MANAN FF LOVE IS MY LIFE INDEX ON PG 1 - Page 7

Created

Last reply

Replies

999

Views

635.3k

Users

143

Likes

8.7k

Frequent Posters

mananforeverr thumbnail
Posted: 10 years ago
#61
Fabulous seriously ur evry update is jst wow...ur superb writer...im jst loving it..
Thnku fr updating
N update soon..waiting..!!
fireflies10 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
#62
hiii ur ff is really amazing have u written it before on another other site also??
continue soon
love
anaita
fireflies10 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
#63
first i read ur ff on fb page then she stopped posting after part 60 n i constantly used to google abt this ff as m in love with ur ff soo a ton of thanx frm my side ki u strted posting here also
anumanan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 6
Posted: 10 years ago
#64
PART 29

Manik and nadini reach near class and while manik was about to enter into class suddenly sees alia and mukthi. He moves back and hides himself beside door and says nandini to enter first. Nandini doesnt say anything and goes inside the class. Manik seeing from outside itself understands that alia and mukthi were in anger. ''chel beta ab inhe sambalna padega'' saying this he enters into the class. alia and mukthi see him very angrily. Nandini was sitting beside kabir and was just above to move a little bit so that manik can sit beside her but at the same time manik doesnt even look at nandini and asks dhruv to sit beside her so that he can sit with mukthi and alia. Dhruv understands and gets up smiling. Manik sits in between alia and mukthi and dhruv sit beside nandini. Nandini feels sad but again smiles.

Here No one speaks neither alia nor mukthi and finally manik breaks silence saying them sorryyy

MANIK : guys am sry am really really sry dekho main janthu hoon ki tum log bahuth gussa ho aur tumhara gussa bi bilkul jayis hain par trust me guys jo bi main ne kiya wo karna bahuth zaroori tha kyunki mujhse galthi hi aisi huyi thi ki mujhe aisa karna pada aur ab main uske baare main baath karke time waste nahi karna chahthu kyuki wo baath beeth chuki hain aur mainnn

MUKTHI : manik thu uske bare main baath nahi karna chahtha hain ye konsi baath huyi hum log tere dosth hain aur tere life main jo bi hora hain usse janne ka haq hai hame lekin haan agar tu kuch nahi bathana chathaaa

MANIK : mukthi please thu jaanthi hain main tum logon se kuch nahi chupatha hoon aur agar tumlog sach main sab kuch sunna chahthe ho tho teek hain kal mere aur nandini ke beech jagda hua aur main gusse main aake patha nahi kya kya sunadiya jo ek ladki ko nahi kehna chahiye aur mujhe laga ki main ne apne limits cross kardiye the tho bas isliye main ne usse sorry bola aur iske alawa kuch nahi hua hain hamare beech and am sure ki tum log bi iss baath ko samjenge ki kisiko bi ek ladki ko kuch bi apne limits cross karke nahi kehna chahiye aur am sorry ki main ye sab ab bathara hoon actually main bahuth gusse main tha apne aap par aur isiliye

ALIA : gusse main tho tum hamesha rehthe hoo manik lekin iss tharah hamse bathe chupana sahi nahi hain aur agar kuch bi ho tho tumhe atleastt

MANIK : alia pehli baath main thum logo se kuch nahi chupatha hoon aur ye baath bi main ne chupaya nahi hian bas batha neka mouka nahi mila aur haan agli baar i will make sure ki jo bi ho sabse pehle tumhe akar batao sachiii

MUKTHI : hmmm alia i dont think ki hame aur gussa hona chahiye kyuki ab jab manik sab kuch batha diya hain tho i feel ki usne bilkul sahi kiya hain to

ALIA : Thuje manana bahuth easy hain par mujhe nahi and turns her face

kabir,nandini and dhruv also were able to hear the entire conversation.

