Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 29th Sept 2025.
PAAV PHISLAA 29.9
Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
India Won Asia Cup 2025- Trophy Missing! Glory Without the Trophy?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
101 ways to patau your pati
Trump's 100% tariff on Bollywood films
Bhagwan Ke Charnon Mein Swarg
Aishwarya Rai at the Paris fashion week
✦ Font-astic Voyage Contest Voting Round 1 | Invites ONLY ✦
What's next? (Multiple votes allowed)
The Pilot Pirates | Book Talk Reading Challenge 2025
Which faces u r fed up of watching
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
👻 The Manuscript Marauders 👻 BookTalk Reading Challenge October 2025
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
Originally posted by: saxena_hgt
Pranam chitraji.. kamal hai aap, matlab sahi main aapke meethe ka matlab hai chalo bhai iss adhyaay main 40 ki jagah10 aasoon bahenge aur 2 ki jagah 4 mauke milenge muskurane😉.. chun chun kar aap woh geet layi jo meri dukhyari gaano ki suchi main sabse uppar hai.. ab chaliye aap aur baki kafi log advay ke dard ke baare main sochte hai aur chandani ko toh bilkul hi kya khete hai angrezi main write off kar chuke toh uss shaitan chandani ki aor se iss sangeet main meri taraf se ganna hoga Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh hai gaya... Ab bhai advay ki ardhangi hai toh dukhyari geet hi gayegi na..
Hello Prachiji how are you, Aap ko bhi Pranam.TBH The songs were all from teh men's perspectives, so hence why i didnt include a song for Chadnini. because Sid tells Advay to sing a song to her given he is a brill singer and to woo her and to make up to her given all teh hurtful he has said to her. So hence why i didnt give Chandini a song, But I do love ur choice of song 👏, tho i think if we were to choose a song from teh latest lot, then Raabta would suit her perfectly.All i can say is I havent written Chadnini off, there is no way I can write her off, because i am writing her character. I have intended for her to be like the way she is, because to me thats how she reveals herself, the oldest daughter of a high caste Mahant, she is poised yet poignant. Like i have said before her strenght is in her vulnerability.Like Medha said in a previous post, Chadnini is like water. I totally agree like water she is flexible, resilient adaptable, nurturing , nourishing, yet like the Great Ganga that flows behind her haveli, she is forever steadfast, pure and purifying.YEs all lot of my readers want her to behave in a certain way, but I have said this before that gender equality in modern world means a woman acting like a man. But forgiveness and love is the quintessential nature of a woman, hence why despite the atrocities that are done against a woman despite it she forgives everyone. Yes Advay is strong, he is violent he is a destroyer, but Chandini bears, she can tolerate pain, she can carry pain in her heart and on her body like any woman can. Like they say the pain childbirth is ten times more than what a human body can tolerate, yet woman all over teh world since time immemorial have borne this pain. So Chandini too is like that sayyam and sehen shakti, that is her nature.and hence why there is an invisible hand that protects her. I know i want her to stand up to herself, because she should find her inner strenght, but that doesnt mean I want her to fight or bad mouth or argue or act arrogantly like Advay. No I want her to find her inner strenght and to be able to realise that she is not helpless that she has a choice in life and also that its okay to put her own needs before the needs of others . that is the kind of strenght and transformation that i want to see in my Chandini. And already she has made that first step now, but liek i said before, only when a person is put under immense pressure, only when u are thrown in teh deep u start swimming, tho Advay is that person who tests her to her limit almost breaks her, but does she break or does she emerge victorious that remains to be seen.Waise hamari charcha