Bani aaj High Court gayi hai..ek zaroori case hai.GUPTA & GUPTA k taraf se ladh rahi hai.. aaj hi pehli hearing hai...case hai aadmi ka jo Principal hai ek Girls' College me,ek student ne case kia hai ..us ko Principal ne college se nikal dia hai..college me indecent kapde pahen ne k lia..Bani us Principal ko defend kar rahi hai.
Pahle din case register hua..Bani court k baahar aai......News channel walon ne gher lia, "Advocate Juneja..aap khud is young generation se belong karti hain..fir bhi Principal ko defend kyon kar rahi hain??"
Bani--Baat young ya old ki nahi..baat hai siddhanto ki.....mujhe laga k mujhe in janaab ko defend karna chahie..thats all...
Reporter--Magar fir bhi...
Bani--Dekhiye,humesha jo dikhta hai woh nahi hota..don't worry..abhi sirf case registered hua hai..aage aap logon ko saari jaankari mil jaayegi...intezaar kariye please..
Court se Bani aai Office..Walia groups k Office me.
Zaroori meeting thi..Uday Walia apne kuchh decisions share karenge..saath hi saath company k shares ko divide karne k baare me bhi bolenge..
Meeting me hungama hua....Uday ne Naina ko 30% ka share holder announce kia.
Bani--Uncle..Jai is right...main toh India chhod k jaane k taiyyari me hoon..aur aap mujh par yeh zimmewari..nahi Uncle...
Uday--Both of you ..shut your mouth..maine faisla kar lia hai...
Cabin se baahar aate hi Jai baras pada..."Khush to bahut ho aaj..fir drama kyon kar rahi thi?"
Bani--Drama?Sure..mujhe yehi to karna ata hai...baaki main kisi kaabil hi to nahi...
Jai--Kaabiliyat ki zaroorat kyaa hai..Dad ki sympathy hai..aur chahie kyaa tumko....but let me tell you..main yeh hone nahi doonga..
Bani--Zaroor..main bhi yehi chaahti hoon..k sab kuchh tumko mile....don't worry..share mere naam pe transfer hone do..main khud unko tumahre naam kar dungi...
Jai--Bheekh hum dete hain..kisi se lete nahi..
Bani--Bheekh nahi ..yeh to tumhara hakk hai Jai...anyways ..bahes ka koi end nahi..bye bye....
In kai dino me Jai ko bura lagna suru hua tha..k Bani ki zindagi kaisi hai..par aaj is decision ne fir se zaher ghol dia..uske dil aur dimag me..
Jai apne doston k saath baitha hai..dost log usko sympathy jata rahen hai...
Ek ne bola, "Yaar tere Dad kahin tere aur Bani ki shaadi ki baat to nahi soch rahe hai?Kyon ki aise hi apne company k shares kisi baahar wale ko de dena....Uncle se baat karna zara.."
Ek aur dost ne kaha, "Yeh sahi hai..jisko Jai ek pal nahi jhel sakta..ussise uski shaadi.."
Doosre dost ne kaha, "Yaar..Bani koi sher ya bhaloo to hai nahi..ladki hi hai..Jai ko kabhi na kabhi kisi na kisi ladki se hi shaadi karni hai..why not Bani?Dekh Jai..agar tu uske background ko apne dil se nikal de..to bahut hi kaabil hai woh..khubsurat bhi hai..kamyab bhi..ek baat to maanni paregi..Walias k sath Bani joodi hai..isse bhi zada popular Bani ..ek vakil k taur pe jaani jaati hai..isse inkar nahi kar sakta koi..mera cousin bhi vakil hai.....uska kahna hai..k Bar Assosiation me yeh baat chalti hai..k kisi case ko agar 180 degree ghumana ho..to Bani is one of the best."
Jai--Itna impressed hai..tu karna usse shadi..
