho tum mei toh bas aise hi keh rha tha"
chai lo gi"
meher ne han kaha toh harman chai lene chala gya r wo corridor mei dekhne lagi jahan kuch time pehle preet juneja khara tha.................
**************************************
wo sab khane ke table par bethe howe lunch kar rahe the....harman ko bhi chutiyan hoi thi toh wo ghar aya huwa tha...r apni biryani khane mei busy tha...samrat bhi udhar hi tha...r sath mei preet bhi betha tha..........
lalit: "harman is bar tum kuch jaldi nai a gaye ho?"
harman:" bas kya karo dad preet bhai ki yaad hi itni a rahi thi"
preet ne surpringly harman ki taraf dekha r uski shararat pehchan kar phr se khana khane laga.....ab idhar hi dekh rha tha toh meher dil hi dil mei apni salmti ki dwa mangne lagi kyunke usse harman ki zuban se bohat dar lagta tha woh kahi pe bhi shuruw ho jata tha...lekin ab uska nishana samrat tha.....
lalit: "meher tum dieting par ho?"
meher :"nahi toh uncle"
lalit: "phir khana kyun nai kha rahi ho"
harman ko toh jese mouka mil gya meher ko tang karne ka
harman:"meher tumhe biryani achi nai lagi ruko mei abhi gudiya ki khabar leta hn...gudiya ....gudiya foran idhar ao..."
meher bohat confuse ho gai...tab hi gayatri ne use danta r chup karwaya.....
gaytri: "aray wo apke dost ka case chal rha tha na uska kya bana?" unho ne lalit se pucha
lalit:"han acha huwa yad karwa diya..preet agr tum us mamle ko handle kar lete toh bohat asani ho jati"
preet: "sorry dad lekin ap jante hn mei dosro ke mamle mei interfere nai karta..."
lalit: "lekin wo tumhe khud yeh haq de rahe hn"
preet: "nahi dad phir b..mama ko b mera aise parna pasand nahi...ap meri tarf se excuse kar lijiye ga..."
yeh ke kar preet uth gya...
lalit to gaytri: "agar tum use ijazat de deti toh saxena ka kam asan ho jata"
gaytri: "sorry allit...lekin mei jitna chahit hn ke preet us tarah ke cheezo se door rahe ap usko utna hi involve karte hn...apne bete ka pata hai na agar use gussa a gya toh wo hatha pai par utar ata hai..."
harman: "dad saxena uncle ka masla kya hai:?"
lalit: "yar wo uski property pe uske bhai ne kabza kar rakha hai..ab agar preet chahta toh yeh masla hal ho jata kafi chalti hai uski udhar.."
harman: "dad ap mera nam le kar dekhe...meri pr bhi bohat achi hai"harman ne collar jhare...
lalit: "mehrbani apki...tum involve howe na toh uska raha sah business bhi khatam ho jaye ga"
sab se sath wo bhi muskra di is baat par jab ke harman sharminda ho gya...
****************************************************
wo nahi jan pa rahi thi ke itne dino se wo bechein kyun hai....shayed preet ki taraf se uska khinchao hai...lekin kyun...us ne ab tak yeh jaan liya tha ke preet juneja kis kisam ka insan hai...wo apni family se had se zyada barh kar pyar karta tha...wo uske gussa b dekh chuki thi.....lekin phir b har bar usko dekhne ko dil karta tha....
us din bhi samrat use kab se force kar rha tha ke sab ke sath icecream khane chale...
meher: "samrat aunty muje yeh kam de kar gayi hn..unke ane se pehle muje yeh kam khatam karna hai.."
samrat: "yeh kam gudiya bhi kar sakti hai..ap ka sirf bahan hai ap jan hi nahi chahti.."
meher:"tum meri baat kyun nai mante.."
samrat:"dekhein agar ap na gayi to icecream ke itne ache flavour ayen hain wo miss kar dein gi"
meher:"toh phr mere liye zarur lana.."
samrat:nahi ap sath chalein gi toh mie gi..."
meher ne bebasi se samrat ko dekha toh wo naraz ta huwa wahan se chala gya...
thori deir bad gudiya ne use a kar btaya ke uska fone hai...wo samjhi seema ho gi kyunke wo use aksar fone karti hai lekin fone per riteish ki awaz sun kar wo toh jaise but ban gayi thi...
