- Mythological Songs/Dialogues Gallery - - Page 16

Created

Last reply

Replies

206

Views

156.7k

Users

26

Likes

669

Frequent Posters

Vishakha_Sakhi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
Another one of my favs:

Dekh Nagar Bhup Sut - Shri Ram and Lakshman roam around Mithila viewing the city and the citizens get a chance to have their darshan!

[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=_hf7nJINnTg&feature=plcp[/YOUTUBE]



Enjoy! 😃
Edited by Vedo - 12 years ago
eyeofnewt thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: JanakiRaghunath


-Old Mythological Shows-
the imageRamanand Sagar's Ramayan & Luv Kushthe image
SitaRam Charit Ati Paavan (Title Song) - Pg. 8
Vishnu Stuti by Lord Brahma - Pg. 5
Ram Navami Celebration Song - Pg. 5
Aaja Aaja Ri Nindiya (Rajmatas' Lullaby) - Pg. 8
Nindiya Rani, Aa Ri, Aaja Nindiya (Sita Ma's Lullaby) - Pg. 8
Lalit Kare Nav Bhor Vandana - Pg. 8
Damarupaani, Shoolpaani...He Nataraajan Namo Namo! - Pg. 8
Ahalya Stuti - Pg. 8
Dekhan Nagar Bhoopsut Aaye - Pg. 8
Ram-Sita First Glance @ Pushp Vatika - Pg. 8
Prachi Disi Shashi Uyau Suhaava - Pg. 8
the imageBR Chopra's Mahabharatthe image
the imageRamanand Sagar's Shri Krishnathe image
Shri Krishna Govind Hare Murare (Title Song) - Pg. 8
Dash Avatar Songs (Shuk Dev to Parikshit Maharaj) - Pg. 2, 4
Vaman Bhagwan's speech to Raja Bali - Pg. 4
Prahlad-Hiranyakashipa Conversation - Pg. 5
Muni Katha Sunaate, Ram Sakal Sukh Dhaam Ki! - Pg. 8
Radha So Shyam, Shyam Soi Radha - Pg. 7
Soja Lalla Soja (Devaki Ma's Lullaby) - Pg. 8
Nand-Krishna Final Farewell Dialogue - Pg. 4
Mann Hai Vyaakul, Nain Sajal Hai - Pg. 4




I just borrowed Ramanad Sagar's Ramayan DVD set from a neighboring library to rip some audio. However, this list looks a little light to me. Is there a complete song list in another thread, with info about which episode/volume it appears in?
Edited by eyeofnewt - 12 years ago
MagadhSundari thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
It's not - we actually have a far more complete list in the Chat Club Threads we used to occupy before we had the forum; if you go to the "archive mansion" thread and choose the "Ramanand Sagar Fan Club" thread with the highest number - 6, I think it was - you'll get the longest list. The "import from MS word" button used to malfunction back then, though, so there might be some weird punctuation. We will eventually have all the lyrics here in their entirety, soon as I adjust to my new schedule I'll PM my buddies and get it going. The disc number thing is a good idea actually, we can do that. But until then, if you want to know which disc a particular track will be found in, you can ask me or Shivang, Gunu (arun-deeps) or maybe even Sema (Urmila11) - we pretty much know it offhand.
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
The Mahabharat (MBH) Yuddha song which plays just before the start of the Kurukshetra war (B.R. Chopra MBH serial)

Aaj andheri raat hai
Bharat tere bhaag
kuruwanshi katne chale
lagi dhara pe aag

desh desh ke saara raja
senapati ya rajkumar
kurukshetra ki aur badh rahe
lekar sena bandh kataar

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai

raj raj ke rajmarg sab
jaate sab samarangan ki aur
disha disha mein gagan bhedate
unche yuddhapaat ghanghor
rath, ghode, haathi, paidal sab
badhe aa rahe karte ghosh
rathi, saarthi, maharathi, adhirathi naa rukta jinka josh
dhar - dhar, bhu - bhu, tharar - tharar tarah tarah ke badhte yaan
sar - sar, san - san, sanansanan dhul gagan ka chume dhikan

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai

Dhrishtadymn ke sang Shikhandi
sang Dhrupad ke veer apaar
ye Viraat vaha Uttar ata
le veero ka vara paar
ye Satyaki hai kushal dhanurdhar
chandrayaan koti hai sainik
mahaveer shastragni chalakar
maare shatru, hare dukh daini
Magadh desh ki mahasena sang
Jarasandha ka sut Sahadev
Chedi desh ka _____ (sorry couldnt get the name here!)
rakhe dhwaja ko uccha sadaiv

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai

astra - shastra le badhe Yudhishtir
param gadadhar aate Bhim
Nakul aur Sahadev aa rahe
le sahas ki agni aseem
Panchali ke paancho bete
sah Abhimanyu Subhadra laal
alp aayu ke maharathi hai
jinse bhay jata hai kaal
Paarth saarthi Krishna aa rahe
shwet ashwa rath par asuvaar
sang Gandiv liye hai Arjun
jiski dur dur tak maar

ye dharmayuddha hai, ye mahayuddha hai

ye saare hi Pandav pakshi
mahashastra dhar paramkraal
kintu kam nahi hai Kaurav bhi
unka bhi suniye ehwaal

shwet mukut hai, shwet kavach hai
shwet ashwa hai, rath bhi shwet
shwet vesh le, shwet kesh le
badhe Pitamah ran ke pe

peeche rath main hai Duryodhan
uncha karke chalta bhaal
guru Dron hai, Kripacharya hai
peeche jinke sainya vishaal