KABIR : alia chel ab maan bi jaa na wo kitne ache se sorry bol hain pleasee

ALIA : nahi kabir itni asani se nahi aur manik tum ab mujhe ye batao ki hum aur hamari dosti tumhari life main kitni imp hain uske baad main sochungiii Manik jumps frm his bench & runs outside without saying anything. He comes back soon with a guitar & says alia am sure tum ab zaroor manjaogi.

He smiles &
YAARON DOSTI BADI HI HASEEN HAIN YE NA HO THO KYA PHIR BOLO YE ZINDAGI HAIN kOYI THO HO RAAZDAAR BEGARAJ TERA HO YAAR KOYI THO HO RAAZDAAR

kabir and dhruv come beside manik and start humming while manik continous looking nandu YAARON MOHABBAT HI TO BANDAGI HAI YE NA HO TO KYA PHIR BOLO YEH ZINDAGI HAI KOYI THO DIL BAR HO YAAR JISKO THUJSE HO PYAR KOYI THO DIL BAR HO YAR.

He slowly goes and take alias hand and TERI HAR EK BURAI PE DAANTE WO DOST GAM KI HO DHOOP TO SAAYA BANE TERA WOH DOST.

He makes her turn around singing NAACHE BI WOH TERI KHUSHI MAIN.

Kabir and dhruv come from behind and sing hugging them ARE YAARON DOSTI BADI HI HASEEN HAIN YE NA HO THO KYA PHIR BOLO YE ZINDAGI HAI.

Mukthi also joins and sing hugging them KOYI THO HO RAAZDAAR BEGARAJ TERA HO YAAR KOYI THO HO RAAZDAAR.

everyone starts clapping and manik continuous looking at nandini TAN MANN KARE TUJHPE FIDA MEHBOOB WOH. Kabir pulls nandu out of bench and push her on manik and sings pointing towards manik PALKON PE JO RAKHE TUJHE MEHBOOB WOH while dhruv continuous JISKI VAFA TERE LIYE HOON and then both of them together continue ARE YAARON MOHABBAT HI TO BANDAGI HAI YE NA HO TO KYA PHIR BOLO YE ZINDAGI HAIN and winks at them.

Manik continous holding nandini KOI TO DIL BAR HO YAAR JISKO THUJSE HO PYAAR KOI THO DIL BAR HO YAAR. Nandu removes his hand.

Alia becomes happy seeing nandu angry and hugs manik and everyone joins one by one. All start shouting and clapping loudly. They break the hug and immediately social madam enters so everyone become silent and take their positions. Alia holds manik hand & sleeps on his shoulder saying ''am sorry and thank u''. Manik just smiles and doesnt say anything. Alia remains in same position and nandini here feels like killing her. she totally becomes angry and was continously poking her bench with the pen. Kabir and dhruv observe her & also understand the reason behind it. They both look each other & smile seeing her as she became totally red .

NANDINI ( In mind ) : ayyappaa ek tho wo class main aakar mere saath baita nahi aur ab jab ki wo mere aage baita hain tho mujhe ek baar bi palat ke nahi dekhra hain aur upar se alia ke saath bada enjoy karra hain usse to

KABIR : bas bas nandini itna gussa acha nahi hotha hain sehath ke liye

NANDINI : kyaa nahi main main gussa nahi hoon main kyu gussa hungi ha

KABIR : (holding hand) acha thum gussa nahi ho tho phir kyu iss pen ki aur ye bench ki band bajari hooo hmmm aur ye apna chehra dekha hain???

NANDINI : wo bas mujhe iski aadath hain lekin iska ye matlab nahi hain ki main gussa hoon aur vaise ye mere chehre ko kyaa hua hain tum batao na

MANIK : (turns) hona kya hain itni darawni dikhthi hoon tho kal se kuch bi ho tumhe make up karke hi school ko ane ke liye bolra hoga hain na kabir

