is zindagi ke akhri dor main zindagi ka her lamha yaad hai
mujhe aaj bhi apna woh pehla pyaar yaad hai
woh tera meri nazroon se milna
laal dupatte ka ue ker tujh pe jaana yaad hai
college ke campus main tera sierf hi kehna
aur ghari main tere dupate ka utakna yaad hai
meri choti choti ghaltion pe tera dantna
aur mujhko woh tera mana yaad hai
phir eik shaam tere pyaar ka iqraar
aur mujh ko tera sharmana yaad hai
samandar ki raet per tere sang chalna
aur tere sang baarish main bhaaeg jaana yaad hai
mujhko tera laal gulab dena
aur tootte taare ko dekh kar dua mangna yaad hai
per shayad meri kismat main hi kuch kami thi
phir tera mujh se bichar jaana yaad hai
hui zindagi tere jaane ke baad kuch aaise
ke phir zindagi main tere baad na kuch yaad hai
tujh ko phir de main ne taklefain bauha
aur tere takleef pe mera roona mujh ko yaad hai
waqt ne phir li achanak karwat
phir tera mere jeewan main palat aana yaad hai
hui phir se khushion bhai meri shaaam
tera mere liye woh ghar banana yaad hai
per shayad lag gai humare pyaar ko kisi ki nazar
aur mera tujh se door jaana yaad hai
to ne mujh ko diye ilzaam kaise kaise
aur apni hi nazroon main toot ker bikharjaana yaad hai]
jaane se pehle kahatha main ne ke ab na milon gi kabhie tujhe
meri woh baat kia tujhe ajj yaad hai?
baad main tera apni ghalti ka manna
aur us per pachtana yaad hai
ki tone us ghalti ki bhar pai kuch is tarah
dia mujhko aik naya hamsafar yaad hai
ab tamam hui meri zindagi us ke sang
magar mere pehle pyaar to aaj bhi mujhe yaad hia
hey guyz,this is not written by me,this is written by our sweet,lovely one and only MAHA KHAN.Isn't it gr8šI just love it.
amna