main aage badhte hue main ye sweekar karti hoon ki aapka. Cheezo ko dekhne ka nazriya aapke mahoul ke anusaar hota hai.. mere maa 5 behne hai aur 1 hafte bhi ek dusre se baat kiya bina nahi reh sakti.. mere papa 9 bhai behen hai aur 1 dusre ke liye hamesha maujood rehte hai.. khushi ho ya gham sab sabka hota hai, akele ka kuch nahi.. aisa nahi hai ki ladte nahi hai kintu ghar ke bhahar hamesha 1 dusre ke saath hote hai.. bahar chodiye apni beti ki sasural mein bhi 1 pita nahi hota usske saath sare chacha tau hote hai.. toh aise bhai behen ke rishte dekhne ke baad shika aur meghna is mera itefaaq rakhna thoda mushkil hai kintu zindagi kab kaunsa mod lele hume nahi pata.. toh shayad kabhi aage jakar jab woh samjhe toh shayad apni behen ko behtar samajh paye.. aur na bhi samjhe toh unke apne karan honge.. jiska samman anivarya hai..I am going to have to come back and reply to the rest😳Meri samajh se jitna bada doshi atyachar karne wala hota hai, usse sehne wala hota hai utna hi bada doshi atyachar ko samajh kar aur dekh kar bhi mook darshak banke rehne wala bhi hota hai.. bahut badi baat nahi kahungi chitraji lekin sadak par kisi ladki ke saath badtameezi ho rahi ho aur hum sach jankar mankar samajh kar bhi agar chup rahe toh kya hume accha aur sahi kehlane ka haq hai? indrani chandani ko PP ko bech rahi hai, PP kaisa hai ye saboot ke saath dekhar bhi kajal, shikha aur megha chup rahe.. sab tamasha dekhte rahe.. iss baar chandani ne innhe kisi sach se nahi bachaya balki sab jante hue bhi inhone indrani ke khilaf jane ki himmat nahi ki balki advay ke bharose ho gaye.. kamaal hai na khud apni behen beti ke liye kuch mat karo magar 1 adami jise aap chand dino se jante ho usse sari umeed lagao.. phir bhi hum keh rahe ki nahi shikha chandani se acchi hai kyunki woh apni maa ka sach sweekar karti hai.. par sweekar karke kiya kya usne.. agar advay na aata toh acchi shikha aur megha ke saamne chandani PP ko bech di jati.. kya isse acchai kehte hai.. phir iss se behtar toh maa ki andhi kathputli chandani behtar hai.. agar advay na bhi hota tab bhi woh khud bik jati lekin apni behno par aanch nahi aane deti.. kehne ka tatparya hai ki iss vashishth parivaar main koi kisi se bheter nahi hai... Sab apne halato ke karan kamzor ho chuke hai.. apne andar ka vivek aur shakti sirf chandani ko nahi balki niru, yash, kajal, shikha aur megha sabko jagana hai..Mujhe nahi pata ki ye aapki kahani ka sahi roopantaran hai ya nahi kintu meri samajh se aapki kahani ka koi bhi kirdar pura safed ya kaala nahi hai.. sabhi kisi na kisi pinjre main bandh hai.. sabne galtiya ki hai.. koi kisi se bheter nahi hai.. waqt waqt par koi sahi hota hai koi galat.. aur ye safar hi hai ek dusre ke saare dosh aur galtiya janne ke bawjood unhe shama karna aur unse nishchal aur beshart prem karne ka.. aur ye karya advay aur chandani dono ko karna hai.. sirf advay ne yatanaen nahi sahi, chandani ne bhi behisaab dard jhela hai.. dimaag kharab sirf apne maa baap ki maut dekhar nahi hota, lambe samay tak agar koi aapka soshan karke aur aapke ke saath koi na ho toh bhi dimaag kharab hota hai.. teek usi tarah se jaise wajah jo bhi ho jhoot ka parinam bhayavah hi hota hai chhahe woh jhoot 8 saal ke umar mein bola ho ya 80 main.. jo chandani ne kiya hai aur samajh kar kiya hai.. ye baat alag hai ki jab tak kyun aur kaise jawab nahi milta main aage kuch nahi kahungi..aur jaisa maine phele bhi kaha atyachar sehne wala bhi utna hi doshi hai toh chandani bhi doodh ki dhuli toh nahi hai..Aap nischint rahiye chitraji aapne vivah ki sabhi rasme sahi dikhayi hai.. jo reh gaya keh sakte woh ye ki UP main ladke ke maang bharne se phele ladki ki kuwari behen uski maang bharti hai.. kyunki kuwari ladki ko devi mayiyaa ka roop mana jata hai.. aapka anek anek dhanyawad itna sundar vivran dene ke liye... Badle ki aag hone ke bawjood bhi kaise vivah ki vidhi ka samman kiya jaye ye aapne dikha diya👏👏Ab dil tham kar ham asli kahani ka intezaar karenge.. kyunki ye toh sirf khamoshi matr hai advay namak toofan ke aane ki phele ki.. agle adhyaay ki pratiksha main,pranam