Nandini looks into his eyes and thinks in her mind ayyappa isse ab bi kyu baath karni thi mujhse wo tho kush hain na alia ke saath and she didnt realise that tears were already flowing from her eyes. Manik gets shocked to see her and doesnt understand anything. Bell rings & due to that sound nandini realises that her eyes were totally filled with water. she doesnt say anything and runs out of the class. Manik gets confused but guesses that something was really wrong because she cant cry just because he bullied her. Alia feels once again happy seeing nandini cry and goes out with mukthi saying that they have some urgent work. Manik here turns and asks ''Kya hua tum logon ne kuch kiya kya wo kyu rori thi aur agar kuch hua tho''

KABIR : usse kuch bi bolne ka haq hame kaha hain uska copyright tho sirf tere paas hain na aur vaise bi tujhe patha hona chahiye ki wo kyu rori thi

MANIK : what mujhe kaise haa matlab wo tumhare saath hi tho baitri thi na

DHRUV : hmmm hamare saath hi baitri thi par dyan kayi aur tha tho shayad

MANIK : buddy tu kya bolra hain saaf saaf bolna mujhe samaj nahi aara hai

KABIR : aise kehne se kuch nahi hotha tujhe khud samjna padega ab jaaa

MANIK : samajna hoga matlab kya main ne kya kiya hain aur ye mujhe kyu

DHRUV : buddy hame nahi patha aur thu ye sare sawal humse kyu puchra hain itna hi pareshan hain tho khud jaake puchna nandini se kuch bi hooo hamesha uske peche hi baagtha hain bina soche tho phir ab kyu nahi jaara

MANIK : haan main baath karunga usse lekin pehle agar kuch patha karlo ki wo ro kyu rahi thi tho shayad main use kuch samja saktha hoon varnaaa

KABIR : acha kya baath hain kuch karne se pehle thu uske baare main sochra hain not bad haan vakayi matlab nandini ko maan na padega sachi

MANIK : hooo hello bas haa uss ne kuch nahi kiya hain wo tho bas isliye kyuki agar phir wo madam gusse main kuch bi bolegi tho main bi react kardunga aur as usual hamari phirse jagda hogi tho isse better ye hain kiii

KABIR : tho manik malhotra nahi chahtha hain ki wo nandini murthy se lade aur isliye wo sari bathe detective ki tharah jankar uske baad hi kuch karega

MANIK : you know what i dont want to wast any time so am leaving byyeee

DHRUV : haan buddy tu jaa na bahuth der rok liye tu ne aapne apko sooo

MANIK : am telling u buddy tu iss kamine ke sath rehkar bahuth bigadra hai

KABIR : hugs dhruv and acts like crying singing dosth dosth na raha

MANIK : philal ke liye main jara hoon par vapas ake tum dono ko dekhlunga and saying this leaves from class...
Kuushi thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
#65
Aww..manan are just adorbs :) lovely updates...this Aliya is so irritating and now mukti is also getting influenced with her..Abhi abhi things got sorted b/w manan and these two are ready to bring more problems for them but no worries when cabira and dhruv r there as saviors :) waiting to read more of the story and again appreciate your effort in giving quick updates :) yay just read the latest update..nandini upset and bichara Manik always hanging b/w friends and luv ab kaise manayega nandini ko us ko problem bi nahi pata :)
Edited by Kuushi - 10 years ago
anumanan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 6
Posted: 10 years ago
#66
PART 30 :

Nandini goes and sits in the same classroom where manik says her sorry. she cries loudly sitting on her knees. she try to control herself but her tears wont listen anything and continously flow from her eyes and then slowly she wipes her tears saying ayyappa why my tears are not listening to me pehli baar main khud ko rone se nahi rok paari hoon lekin kyu ayyappa kyu mujhe kuch samaj kyu nahi aara hain jab wo mujhse baath kara tha tho main kyu usse kuch nahi bol payi aur ye ye aansu kyu apna kaam karna shuru kardi patha nahi wo kya sochra hoga aur upar se main bina kuch bole hi vaha se baag ke aagayi aur agar wo mujhe kuch puchega tho main usse kya bolungi ayyappa jab ki mujhe khud kuch patha nahi hain main main kyu vaha se aise aagayi aur wo bi yaha iss room main and closes her eyes tightly. Her tears were still coming out of her eyes and instead of wiping them again and agian they were still coming out continuously. Manik here knows exactly where he would get her so without wasting any time rushes near the room. He sees her and gets relieved a little bit. He slowly enters into the room and closes the door without making any noice. He walks towards her and sits on his knees.

