To khud bhi usey zarur azmaya hoga,
Hamari to auqaat hi kya hai
Ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga.
********************
Zikr hua jab khuda ki rehmat ka,
Hamne khud ko sabse khushnaseeb paya,
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya.
********************
Mujhe dard-e-ishq ka maza maloom hai,
Dard-e-dil ki inteha maloom hai.
Zindagi bhar muskurane ki dua na do yaro,
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai.
********************
Ishq karne wale to ankhon ki bat samajh lete hain,
Khwabon mein bhi mil jaye to mulakat samajh lete hain,
Rota to aasman bhi hai pyar ke lie,
Par afsos ke log usey barsaat samajh lete hai
********************
Mujh par bada ehsaan kiya hai tumne,
Ye hichkiyan bhi to nahi aati kambakt,
Jo sochun ke yaad kiya hai tumne.