Dost--Yaar..teri amanat hai..kahte hain k nafrat pyar ka hi doosra pahloo hai..Jai ..tu Bani se nafrat karta hai..matlab har pal uske baare me sochta rehta hai..k kaise usko neecha dikhaya jaaye...yaar pyar me bhi aadmi aisa hi karta hai..fark sirf nazariye ki hai...sochna mere baat k bare me.
30/07/2005
Krishna--I can't believe it..Bani ko 30% ka share..kis khushi me??
Jai--Aap Dad se puchhie..
Uday--Kyaa kiaa maine jo mujhe explain karna parega??
Krishna--Tum..paani sar se upar ja chuka hai...
Uday--Kyaa lagta hai tumko..Bani mere paison ka ghalat faida uthayegi?Ghalat tum sochti ho Krishna..ek sach aaj main bata deta hoon...Vakalat padhne k baad..Bani ne jo firm join kia hai..usise uska kharcha uth jaata hai..Bani ka jo ghar hai..uski car..usi paise se hai.. aur ek baat jaanlo..Walia Group of Industries se jo bhi milta hai Bani ko..jaanti ho kya karti hai un paison ka,bahut sare anath ashram..briddhsram..hai is shaher me..sara paisa usiko jata hai..apne naam pe nahi..mere naam pe......yeh baat mujhe bhi thode din pahle pata chali. Ashram k Manager ne ghalti se bata dia...uske mehnat ki kamai woh mere naam pe mazlumon ki madad me deti hai..aur log mujhe duya dete hai....bolo ab kyaa kahogi Bani k niyat k bare me..maine isliye yeh shares tranfer kie..uske naam..k dushmano ki kameen nahi Krishna business circle me..pata nahi kaun kab peeth pe chhura ghop de.... Bani kuchh nahi hone degi..waqt aane par sara kuchh Jai ko hi milega,sirf Jai ki security k lia..maine yeh sab kia..meri baat ka yakeen nahi hai na?Apne Bete se poochhlo..
Jai--Jee Mummy..Bani ne aj khud mujhse yeh kaha hai..waise bhi Bani yeh desh chhod k jane ki baat kar rahi thi...
Uday--Arre woh uska bachpana hoga..main thode hi jane doonga usko..waise Krishna.. tumko darr hai na k Bani sab kuchh loot legi to uske liye bhi ek plan hai..Jai aur Bani ki shaadi..kyaa kahti ho..ghar ka paisa ghar me hi rahega.....
Krishna--Nahi..Bani is ghar ki bahu nahi ban sakti..Jai kabhi bhi usse shadi nahi karega..
Jai pad gaya Uday aur Krishna k beech me..Krishna k saamne Bani se shaadi karne ki baat nahi kar sakta..majbooran bolna pada.. "Mujhe nahi karni usse shaadi.."
Uday--Jai..shaadi se inkaar kya is wajah se hai k tum shaadi nahi karna chahte..yaa fir karna chaahte ho par duniyadari ki bat beech me aa rahi hai?Yaa fir koi aur hai tumhare zindagi me??
Jai--Main shaadi nahi karoonga Bani se..aap kisi bhi aur se shaadi karne k lia kahe..main karoonga..par Bani se nahi...mujhe usse sakht nafrat hai....kyaa jaat hai..kaunsa dharam hai..koi pata nahi..aur...
Uday--California se laute ek MBA ki zubaan se dharam jaat ka bhedbhav..kuchh missmatch nahi hai?Bani k background ko beech me kyon laate ho...yeh baat chhod k uske jaisi ladki milna mushkil hai Jai...
Jai--No way..
Uday--Dekho Jai..Indian values mujhe bhi malum hai..aur India me hi yeh kaha jata hai..k ladki ka asli ghar uske pati ka hota hai..uski pahchan uske Pati se hai..background ki baat hai jahatak ..ekbar Bani Juneja se Bani Wallia ban jaayegi..sab ki zubaan apne aap hi bandh ho jaayegi..tumhara naam usse joodega..sab theek ho jayega..
