Bani(turning towards jay): "tum ab India mein hi rahoge?"
Jay: "dad insist kar rahe hai. Dekhte hai. Oh haan tumhare results kab out honge?"
Bani(screams): "results! Don't talk about it."
Jay: "why not?"
Bani: "kya hamare paas baat karne ke liye kuch aur nahi hai?"
Jay: "ok then tell me what did you do in these holidays?"
Bani: "see na most of my friends are out of station aur mujhe sardi ho gayi thi isliye no ghumna bas achchi bachhi ki tarah ghar mein baithna. Toh maine kuch latest computer games kharide aur all time busy in crossing the levels. Ruko tumhe kuch dikhati hoon" she went to her room and brought some letters and books.
Jay: "wow kitna achcha lagta hai purani yaadein taaza karna. All these letters and books. Great I feel like the same boy."
Bani: "hai na. mere letters aur gifts tumne sambhal ke rakhe hai?"
Jay: "why not? Am I that careless? Jab tum mumbai aaogi tab dikha doonga. Well tum log mumbai kab shift kar rahe ho?"
Bani: "papa keh rahe the kuch kaam baki hai phir hum log finally mumbai shift kar jayenge forever."
Jay: "that sounds great. (taking a letter in his hands and then reading first few lines) ye maine tab likha tha na jab main MBA padhne ke liye london gaya tha I mean wahan 1 mahina rehne ke baad. Sab kuch jaise aankhon ke saamne aa gaya hai. Zindagi mein kitna kuch badal jata hume pata bhi nahi lagta. Well bani mere letters se tumne meri kaisi image banayi thi?"
Bani: "look I was too small to understand most of the things. Your argument with classmates or victory in competitions or results ki jo feeling hai woh samajh mein aata tha but later on when I grew up then I realised their relevance. Par ek baat hai, waqt ke saath saath tumhare letters bahut serious ho gaye the and I was quite sure that you are a serious man and see I got it right."
Jay: "hmmm… ya actually pata nahi kyun I am just like that."
Bani: "woh isliye kyunki tum mujhse mile nahi the na I mean for a long time. Ab batao mere baare mein tumne kya socha tha?"
Jay: "is mein sochna kya hai? It's clear ki tum bahut zyada hi fun-loving ho or childish bhi."
Bani: "childish? Look I am 18."
Jay: "only by age"
Bani: "ok agar main childish hoon toh yahi sahi phir bhi tum se achchi hoon. Main apne letters mein school ki baatein, friends ki baatein, everything likhti thi aur tum toh rarely likhte the doston ke baare mein. Maximum time 'study seriously', etc. etc. etc. (looking at jay's wrist watch) by the way your watch looks great"
Jay: "really! (looks at it) oh it's already 11:10 I must leave now"
Bani: "oh no ye time itni jaldi kyun beet jata hai. Jay ek kaam karte hai kal shaam ko hum ghumne chalenge aur main tumhe apne kuch friends se bhi mila doongi."
Jay: "fine" he left bidding good bye to everyone.
Next day early morning:
Barkha: "chchoti didi aapke liye phone hai"
Bani(in a hurry to attend the call): "kiska hai? (takes the receiver)hello"
Jay(on the other side): "bani main mumbai wapas jaa raha hoon kuch urgent kaam hai pata nahi ab kab mulakat hogi. Stay fine aur ghar mein sabhi ko mere best wishes dena. Bye."
Bani(with the most saddened voice): "bye take care." She hanged the phone and went to sleep again with a huge disappointment written on her face!
part11 coming....