He wipes her tears slowly and gently and his one touch was enough to calm her down. He cups her face and a small smile appears on her face. He slowly says ''nandini kya hua''. Nandini opens her eyes and looks into his eyes. she just looks him for a while and manik asks her again ''kyaa hua kisine kuch kaha kya''.listening this nandini suddenly jerks his hands and moves back a little bit. He gets confused.

MANIK : Nandini kya hua tum class se aise baag ke kyu aagayi aur tum ro kyu rahi ho kya kisine tumse kuch kaha ya phir kuch aisa hua jo tum batana

NANDINI : leave me alone manik just leave me alone please justtt go away

MANIK : nahi nandini tume mujhe bathana hoga ki akhir aisa kya hua hainn

NANDINI : manik main ne kaha just leave tumhe samaj nahi aatha kyaa???

MANIK : haan mujhe samaj nahi atha aur na hi main samajna chahtha hoon

NANDINI : fine tho tum nahi jaoge na tho teek hain main cheli jaathi hoon and tries to gets up but manik doesnt allow her to get up and makes her sit.

MANIK : nandini main tumse aakri baar puchra hoon please batao kya hua

NANDINI : manik main bi tumse aakri baar bolri hoon just leave right noww

Manik gets up angrily holding her tightly & pins her to wall.

MANIK : Now let me deal with u in my own way & just spit out the truth if not

NANDINI : kyaa kyaa kar loge tum hothe kaun hoo ye sab bolne vale haan

MANIK : listen am asking you one last time kyaa huaa just say me kisineee

NANDINI : kitni baar puchoge agar tum sau bar bi puchoge na to main nahii

Manik pulls her closer and twists her both the hands backside. He goes more closer to her and ''Manik Malhotra never listens a no as an answer aur ye baath jitni jaldi samajogi utna hi acha hoga tumhare liye'' and presses her hands tightly. she gets pain and shouts. He loosens his grip immediately seeing her expression and sees her hands. His finger marks were clearly seen on her hands. He blows air on her hands saying sorryyy.

MANIK : main ne kaha tha sach bolne ke liye par u u idiot wont listenn rite

NANDINI : tumhe patha hain idiot ka naam hi tumhe dekhe paida kiya gaya hain to tumhe kisi aur ko idiot bolne ka haq bilkul nahi hain & turns her head

MANIK : what kya kaha tumne o hello am talking to u jst look at me damn it

NANDINI : yehi ki tumse bada idiot iss duniya main aur koyi nahi ho saktha

MANIK : haan aur shayad isliye main tumse is vakth aise bath kar raha hoo

NANDINI : Happy realisation tho ab jab ki samaj gaye ho tho just leaveee

MANIK : Think for one last time nandini this time i wont come back to you

NANDINI : tumhe aane ko kisne bola hain haan kisi ne nahi tho ab jaooo

MANIK : listen iss baar main sach main tumse baath nahi karunga tho justtt

NANDINI : haan tho mujhe bi tumse koyi baath nahi karni hain aur agar abb

MANIK : zyada stress math lo jaa raha hoon jo karna hain karlo aur haan tum baar baar is room main ana band kardo ye meri personal jagah hain ar main yaha kisiko ane nahi detha to agli baar kayi aur chele jana rone ke liye

NANDINI : na ye school tumhara hain aur na hi ye kamra tho mujhe ye sab math batao aur haan main main kayi bi jao wo meri marsi hain thooo ye sab

MANIK : main chahu tho ye school bi mera ho saktha hain aur ye kamra bi & next time if i see you here u could not even imagine what would i do with you and before she could say anything he interrupts her saying ''its last warning''. He looks at her for one last time and leaves from there.

