On the sets of KYPH
Director: Haan to Patel aaj ka pehla scene konsa shoot karna hai?
Assistant (Patel): Aaj ke pehle scene mein Iqbal ji Amit ji ko shaadi keliye haan bolten hain.
Director: Hmmmm…aur location kahan hai?
Patel: Wohi fireplace ke aage.
Director: Fireplace? Nahin nahin Patel yaar, kuch jacha nahin. Kuch alag karten hai, bilkul hatke.
Patel: Jaise? Aur kya ho sakta hai?
Director: Ghar ke undar to sab log phone pe baat kartein hain, lekin ghar ke upar bohut kum log hain jo baat kartein honge.
Patel: Mein kuch samjha nahi?
Director: Chath! Hum ye scene chath per shoot karenge! Log salon saal tak kahenge…Wah kya scene hai!
Patel: Wah wah…kya baath hai sir! Agar mere paas abhi phulon ka haar hota to main aapke gale mein daal deta. Hum Iqbal ji ko sazur chath pe hi baithaenge.
Just then the sound recordist comes running toward the director.
Director: Aao Sonu ji, kaam ho gaya?
Sound recordist (Sonu Malik): Ji sir, humne background music daal diya hai.
Director: Haan to kya gana decide kiya hai roo-roo scenes ke liye?
Sonu: Woh sir humne Phela Nasha…..
THAPAD
Director: Bewakoof!….Ghadhe!….Namakoon! Kis janam ka badla le rahe ho tum mere saath. Tum jaate ho mujhe kitne pehle se hi dhamkiya mil chuki hai tumahre 'Raja ko Rani se Pyar' gane ke wajese. Ek AngadKripa4eva naam ki ladki ne to mujhe itni dhamkiya diyen hain ki mujhe darr hai ki woh pathar lekar aati hi hogi……Patel jaldi sets ki security bharado.
Patel: Ji sir.
Sonu (holding his cheek): Sorry sir aage se aisi galti nahi hogi.
Director: Bewakoof, agli baar koi Kaanta Laaga shaaga gana use karna roo-roo's ke liye samjhe.