Jai--Toh fir apne use apna naam kyon nahi dia ..pahle..kyon Juneja saab ko kaha use adopt karne ko??
Uday--Isiliye k tum dono ki shadi kara sakoon..Miss Walia nahi..woh Mrs. Walia ban k is ghar me aye....aur humesha k lia isi ghar k sath jud jaye..
Jai--Yeh nahi hoga Dad..aap chahe to mujhe property se bedakhal kar de..par Bani meri Patni kabhi nahi banegi..kabhi nahi..
Uday--Tumhari shaadi Bani se hi hogi...dekh lena..aaj nahi to kal tum khud karoge usse shaadi..
07/08/2005...
Bani k court case ki hearing..pleading chal rahi hai.....
Student ka Defender--Your honour..case bilkul saaf hai..ek Principal ki decteatorship..aaj k zamane me bhi aise sochwale insaan ek academic instution k head bane baithe hai..jo ladkion ki dress ko lekar zyada concern dikhate hain..meri client..jo ek honhar student hai.. unko college se rusticate kar dia hai sirf isliye kyon ki woh burkha jaise poshak nahi pahenti..iske lia..main apne client ko witness box me bulaneki ijazat chahunga..
Judge--Go ahead.
Student--Sir mujhe is tarha nikala jayega college se maine socha nahi tha..
Advocate--Kyon ?
Student--Kyon ki college me naye rules hai k ladkion ko yaa to churidar ..salwar kameez.. yaa to fir formal shirt and trouser pe ana hoga..
Advocate--Isme kya harz hai apko??
Student--Baat hai hukum chalane ki..aur sir..yehi umar hai fashion karne ki..agar aaj nahi pahnungi trendy dresses..to kab pahnungi..aur maine koi revealing to nahi ki thi..
Advocate--Kyaa lagta hai apko??kya kahna chahengi aap dress-code k baare me?
Student--Bas itna..k hume azadi honi chahie choose karne ki..college me hum kaisi padhai kar rahe hai..yeh dekha jana chahie..kya hum koi ghalat bartav to nahi kar rahe hai..yeh dekha jana chahie..par Principal sir ne to talibani fatoa rakh dia dress k bare me..aj agar yeh maan lega koi ..kal ko shayad woh ladkio ko ghunghat ya burkhe me ane k lia kahenge...
Advocate--Point to be noted your honour..Fatwa..bilkul sahi labz..Principal k is order ka..
Student--aur agar culture ki baat hai,to razi hai cultural fest me desi dress pahen ne k lia..aur formal dress..haa..pahenege zaroor..par pahle us chair tak to baithe..lekin..is waqt hume yeh dress code..ridiculous..nahi lagta aapko?
Advocate Bani ko kahta hai.. "Your witness please..."
Bani--Miss..aap ne jab college me admission lia tha..tab apne yeh oath bhi lia tha k har rule and regulation ko follow karengi??
Student--Yes...
Bani--Har rule.matlab..har rule..kisi bhi mamle ho ..har baat..kyon ki kabhi kabhi rules me ammendment bhi hote hai..zaroorat k hisab se...samajh rahi hai na aap..apne sign kia tha admission paper pe..that you will obey each and every rule of the college..soch k bataye..
Student--Woh aise to nahi..maine yeh kaha.....
Bani--Just answer me saying 'yes' or 'no'..apne oath lia tha k nahi..haa ya naa??
Student (sar jhoonka k) --Haan..
Bani--That is all my Lord.
Judge--Is case ki hearing ko 23/08/2005 tak multabi ki jaati hai...Court is adjourned till date.
Reporter--Kya lagta hai aapko..aap yeh case jeetengi?
Bani--Baat har jeet ki nahi..baat hai sahi aur ghalat ki..
Reporter--Woh faisla aap bad me karna..pahle dekhiye..students' assosiation..ne morcha nikala hai Principal k khilaaf..k tana shahi nahi chalegi..
Bani--Woh unka kaam hai..mujhe apna kaam karne dijiye..thank you very much..