Nandini sees him leaving and ayyappaa kyu jab bi wo mujhse door jatha hain tho mujhe bahuth bura lagtha hain aur ab ab kyu main usse vapas bulana chahthi hoon jab ki main ne khud usse yaha se jaane ko kaha hain mujhe kuch samaj nahi aara hain ayyappa mujhe kyu itna gussa aara tha class main jab main ne manik aur alia ko saath main dekha main tho khud nahi chahthi thi ki wo mukthi aur alia ke saath baite tho phir mujhe tho khush hona chahiye tha na lekin mujhe tho ulta gussa aara tha par kyun offooo ayyappaa itne saare sawal aur mere paas iska ek bi jawab nahi hain main karu tho kya karu kyu aap mujhe iss tharah pareshan karre hain and slowly starts walking out thinking all this...
Kuushi thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
#67
Haha..another update :) yeh ladki seeda jawab kyun nahi deti I understand she is confused with her feelings but whenever manik poses a question gol gol gumakar lad padthi hain and manik needs a reason to get angry..Dono bilkul pagal hain aur aise Har baat pe ladenge tho villains ki kya jaroorath hogi 😆
Awesome update:)
Edited by Kuushi - 10 years ago
amrutha.shetty thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#68
Nice update ...bas nandini ko ekdam rotlu mat banao ...nd manik ko b thodi so akal ki zarvat h aage usko b jealous karvao ...update soonsish ...waiting ...😊
anumanan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 6
Posted: 10 years ago
#69
PART 31:

Manik goes to classroom and sits silently without saying anything. alia and mukti try to ask him but he says nothing & simply looks out through window.

KABIR : hmm girls actually hame kuch kaam hain tho we will be back soon

MANIK : hame matlab kya kaam hain abi class shuru hogi na tho baitja bas

DHRUV : arey buddy thu phil se bool gaya thu pehele chel ham bathayenge kabir and dhruv literally drag him out of the class room in a corner

MANIK : guys ye thum kya karre ho chodo mujhe i need to attend the class

KABIR : chup bey bada aya class attend karne vala tere ye natak na hamare paas nahi chelne vale tho ab seeda seeda bol kya hua nahi thooo

MANIK : bolne ke liye kuch nahi hain aur agar hoga to main khud boldunga

DHRUV : buddy tu ache se jantha hain humse teri koyi bi bath nahi chupthi

MANIK : buddy kya kya bolu main mujhe kuch samaj aaye tho na lekinnn

KABIR : dek pehle ye batha ki asal main hua kya nandini ne tujse kya kaha

MANIK : agar kuch kehthi tho kuch problem hi nahi hothi shayad par nahiii

DHRUV : matlab kya hain buddy thu saaf saaf bolna kya nandini ne kuchh

MANIK : us ne kuch nahi bola kuch bi nahi main ne bar bar pucha lekin nahi

KABIR : acha kuch nahi kaha matlab tere baar baar puchne par bi wow yar

MANIK : kabir isme wow vaali kya baath hain haan thuje kya lagtha hainnn

KABIR : hold on hold on main ne wow isliye kaha kyuki pehli baar kisine manik malhotra ke sawal ka jawab nahi diya matlab sach main ye jo nandii

MANIK : dhruv isse pehle main iska gala na dabadu thu ise leke ja yaha se

KABIR : acha acha sorry lekin uss ne kuch tho bola hoga na matlab jaisa ki

MANIK : leave from here right now aur iske aage main kuch nahi bol saktha

KABIR : dekh main jantha hoon thu gusse main hain am sorry yar lekin tuuu

MANIK : kabirrr uss ne sirf ye kaha mujhse ki ''leave from here right now''

KABIR : kyaaa matlab tujhe tujhe vaha se jaane ko kaha pakka na tujhe???

MANIK : kabir vaha hamare alawa aur koyi nahi tha aur wo madam sirf ye hi bath baar baar doharari thi main ne har tharah se pucha yar usse par wo

DHRUV : buddy har tharah se matlab kya manik malhotra ke style main bi??

