Manaka manaka jod ke jaise banata ek haar,
Parivaar hi deta hume ek sudhrrid aadhaar.
Ikaakii ban Mata-Pita rakhtein humara dhyaan,
Samay samay par vahi sikhate...Kaise rakhna hai atmasammaan.
Vaise to Mata-Pita dono hi hain pradhaan, phir bhi 'Ma' hi janma deti hai ek santaan.
Prakriti ki bhenta hai ya ishvar ka vardaan,
Har vipatti har leti hai, hai har prashn ka samadhaan!
Bandhan ho ye janma ka, ya ho dattak swaroop,
Janani hi deti hume humara vishishta roop.
Uttardayitva badh jaata hai, ghar aaye yadi kanya...
Jeevan paryant rehti hai chinta, na aaye uske jeevan mein koi samasya.
Aise hi ek avsar par...
Ek Ma ke hriday mein hai kautuhal! Kya uski beti ka jeevan bhi hai safal?
Prem bhav se kar rahin Ma daamad ke swabhaav ka varnan...
Parantu adrishya aashanka se grasit hai unka man...
Putri se karti nivedan karein woh shanka ka shaman.
Asmanjas se bhara man patni ka dekh ke dwi-roop,
Kyun hai ek pal itna soumya duje pal itna kuroop?
Apne hi vivah ka gyaat nahi rahasya...
Paristhitiyaan kya thi? Kyun sab kuch hai itna asahya!!
Vichlit kartein hain Maa tumhare yeh prashn...
Par nahi bol sakti tumhe satt prativachan.
Satya hai kiya ujagar phir bhi Ma se chupa,
Baaton mein mishri ghol apna dard hai liya dabaa.
Prashansa ke pul baandhti rahi hai muskuraa...
Atoot hain hum sathi na rakho koi bhi duvidha.
Mathaa choom ke diya apna sneha, aise hi banaye rakhna ek-duje me neh.
Tum agar ho sukhi to poorna hua mera daayitva.
Kitne aur divas chupayegi apna adhoora sambandh??
Kitne aur divas karna hoga yeh natan??
Aise hi sunaye ja rahi hai prem vachan... Man par ashruon ke chaye badal saghan.
Mook drashta ek aur bhi hai, jisne suni yeh vartalaap...
Nidra hai chin gayi man mein hai santaap...
[Manaka = Bead, Haar = Necklace, Sudhrrid = Strong, Aadhaar = Base, Ikaakii = member/unit, Atmasammaan = Self Respect,
Pradhaan = Important, Janma = Birth, Santaan = Offspring, Prakriti = Nature, Bhenta = Gift, Ishvar = God, Vardaan = Boon, Vipatti = Problem, Prashn = Question, Samadhaan = Solution,
Dattak = Adopted, Janani = Mother, Vishishta roop = Personality, Jeevan paryant = Till the end of life, Samasya = Problem
Avsar = occasion, Kautuhal = Curiosity, Varnan = Describe, Adrishya = Invisible, Aashanka = Doubt, Grasit = Bound, Putri = Daughter, Nivedan = Request, Shanka = Doubt, Shaman = End
Asmanjas = Quandary, Dwi-roop = Dual personality, Soumya = Soft, Kuroop = Ugly,
Gyaat = Aware, Rahasya = Secret, Paristhitiyaan = Circumstance, Asahya = Unbearable
Vichlit = Disturbed, Prashn = Questions, Satt = Truth, Prativachan = Answer, Ujagar = Exposed, Prashansa = Praise, Atoot = Unbreakable, Duvidha = Confusion
Sneha = Love, Neh = Love, Daayitva = Responsibility, Divas = Days, Adhoora = Incomplete, Sambandh = Relation, Natan = Acting, Vachan = Sentences, Ashru = Tears, Badal = Clouds, Saghan = Dense, Mook = Silent, Dhrashta = Viewer, Vaartalaap = Conversation, Nidra = Sleep, Santaap = Grief/Pain ]
Tanthya, Doodle, Pam, Anna & JRia replied on last Redux thread
Edited by shreya_l - 13 years ago
DO NOT COPY THIS POST AS THIS IS EXCLUSIVE TO INDIA FORUMS