fifth part:
tabhi woh huaa jiss ne sujal keh hosh-o-hawaas urra diye!..uss keh samnay aisee situation
kabhi nahin aayi thee!,,ACP Sujal Khanna jiss mission keh liye uss gaa'on main posted thaa,
usee terrorist gang ne uss kee jeep per hamla ker diya!
Sujal ko apni fikr nahin thee,,fikr thee tau sirf Kashish kee kiyonkeh aaj se pehle uss ne kabhi
aisee situation ka samna nahin kiya thaa!
her taraf se goliyon kee barish,dhamakay,,,charon taraf se log jin keh haath main guns theen,,
in sab ne kashish ko darra tau diya thaa magar woh apna sarr zahir nahin ker rahi thee!
Sujal: kashish! tum foran se neechay ho jaao,kabhi bhee kuch bhee ho sakta hay!
Kashish: nahin Sujal! main tumhain akaila nahin chorr sakti!
Sujal(ghussay main): meri baat maano kashish! mujhe kuch nahin hogaa!
kashish: magar Sujal!
Sujal: main ne kaha naa kashish! mujhe kuch nahin hogaa!
Sujal ne jaldi se apni gun nikaali,,aur apni belt main pistol rakha!woh bullets check ker rehaa thaa keh achanak
aik goli ne uss keh jeep kee windscreen torr dee!
Sujal foran cheekha.KASHISHHHH!
uss ne kashish ko foran apni taraf khaincha!aur bazu'on main yoon chupa liya keh usse koi daikhay bhee nahin!
Sujal: kashish! mujhe inn ko rokna hogaa!,,,in kee dushmani mujh se hay!,,,,tum se tau nahin!
woh kashish ko instructions daita huaa neechay utarta hay!
gaari ko lock ker keh woh murrta hay aur firing shru ker daita hay!aakhir ko police kee training main kuch tau dum
thaa keh woh jahan jahan bhee fire kerta wahan per log girtay jatay!woh donon hathon se pistols chala rehaa thaa!
udhar Sujal terrorists se larr rehaa thaa aur idhar kashish mann main dua'yen mang rahi thee keh Sujal ko kuch na ho!
woh aik baar phir akaila nahin parrna chahti thee!,,woh Sujal ka saath nahin chorrna chahti thee!
kashish bhee gaari se utar ker bhaag ker Sujal keh paas chali jaati hay jo keh iss waqt aik darakht keh peechay thaa
aur firing ker rehaa thaa!
Sujal: tum,,,,,,,TUM yahan kiyon aayi ho!..jao yahan se!,,woh usse paray dhakailta hay!
Kashish: main aik baar phir tanha nahin hona chahti,,jahan tum wahan main!Sujal! main koi qasam nahin khaaati but
U R VERY IMPORTANT TO ME aur main tumhain khonay ka soch bhee nahin sakti..
Sujal is touched by her,,,he gives her a tigt hug by holding her from side,,,,he still has a gun in his other hand!,,,as
they r prtoected by the tree,the terrorists have no clue where to fire the hand grenades!,,,,they r throwing them here n dere
jab achanak aik hand grenade Kashish keh paas aaker phat'ta hay,,,she injures her leg!
Sujal: kashish! hatto yahan se....aag hay yahan per,,,
woh foran apni jacket utaar ker Kashish keh leg per rakh daita hay aur aag bujhanay lagta hay!
aag bujha ker he stand up and fires like blind!,woh ghussay main pagal ho chuka hota hay coz kashish behosh ho chuki hay!
uss keh samnay sirf kashish ka behosh chehra aur uss keh aakhri alfaaz hotay hain!
Kashish: Suj..Sujal,,,bohat,,,,,dard,,,,ho,,, rehaa,,,,,hay! she says this and faints!....
Sujal ka jawabi hamla daikh ker bacha kucha gang apnay saathiyon kee lashain waheen chorr ker bhaag jata hay!
Sujal Kashish ko apnay hathon main uthata hay!
~background score~
mujhe na chorr ker jana
itni iltija hay meri
tujhe chahoon umer bhar main
yehi tamanna hay meri
dard tu ne jo sahay
hooooooo oooo
apnay ansu jo giraye
aisa hogaa na kabhi bhee
thora sa piyar huaa hay
bohat hay baaqi
thora sa piyar huaa hay
sun mere saathi~
Sujal is running towards his jeep,,woh kashish ko lamha ba lamha apnay aap se door jata daikh ker darr jata hay!
woh kashish ko back seat per litta ker jeep start kerta hay and drives really fast towards a hospital near by..woh 2 hrs
tak intizaar nahin ker sakta thaa,,,,kashish ka behta khoon Sujal ko paraishaan kernay kay liye kaafi thaa....
sujal kee ankhain bhar aayeen kiyonkeh woh kashish ko kabhi takleef main nahin daikh sakta,,,,yeh uss keh dil main chupi
huee mohabbat thee jo usse aik khof main dal rahi thee keh agar kashish ko kuch ho gaya tau,,,,iss se aagay Sujal kuch
nahin soch sakta thaa!
END OF FLASHBACK!
Lifeline Hospital:
Sujal apni baho'n main behosh kashish ko utha ker lay aaya!,,
,uss ne receptionist se doctor ko bulanay ko kaha tab tak ward boy stretcher laa
chuka thaa!..Sujal ne kashish ko strecther per litaya!...doc aachukay thay!
Doc: aray in ka tau bohat sa khoon beh chuka hay,chehra bhee kitna peela ho chuka hay,,,inhan jaldi se OP main shift kero,,aur in keh saath jo bhee hain woh yahan aayen,kuch paper formalities poori kerni hain!,,,Lucy!,,doc receptionist kee taraf murra..."inn se hopital keh papers per signatures kerwa lo,,,aur suno police ko bhee inform ker do,main koi treatment nahin ker sakta jab tak police nahin aajati"
Sujal: police!,,,,police ko kiyon?