MANIK : haan wo actually pucha tha main ne lekin phir bi usne kuch nahiii

KABIR : wow am surprised aur sach main maan na padega nandini ko haiii and looks at manik who raised his hand to punch him & then he says acha acha shanth ho ja ab se kuch nahi bolunga tho ab kya karne vala hain kaise

MANIK : naa main kuch nahi karne vala hoon usse jo karna hain wo karle

DHRUV : lekin buddy aise kaise kuch nahi karege hame jana tho padega ki

MANIK : janna tho hain buddy par madam sathve asman par baiti huyi hain agar kuch bolegi tho hum kuch kar sakthe hain na aur agar kuh nahi bolegi

KABIR : to hame hi kuch karna hoga jise wo kuch bol paye & winks at dhruv

MANIK : mujhe in sab main nahi padna hai aur uske liye to kuch nahi karna

KABIR : haan haan thu vaise bi uske liye kaha kuch kartha hain tho its ok

MANIK : hmmm agar tum log kuch karna chaho tho kar sakthe ho ill help u

KABIR : help acha teek hain vaise main thujse ek sawal karna chahra thaa

MANIK : haan puch na kya hua kayi phir se alia aur mukthi ki tharah tu biii

KABIR : arrey nahi yar main ye puchna chahra tha ki tu school jaldi kyu aya

MANIK : ooo school ko jaldi main iss liye aaya kyuki main ne kaha na kam

KABIR : kaam jiska naam nandini hain right & smiles

DHRUV : vaise buddy thujse kehne ka mauka nahi mila wo jo bi tune kiya na wo sare sory cards aur wo rose petals sach main bahuth impressive tha

KABIR : haan wo bath tho hain lekin janab ye bathayiye ki wo idea kiska tha

MANIK : main teri tarah dosro ke ideas use nahi karta ofcourse wo mera idea hi tha actually jab uske liye wait karra tha tho thab wo idea aaya isliye

KABIR : isliye tune wo sab uske liye kiya nice matlab sach main romanticcc

MANIK : kabirrr vaise main jo bi kartha hoon wo extremely acha hotha hai

KABIR : lekin is bar wo sab karne ke bavjud nandu ko manana asan nahi ta

MANIK : madam ke thevar kuch zyada jo hain par usse wo sab acha lagaa

KABIR : hmmm tho is baar bi thu kuch aisa kar ki wo thujse baath kare bina

MANIK : listen main ne wo sab kiya kyuki thab meri galthi thi lekin iss baar meri galti bilkul nahi hain aur vaise bi main apna har din madam ko manane ke chekkar main nahi betha saktha so this time am not gona do anything. kabir notices that their hindi sir was coming near them and so he starts

KABIR : ye sab chod aur bas chel yaha se class ke liye der hora hain hmm

MANIK : nahi kabir mood nahi hain chod na phir kabi chele jayenge please

Nandini was coming from another side of the floor and kabir calls her too. nandini looks at manik but he looks her only for a second & turns his head

KABIR : (loudly) deko tum dono suba se classes puri tarah attend nahi kare

MANIK : haan tho kya hua vaise bi ye main pehli baar thodi karra hoon

There sir was listening all this standing behind and kabir winks dhruv.

KABIR : dekh thu samaj nahi raha hain jab ye humare sir ko patha chelega

MANIK : tho what kya kar lega aur vaise bi unki subject tho hindi hain na aur main ne tho dosre subjects ke class miss ki tho unhe kyu problem hogi

DHRUV : arreyy buddy thu ye kaisi baathe karra hain hamare sir na bahuth hi disciplined hain aur chahe jo bi subject ho wo sabko equally importance dete hain aur isliye agar unhe pata chelega ki tum dono ne suba se classes miss ki hain jo dusre subjects ki hi kyu na ho tho am sure sir gussa hongehonge