riteish: "dekho kitni mushkil se tumhara number dhonda hai...ab mei wapas a gya hun...tum bhi yahan a jao...amma bhi tume bohat yad karti hn"
lekin wo toh jaise kuch sun hi nahi rahi thi....wo fone rakh kar pool ke pass a gayi r usne rona shuruw kar diya...
tab hi lalit uncle ne use wahan dekha r unke puchne par usne sab bta diya
meher:"mei usse shadi nai karo gi uncle...bauji nahi chahte the mei usse shadi karo"
uncle abhi chup hi karwa rahe the ke gate se samrat harman r soniya enter huwe...
soniya:"meher mei bohat naraz hn tumse tum kyun nai........lekin wo beech mei hi chup ho gayi kyun ke meher ki ankhein ro ro kar laal ho rahi thi...
soniya :"oh my god>>.meher yeh sab" wo neeche uske pas hi beth gayi.....
harman:"ise kya huwa...kyun ro rahi hai"
tabhi lalit ne sab ko riteish ke bare mei btaya..
harman ne meher ke sar par hath rakha r use dilasa dene laga....
tabhi gate se preet ki car ayi..
lalit:"preet a gya hai uske samne koi bhi aisi baat na kare..."
preet un sab ko dekh kar wahi a gya lekin jab usne dekha ke soniya neeche bethi hai ....
preet:"dad sab thek toh hai? soniya kyun ro rahi hai"
soniya achank confuse ho kar preet ko dekhne lagi tabhi meher ne bhi preet ko dekha ...uski ankhein suji huwi thi...is ko soniya ka rona nazar ata hai lekin mera nahi......
lalit:"kuch bhi toh nai hai yar:"
preet:"dad are u sure?"
lalit:"ofcourse son.chalo andar.."preet lalit ke sath andar chala gya toh harman r samrat mil kar use silasa dene lage....
*****************************************************************
meher jaan gayi thi ke use preet juneja se mohabat hai.....ek aisi mohabat jis mei sirf wo us raste par khari hai...preet toh shyaed use dekhta kya sochta bhi na ho...sab kehte hn wo ek mukamal admi hai...apno ke liye larne wala....toh kya wo riteish jaise insan se muje bacha sakta hai...lekin wo toh srf apno ke liye larta hai ...mei uski kon hon........
sham ko wo r samrat r harman lawn mei bethe the tabhi wahan soniya a gayi....
soniya:"mama papa ne mera rishta paka kar diya hai"
r yehi keh kar wo rone lagi.........
samrat r meher ko kuch samjh na aya ke wo kyun ro rahi hai lekin phr meher ne harman ka white partha chehra dekha r use sab samajh a gya...soniya roti hoi gate se bahar chali gayi toh harman bhi gusse mei uth kar andar chlala gya...
samrat:"ab inhe kya huwa"
lekin meher harman ko andar jate dekhti rahi....
*********************************************************
wo chai le kar lalit sahab ke kamre mei ayi toh wahan bethe harman samrat r lalit uncle kafi pareshan lag rah the....us ne chai table par rakhi r
meher:"uncle chai.."
lalit:"han meher betho pta nai tumhe kyun bulaya tha us larke ne apni musibat dal di hai..."
wo bethi toh samrat ne ahista se uske kan mei kaha
samrat:"apko pata hai bhai r soniya ka chakar chal rha tha"
tabhi kamre mei preet enter huwa...wo jo wahan bethi thi use dekh kar achanak ki simat gayi...wo uthne ke liye khari huwi to lalit sahab ne use ishara kiya ke beth jaye.....
preet bhi sofa par beth gya:"dad ap ne bulaya tha"
lalit:"tum ne apne bhai ki karistani suni"
samrat:"bhai soniya ko pasand karte hn r unke parents ne unka rishta kahi r kar diya hai"
preet ke chehra abhi bhi utna hi relaxed tha:"toh?"
