In UK, this old scene was sooooooooo good, where old Sujal (Rajeev) was telling Akshat what Kashish meant to him. The dialogues and acting was sooooooo good -:
Sujal -: Kashish ko Kashish se bhi zayaada agar aur koi samajhta ta hai to woh hoon main.
Sujal -: Yeh Sujal ! (Points at himself)
Sujal -: Meri har baat main, har yaad mein, har sapnay mein, har khayaal mein Kashish hai.
Sujal -: Kashish agar ek naam hai, to mein uski pehchaan hoon.
Sujal -: Woh agar zindagi hai to mein uski saans hoon.
Sujal -: Woh chalti hai to main uski aahat hoon.
Sujal -: Woh hasti hai to mein uski muskarahat hoon.
Sujal -: Woh rauti hai to uski ansoowon ka ehsaas hoon main.
Sujal -: Bhagwan ki duniya, bhagwan ke bina chal sakti hai, par Sujal ki duniya, bina Kashish ke nahin.
Sujal -: Hum dono ek doosre ke saat rehne ke liye bane hain ya nahin, ye main nahin jaanta. Magar hum dono sirf ek doosre ke liye bane hain, yeh main jaanta hoon.
Sujal -: Kehte hain ke bhagwan har jaaga hai. Par Sujal ke liye Kashish har jaga hai.
Sujal -: Woh meri aankhon ke saamne ho na ho, meri aankhon mein hamesha rahegi.
Sujal -: Mere dil ko bhale hi chot pohanchaade par woh mere dil mein hamesha rahegi.
He said this in the episode before he was attacked, by Swayam's friends, and he was on his way to make up with Kashish.
đ
What did you guys think of this scene, if you can remember !!!!!