MANIK : ye tum dono ko kya ho gaya acha chelo class main jaathe hain

KABIR : arreyyy manik sun tho patha hain main ne tho suna ki sir na gusse main kuch bi kar sakthe hain mera matlab hain ki jab koyi galthi kartha hain na tho usse ek room main lock bi kar sakthe hain jaha bahuth andera hooo

NANDINI : kya andera matlab darkness nahi nahi koyi aise kaise kar saktha

DHRUV : koyi ka patha nahi nandini par ye sir kar sakthe hain tho isliyeee

MANIK : guys whats wrong with you ye tum log kya bole jaare hoo aur kyuu

KABIR : manik tuje na ab kuch nahi samaj aayega bas thodi der aur ruk jaa

MANIK : what kya kaha thu ne listen fine tum log chahthe ho na ki mainnn

DHRUV : buddy hum bas ye bolre ki tum dono ko na dyan rakna chahiye

NANDINI : haan dhruv tum sahi bolre hoo pata nahi main bi na pagal hoon jo apna sara time waste kari hoon lekin kya agar wo sir ko patha chelega to

KABIR : Tho tum dono ko bi room main lock kar sakte hain aur ye sach hai

NANDINI : kya nahi room main lock wo bi jaa andera ho nahi & gets scared

MANIK : tum dono bi pagal ho yaha girls ko koyi aise band nahi kartha

KABIR : tu pagal hain tu jantha nahi hain kya ladka ladki sab barabar hain

NANDINI : acha ye sab chodo jab sir ko patha chelega na thab dekenge hm

Kabir acts as if he didnt knew that sir was standing behind and so shouts

KABIR : sirrr aapp appp yaha kyaa karre aap ne kuchhh suna tho nahi na nandini gets afraid but manik stands normally without any shock

SIR : tum dono ko sharam nahi aathi hain padthe tho school main ho lekin kaam itne bade bade karthe hooo jaise koyi college ke students ho haan

DHRUV : dekhiye sir galthi sab se hothi hain isliye aap inko koyi saza math

SIR : saza tho inko bukathni padegi thaki next time aisa kuch na kar sake

KABIR : haan tho teek hain na sir lekin kamre main bandh karna ya aisa kuch math karna you know na ki ye manik kaisa hain aur vaise bi issne tho

SIR : Manik ho ya koyi aur i dont care jab galti ki hai tho saza bukathni hoga manik and nandini try to say something but no one listens to them.

DHRUV : haan sir aap bilkul teek keh re hain aur bilkul sahi bi karre hain

SIR : you both follow me and dont even dare to ask any questions or say something and takes manik and nandini along with him. kabir and dhruv silently go behind them. sir takes them to cellar and locks them in a room. manik and nandini shout loud but he simply ignores and go away.

kabir and dhruv have a high five and start laughing loudly.They laugh for some time and with a great difficulty control their laughter and then kabir says ''maza agaya sach main aur dhruv thu bi kya kamal ka actor nikla yar''

DHRUV : haan lekin thu mujhse zyada acha acting karra tha vaise mana padega kya kamal ki planning ki tu ne and i just hope ki ab sab teek ho bas

KABIR : dont worry sab teek hoga hi aur vaise bi un dono ke pas koyi aur option nahi hai ek dusre se bath karne ke alawa to i gues sab sort hojayega and they once again start laughing remembering everything...
anumanan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 6
Posted: 10 years ago
#70
PART 32 :

MANIK : Listen someone open the door goddd damnnn ittt hellooo hellooo

NANDINI : sir please agar aap bahar hi hain tho please darwaza koliye sirrr

MANIK : am sure no one is outside god ye kabir aur dhruv ne kaha phasadi

NANDINI : kabir aur dhruv ki waja se nahi hum tumari waja se yaha par hai

manik gives her a serious look & doesnt say anything. Nandini again starts saying ''you know what agar hum classes attend ki hothi na tho shayad ye sab hota hi nahi par nahi you giraffe wont understand all this agar tum suba mujhe nahi rokthe na tho shayad i would have attended the class lekin nahi tumhe tho hamesha apni marzi ki hi karni hothi hai na tho lo ab bas buktho''

manik doesn't utter a single word and simply turns his head around and starts walking. Nandini gets shocked to see him not giving any reply.

