|
un k ek jan-nisar ham bhi hain hain jahan sau(100)-hazaar ham bhii hain tum bhi bechain ham bhi hain bechain tum bhi ho beqarar ham bhi hain aye falaq kah to kyaa irada hai aish k Khvaastagaar ham bhi hain shahar khaalii kiye dukhaan kaisii ek hii vaadaa-Khvaar ham bhii hain sharm samajhe tere Taghaful ko vaah! kyaa hoshiyaar ham bhi hain tum agar apanii Khuu (ADDAT) k ho maashuuq apane matalab ke yaar ham bhii hain jis ne chaahaa phan saa liyaa hamako dil-baron k shikaar ham bhii hain kaun saa dil hai jis main daag nahiin ishq kii yaadagaar ham bhii hain |