Is case ne kaafi zor pakda hai dusre hi din....Mumbai ki bahut sare colleges me hungama hai..k kya munasib hai ek adult ladki k upar is tarha fatoa jari karna..News reporters uchhal rahe hain..k Bani..Generation Y se hokar..kaise is youth k sath nahi..
Jai news dekh raha hai..isi case ko..Bani k bare me...khush hai k Bani k khilaf bola ja raha hai..
Bheed k andar se Bani baahar aa rahi hai..saath me woh Principal..sab ne gher rakha hai usko..News wale sawal kar rahe hain, "Bataiye Advoacte Juneja..ek young acheiver hone k baad bhi aap youth k sath nahi..aisa kyon.....
Bani--Main bas apne client ko defend kar rahi hoon..
Udhar woh Student keh rahi hai presswalo k samne, "Maine suna hai Banijee England se vakalat pass karke aai hain..unke vichar bhi aise dakialoosi honge..socha nahi tha..mera sawal hai..kya woh bhi ghunghat me yaa burkhe me jati thi college?"
Reporter--Bataiye Advocate Juneja..is bareme aap ka kyaa kahna hai?
Bani--Kuchh bhi nahi..this is INDIA..England me logon ki soch alag hai..waha ka samaj alag hai..aur baat youth ya oldage ki nahi..naa hi generation gap ki hai..baat hai insaaf ki..woh hokar rahega.
Jai ne sab kuchh TV me dekha..Bani agar yeh case haarti hai shaayad Jai se zada khush aur nahi hoga....
Bani ka mobile baja...
Bani--Advocate Juneja here...
Jai--Vakil sahiba..apna career khud hi barbad karne chali aap??
Bani was surprized... Jai ne use phone kia!!
Bani--Tumne dekha ?News walen toh baat ko uchhalte rahenge..but it's an ordinary case..
Jai--Case kaisa bhi ho..tum haarnewali ho is case ko..
Bani--Kya tum chaahte ho k main yeh case haar jaoon?
Jai--Mere chaahne yaa naa chaahne ka sawal nahi..par shaher bhar k students bawal kar rahe hain...
Bani--Maine kaha hai..woh unka kaam hai..mujhe mera kaam achhe se karna ata hai..
Jai--Haan..mujhse behtar kaun jaanega..k kis safai se tum apna kaam karti ho..logon k saamne Tragedy Queen banti ho..aur asaliyat me humari zindagi k sath khel ti ho..
Bani--Jiski khud ki zindagi ka koi thikana nahi ..woh kaise khelegi kisi aur k saath?
Jai--Naatak achha karti ho....par Company ki tankha anath ashram me deti ho dad k naam pe ..yeh kyaa naya natak hai??
Bani--Tum jo bhi samjho..
Jai--Bani..mujhe aaj tak samajh me nahi aaya..k tum ho kyaa..sach me..
Bani--Waqt ne pata nahi kyaa bana dia mujhe..aur logon ne kyaa samjha mujhe Jai..pata nahi..par main insaan hi paida hui thi..khair..tumne phone kiaa.chahe wajah koi bhi ho. Mujhe achha laga..Aunty kaisi hain?
Jai--Tumhari lakh koshisho k bawajood..theek hain...
Bani--Aur kuchh kehna nahi tumko?
Jai--Tum par kabhi kisi baat ka asar to nahi hota hai..
Bani--Achha laga..k tum itna notice karte ho mere baare me..
Jai--Bakwas mat karo..sari duniya jaanti hai..
Bani--Saari duniya bahut kuchh nahi janti Jai...kabhi tumko waqt mile to tumhe batana zaroor chahoongi k sari duniya ko aur tumko kya malum nahi hai...
Jai--Mujhe lagta hai..tumko samajh ne k lia tumse usually milte rehna chahie......
Bani--Achha?Maine kabhi mana nahi kiaa Jai..
Jai ne phone rakha aur dekha saamne Uday khade hain..Uday hans rahe hain..