NANDINI POV : ye kuch bol kyu nahi raha am sure kuch tho gadbad hain varna ye ye bina gussa kiye,bina taunt kiye aise nahi jaa saktha hain

MANIK POV : am sure shocked hogi ki maine use ab tak kuch kaha kyu nahi ar soch bi rahi hogi ki akir aisa hua kya hoga jiski vaja se main chup hu

NANDINI POV : ye giraffe ke dimag main chel kya raha hain ye mujhse baath kyu nahi karra ek minute isliye tho nahi kyu ki main ne usse door jane ko kaha

MANIK POV : khud chahti hai ki main use door rahu tho phir main usse baath bi kyu karu.Main usse baat nahi karunga aur na hi uske paas jaunga.

NANDINI POV : like srsly sach main sirf isliye mujse bath nahi karega

MANIK POV : han chahe jo karna hai karle mai bilkul bath nahi karunga

NANDINI POV : vaise tho meri koyi bi baath nahi mantha hain phir kyu

MANIK POV : hamesha bolthi rehthi hain na ki main uske koyi bi baath ko nahi mantha hoon tho isliye aaj sirf uski kahi huyi baath ko hi manunga

Manik was walking slowly thinking all this and nandini too was walking slowly behind him. she suddenly feels something falling on her back due to which she comes out of her thoughts. she gets afraid and simply starts running towards manik shouting on top of her voice. Before manik could turn and see she hugs him tightly from back.

A cute smile falls on his lips.

''MAINE HAARA MAIN TERE SAARA MAIN MEETA MEETA THU KHARA KHARA MAIN TERE SAARA MAIN SAARA MAIN''.

He slowly holds her hands and turns towards her while she slowly opens her eyes and looks him.

''SINDHURI RANG SUHAGAN SACHA SACHA RE SARMAAYA JO PAYA HAI WO TU DIL MAIN MAHI AAYA HAI MAINE MAHI PAYA HAI NAZAR LAYE NA KOYI NAZAR LAYE NA''.

He slowly moves his hands towards her shoulders while she looks him tensed. He takes out a long thread from her back and smiles showing it to her.she realises how stupid she was and just looks him with a smile biting her lip.

''DIL NE SHAGUN MANAYA HAIN ISHQ PARAUNA AAYA HAI NAZAR LAYE NA KOYI NAZAR LAYE NA JO TUMKO JAL JAYE VO JAAN LE YE JAG BEGANNA OOO NAZAR LAYE NA KOYI NAZAR LAYE NA''.

He pulls her closer and caresses her face. He softly brushes her forhead and then her eyes. He slowly places the long hairs falling on her face behind her ears.

"KAJAL TEEKA PEECHE KANON KE NAZRON KO ROKE RE DHUNIYA DETHI LAKHO HI DHOKE MEETI SI HOKE RE TAN KI MAIN MIRCHEIN VAARUN SAARI HI SHARAM UTTARU MAHI NA JAG KO HAARU KEHTA HAI DIL''.

she slowly goes near to him and softly kisses on his cheek.

''KEHTA HAI DIL MAINE HAARA MAIN TERE SAARA MAIN MEETA MEETA THU KHARA KHARA MAIN TERE SAARA MAIN SAARA MAIN''.

They share a eye lock for sometime and manik leans forward to kiss her but then suddenly he comes into his senses and moves back.

Nandini too gets into senses and again gets angry for not controlling herself and kissing him. she looks him slowly but manik simply goes and sits in a corner without saying anything. Nandini also goes and sits beside him without saying anything. she looks at manik and wait for sometime thinking that he might say anything but for her surprise he doesn't even look at her. Seeing this she boils with anger and finally decides to break the silence between them...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".