O jaana...
Khoya Khoya rehta hai
Dil Tadap ke kehta hai
Tu hai mere jeene ki wajah...
O jaana...
Ishq hai aansu, ishq hai naghma,
Ishq junoon hai, raahat hai...
Ishq hai dariya, ishq hai sehra,
Ishq sukoon hai, zahmat hai.
Tanha adhoora sa,
Khaamosh lamha sa,
Thahra hua hai dil yahan...
Mehsoos kar le tu,
Jazbaat ki khushbu,
Khud se karun kya mai bayaan...
Dard hai jo halka sa,
Khaab khaab chhalka sa,
Tu muskuraye har jagah...
O jaana...
Kis pe karun zaahir,
hai dard kya aakhir,
Kyon hai sukoon mujh se khafaa...
Betaab lamhon me,
Benaam ashkon me,
Yeh aks kis ka ban gaya...
Ghum ko aazmaane de,
Dil ko chot khaane de,
Kya hai chale Kuchh to pata...
O jaana...
Khoya Khoya rehta hai
Dil Tadap ke kehta hai
Tu hai mere jeene ki wajah...
O jaana...
P.s
Pic Credit-Original uploaders.
Just cant get over them.