lalit:"toh beta g yeh ke tum jante ho tumhari mom pasand ki shadi ke kitne khilaaf hai.unhe agar pata chal gya toh wo yeh sahdi par kabhi nai mane gi"
preet:"agar is mei apni pasand ko manne ki himmat nahi hai toh phir betha rahe"
lalit:"beta g har koi tumhari tarah nai hta na"
preet is baat par zor se hansa: "acha..tum fikar mat karo harman tumhari shadi soniya se hi ho gi"
harman:"sach bhai...mei janta tha ap meri mada zarur karein ge.."
preet ne use gale lagay or kamre se bahar chala gya...meher ne sab ke chehre dekhe jo ab bohat relaxed the....
kya is admi ki baton mei itna yakeen hai ke yeh anhonne ko badal sake? kya iske faisle itne mazboot hain"?meher sochne lagi...
*****************************************************************
lounge mei bethi lalit sahab newspaper parh rahe the r gaytri aunty tv dekh rahi thi..harman pass hi sofa par leta huwa tha r sath hi preet betha tha...samrat kisi kam se dot ke ghar gya huwa tha...meher ne la kar chai rakhi .....
preet:"dad mei soch raha hun ke wapas america chala jaon"
meher ke sath sath sab ne use hairani se dekha....
gayatri:"lekin kyun beta..."
preet:"mei yahan reh kar kya karo ga.."
gayatri:'kamal karte ho preet yeh business tumhara hai ise sambhalo"
preet:' mei yahan ap sab ki waja se wapas aya tha..llekin meri routine aik jaise ho kar reh gayi hai mei bore ho gya hn...ap aisa karein ke harman ki shadi kar dein toh ghar ka mahool badal jayega"
jaise hi lalit sahab ko uski baat ka maqsad samjh aya wo relax ho kar beth gaye..jab ke ab harman ka dhyan puri tarah unki baton par tha...
gaytri cheekhi:"kya harman"?
harman ki upar ki sans upar r neeche ki neeche reh gayi
gaytri:"lekin bare toh tum ho uski shadi se pehle tumhari shadi bhi toh karni hai.kitne arman hain mere"
preet:"mera abhi shadi ka mood nahi hai r ap janti hn mei itni jaldi shadi nahi karo ga..han agar apko harman ki shadi nai karni toh mei wapas chala jata hn..apki marzi.."
gaytri:"acha theek hai mei harman ke liye ladki dhonti hn"
preet:"honestly mama agar mene harman ke bare mei kabhi ksis larki so scoha hai toh wo soniya hai...bachpan se humare sath rahi hai r phr kafi achi larki hai"
lalit sahab ne bhi apni acting ke johar dekhaye:"aray han soniya toh apni hi bachi hai...yeh khyal muje kyun nai aya?"
gayrti ne harman ki taraf dekha :"harman tumhara kya khyal hai"?
harman ne bhi pehle to hairani ki agle pichle sare record tor siye phir bola:'mene kabhi use aise nahi dekha lekin agar pa chahte hn toh theek hai..bhai ki bhi yehi marzi hai toh muje koi problm nahi hai"
meher dil hi dil mei in sab ko daad diye bagair na reh saki....
gaytri:"soniya toh apni hi bachi hai r bohat pyari hai mei kal hi ja kar naina se baat karti hn...lekin preet tumne kya socha hai?"
preet:"kuch bhi nahi...ap janti hai muje kya chahiye...r shadi apki marzi se honi hai toh phr aj ho ya kal kya farak parhta hai"
gaytri:"tum ne abh tak apni maa ko maaf nahi kiya na" unki ankhon mei anso the....
preet:"mama apko pasand ki shadi pasand nahi r mei koi khilona nahi jo kisi ke hath mei khelo...apki marzi ki hi dulhan ani hai toh ab kya kal kya"
achanak hi itna acha mahool serius ho gya
lalit :"preet yeh kya tareeka hai"
preet:"sorry dad..."
phr wo uth kar gaytri ke pas neeche beth gya:"maa mera wo matlab nahi tha...lekin apki r meri zid bohat alag hai....r mei bas abhi shadi nahi karna chahta"
gaytri:"mei bhi teri maa hon dushman nahi"
preet:"janta hn lekin filhal toh ap harman ki shadi ki fikar karein"
meher jo yeh sab kuch dekh rahi thi samajh na saki ke baat kis bare mei ho rahi hai.......................
to b continued..................