Armaan: Uffo Jassi! tum to jaanti ho..Main Purab ki tarha itna accha nahin hoon. main bhala uske baare mein kaise acchha sochoon jiski waje se mere company ko itna ghaata hua hai?
Jassi: Lagta hai aap ke company ke saath saath aapka dimaag bhi bank waalon ko collateral mein de diyahai aapne...kitni ghatiya soch hai aapka! Guddu Guddi sunenge to kya kahenge? K unke papa itne kharaab hai...aur nandu? wo to Purab ke liye kaam karta hai!!
Armaan: Main jaanta hoon jassi!😡 tum mujhe baar baar kyun yaad dilaati ho?
Jaasi: Ek baat hai jo mane aap ko bataaya nahin...
Armaan: (still sleepy) Kya?
Jassi: Wo jo bank haina, jisse humne loan liye the...wo darasal Purab ka hai....mujhe Nandu ne bataaya, ki Purab ne Punjab ke chhote businesses ko aage badhaane ke liye ye bank yaha pe khola hai.
Armaan falls out of the takia with a loud thud.
Armaan: Kya?!!! Tum mujhe ab bataa rahi ho? jaante nahin, iska matlab Purab jald hi samajh jaayega ki hum pehle ke saare loans default kiye hain!! He Babaji!! ab kya hoga 😭
From the other room Guddu and Guddi overhear their parents talking. They barge in and start screaming: Humare papa gande hain!! Wo hameshaa loan leke waapas nahin karte!!
Armaan gets up to grab them by their collars
Armaan: Shaitaan ke bacche!!!😡😡
Guddi: Humare papa Shaitaan hain!!!
Armaan pulls both their ears...they scream loudly...but amidst the scream is another, out-of-phase scream....Armaan turns around to fins Jassi screaming.
Jassi: Armaan sir!!!
Armaan rushes to her.
Armaan: Kya hua Jassi??
Jassi: Lagta hai ab wakt aa gaya hai!
Armaan: Kiska?? Loan lautaane ka?!! Oh no! ab main kya karoon!!
Jassi: Nahin Armaan sir, mere delivery ka....
Armaan: KYA????? abhie???? Guddu Guddi, jaldi se mummy ka purse leke aao...aur apne naanaa naani ko bulao!
Guddu Guddi: Kya hua papa? mummy chilla kyun rahi hai?
Armaan: Abbe apne baap ki aulaad, jaldi kar!!! 😡😡😡
They rush Jassi to the hospital where the doctors tend to her. Armaan calls Raj from a PCO.
Raj: Hallooo? Monica? Main aa rahaa hoon!
Armaan: Raj, main bol raha hoo...
Raj: Monica, baby, tumhari aawaaz ko kya ho gaya hai?
Armaan: RAJ!! Main Armaan bol raha hoon!
Raj: Armaan??!! tu kaisa hai?
Armaan: Dekh Raj, mere paas wakt nahin hai. Jassi ki delivery ho rahi hai...tu jaldi se yaha aa jaa!
Raj: Jaldi se yahaa aa jaa!! Main kya tere teeno bacho ka goveness banunga kya!! Main kya Mumbai se Punjab kood ke aa jaaon!
Armaan: Dekh raj main kuch nahin jaanta. Tu bas jaldi se yahaa aajaa.
Raj: Thik hai thik hai. Main aa rahaa hoon...
Raj goes to Gulmohur to tell everone that he's leaving for Punjab.
Maddy: Oh wow...kam se kam yaha to thoda sukoon milega hum sab ko. Tumhare disgusting affairs se sab pareshaan ho rahe the!!
Raj: Shut up Maddy. Jassi ki delivery ho rahi hai. Mujhe jaana hai.
Maddy's eyes light up.
Maddy: Oh wow! (clapping hands) Jassi abhi deliver kar rahi hai? tab to mujhe bhi waha jaan ahi!! mujhe waha teeno babies ke measurements lene hai, taaki main unke liye kapre banaa sakoo.. u know ye mera shoukh raha hai..
Raj: tera shoukh Armaan ke liye shock se kam nahin hai. Wo to yehi soch soch ke beemar hai ki in teeno ka dekhbhal wo kaise karega.
Maddy: Oh really!!! to Armaan se kaho main do bacche adopt karne ke liye tayyar honn!
Raj: Un baccho kokya tu apne jaisa banaayega??!!😡Abbe chup kar! bacche paida hone se pehle hi unhe daraa raha hai...
Raj leaves.
Maddy: Tum kya samjhoge stupid man...tension Armaan kar raha hai...khushi mujhe ho rahi hai...after all, baap to main hi hoon!