Doc: daikhiye! patient ko goli laggi hay tau yeh aik police case hay au jab tak
police patient ka bayaan nahin lay laiti,hum log kuch nahin ker saktay
Sujal: excuse me Dr.Sahab!...jab tak aap kee police aaye gee,meri kashish ko kuch bhee ho sakta hay aur yeh main bardasht nahin ker sakta!,,,aap ko police hee chahiye naa,yeh reha mera card,,,,,i am ACP Sujal KHanna!,,,aur koi saboot chahiye,ab aap jaaiye aur apna kaam kijiye!..after saying this in anger,Sujal left the reception area!,,,
At the Dargah:
Sujal sir per romaal bandh ker Dargah keh ander dakhil huaa,,,baba ji kee qabr per chaadar charhayi aur duaa keh liye haath uthaye!
Aye mere Rabb!tu hee jaan dainay wala hay aur lainay wala,main tujh se sirf aur sirf kashish kee sehatmand zindagi kee bheek mangta hoon!
At the church:
Sujal goes in,makes a cross, and sits by his knees...
my Lord!i have just come here to ask thy forgiveness and i ask for my kashish's well-being and long life!
At the mandir!
Sujal aarti kee thaali lay ker mandir kee seerhiyan charhta hay aur ghanti baja ker bhagwan se duaa mangta hay,,,main tujh se haath jorr ker kashish kee zindagi keh liye duaa mangta hoon,usse zindagi bakhsh day!,,,,,,
jab tak Sujal wapis hospital pohancha! aik khabar uss ke muntazir thee!
Sujal jaisay he hospital pohancha usse Lucy ne bataya keh doctor ne usse bulaya
hay,,woh foran doc keh kamray main gaya!
doc: Mr.Sujal,,,aap kee wife ka operation ho gaya hay!
Sujal: wife(hairaani se)
doc: ji haan! kashish ji aap kee Mrs hain na!
Sujal ko yaad aaya keh form bhartay waqt uss ne kashish keh saath apna rishta husband n wife ka bataya thaa!
Sujal: ji doc kahiye! kashish keh baray main kiya kehna hay aap ko?
Doc: hum ne un kee body se bullet tau nikaal dee hay magar khoon keh ziyadah beh janay kee wajah se aur sir per chot lagnay kee wajah se un per partial paralysis
ka attack huaa hay,,,gardan se neechay ka hissa kisi bhee cheez ko respond nahin
ker rehaa!na woh apna hath hila sakti hain aur na hee chal phir sakti hain!
Sujal: doctor sahab! yeh aap kiya keh rehay hain?kashish,,,,paralysis,,,,nahin doctor sahab! aap ko koi ghalatfehmi huee hay!,,,aisa nahin ho sakta,,,
Sujal ko yaqeen hee nahin ho rehaa thaa,,,woh kamray main idhar se udhar chakkar
kaat rehaa thaa!
SUjal: doctor! main kashish se mill sakta hoon!
Doc: unhain abhi ICU main rakha gaya hay,for observation..48 hrs baad aap unhain mill saktay hain!
Sujal hee jaanta thaa keh woh yeh do din kaisay guzaray gaa!woh ICU keh paas gaya aur sheeshay keh paar usse apni kashish pattiyon main nazar aayi,,,machines
uss keh aas paas laggi huee the jo keh uss kee saans keh aanay janay kee gawahi
day rahi theen!,,Sujal ne woh do din ICU keh baahir hee guzaray,,,do din tak
uss kee jaan kisi sooli per attki huee thee,,usse na khanay peenay ka hosh thaa
aur naa hee sonay jaagnay kaa..usse tau itna hosh nahin thaa keh woh fone ker keh
kashish keh ghar walon ko hee inform ker day!
After two days:
Doc: ab aap kee Mrs khatray se bahir hain magar un kee paralysis kee haalat waisee kee waisee hay!iss keh liye aap ko un ka bohat dhayan rakhna hogaa!
Sujal: ji doctor!,main poora khayal rakhoon gaa,kiya ab main kashish ko ghar lay
jaa sakta hoon?
Doc: ji haan kiyon nahin! main aik nurse bhee saath bhaij daita hoon!
Sujal: ji nahin doctor! nurse kee koi zaroorat nahin!,,
Doc: as u wish! aap plz reception per jaa ker bill clear ker dijiye!
Sujal: ji bohat behter!,,,
Sujal soch rehaa thaa keh ab usse kiya kerna chahiye!,,,woh kashish keh purse se
uss keh ghar walon ka number lay aaya magar fone kernay kee himmat nahin jutta
paa rehaa,,,aakhir kaar himmat ker keh uss ne fone kiya!
Sujal: Hello! Mr.Mehra?
Mehra: ji haan! bol rehaa hoon!
Sujal: main Sujal Khanna bol rehaa hoon,,kashish ne mere baray main aap ko
bataya hay naa?
Mehra: oh ACP sahab aap?kahiye kaisay yaad kiya aap ne?
Sujal: ji actually! mujhe aap keh ghar ka address chahiye thaa,,aap kee
aik amanat mere paas hay,wohi lotani hay!
Mehra: amanat?kaisee amanat?...acha khayr,,main address likhwa daita hoon!
Mr.Mehra SUjal ko address likhwatay hain..Sujal kashish ko discharge kerwa ker
gaari main bithata hay..uss kee drip ko darwazay keh handle keh saath lattkata hay aur kashish ke ghar kee taraf chal parrta hay!