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai

Angaraaj ke mahadhanurdhar
maharathi badh ata Karn
Narayani le Kritvarma, badhe Ulupi, Yuyutsu, Vikarna
mahaveer hai Ashwatthama, jinka saha na jaaye prahar
mama Shakuni unke peeche chale liye nangi talwaar
rath yuddho ke samar adhipati Dushshasan yoddha vikraal
sindhu raaj Jaydrath ka bhi rath ata jaise ke bhoochaal

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai

jo jo chahe yuddha rokna
karte rahe sandhi prastaav
kintu vifal ho gaye sabhi ke
jitne aaye shanti sujhaav
marne aur maarne ki hi
sabne li hai mann mein thaan
sabki aankhon mein hai toofan
shankh, nagade, ranbheri ki
disha disha main hai gunjaar
dhara kaapti, gagan gunjta
tare andhera ude dhuwa

ye mahayuddha hai, ye dharmayuddha hai


lapat uthe shastragni ki
jhulas uthe sansaar
mahakaal haikholta mahasamar ke dwaar!!!

will update more songs from MBH soon!😳
Edited by iolahardy - 12 years ago
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
BR Chopra's Mahabharat

Rukmini writes to Shri Krishna asking him to come & take her away from her father's house

Binati suniye naath hamari
hridayeshwar hari hriday bihari
mor mukut pitambar dhaari

Janam janam lagi lagan hai
sakshi taaron bhara gagan hai
gin gin shwaas aas kehti hai
ayenge Shri Krishna Murari

Binati suniye naath hamari

Satat pratiksha apalak lochan
he bhav badha vipati vimochan
swaagat ka adhikaar dijiye
sharanagat hai, nayan poojari

Binatu suniye naath hamari

Aur kahu kya antaryaami
tan man dhan praano ke swaami
karuna kar aakar ye kahiye
swikari binati swikari

Binati suniye naath hamari
hridayeshwar hari hriday bihari
mor mukut pitambar dhaari

Binati suniye naath hamari
Edited by iolahardy - 12 years ago
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
BR Chopras Mahabharat

The day of Rukmini's swayamvaar has arrived. She has come to Gauri Mata's temple in order to pray for a happy married life...and also to pray that Shri Krishna, whom she loves comes to her rescue

Jai jai jananai Shri Ganesh ki
Pratibha parmeshwar Paresh ki
Jai jai jananai Shri Ganesh ki

Jai Mahesh mukh chandra chandrika
jai jai jai jai jagat Ambika
var de maa vardaan dayani
bani dayika Dwarikesh ki

savinay binati sun hari aaye
aaye, apnaaye, le jaaye
shubhad sukhad bela aaye maa
sarva sumangal grih pravesh ki

The Goddess Gauri blesses her with:

Sun dhyaan de, vardaan le
oh swarnavarna Rukmini
honge wahi tere dhani
jug jug jagat jinka rini
wah aayenge le jayenge aadar sahit apni puri
var Vishwamohan veer kanya
veerjaya sundari
veerjaya sundari


Edited by iolahardy - 12 years ago
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
BR Chopra's MBH.

Pandavas build Indraprastha

Kripa Krisha ki, haldhar ka hal
karma bhoomi par, nutan hulchal
kripa Krishna ki

haldhar ka hal chala bhoomi par
baldhar ka bal chala bhoomi par
haldhar ka hal chala bhoomi par
chale paarth ke baan prakhartar
jhare bhoomi par baadal jhar - jhar
banjar ban tha, chala hara thal
daud raha mann paidal paidal
kripa Krishna ki

maruthal par yu toot pade ghan
bana marusthal anupam upavan
jagah jagah udyaan manohar
udyaano mein swaccha sarovar
sarovaro mein hara vimal jal
sapno se bhar gaya dhara tal
kripa Krishna ki

veerane mein basa nagar hai
sapno jaise mahal sughar hai
mile naye jeevan ko nava swar
amravati basi bhoo tal par
phala parishram, safal hua bal
harit hua Hari ka bhoo mandal
kripa Krishna ki

Kripa Krisha ki, haldhar ka hal
karma bhoomi par, nutan hulchal
kripa Krishna ki

Edited by iolahardy - 12 years ago
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago

BR Chopra's MBH

Beet gaye-Part 1

Beet gaye, din par din beet gaye
Beet gaye, din par din beet gaye

madhur madhur surbhi bhari
tiri saras swapna tari
iss tat se uss tat tak
panghat se panghat tak
madhu ke ghat bhare bhare
madhu ke ghat beet gaye

neeti preeti sangharshan
gaya nahi aakarshan
taras paras aasha mein
nayano ki bhasha mein
tan man hum haar gaye
tan man par jeet gaye

din par din beet gaye!

Beet gaye, din par din beet gaye
Beet gaye, din par din beet gaye

Beet gaye-Part 2

Beet gaye, din par din beet gaye
Beet gaye, din par din beet gaye

dekar kar anmol mol
lekar anmol mol
paaya sukh atulniya
dukh paaya atulaniya
atma ke meet mile
aatma ke meet gaye

din par din beet gaye
Beet gaye, din par din beet gaye
Beet gaye, din par din beet gaye

Edited by iolahardy - 12 years ago
The.Lannister thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
Ramanand Sagar's Ramayan

The song before the final battle capturing every affected persons anxities

Yehi raat antim yehi raat bhaari

yehi raat antim yehi raat bhaari
bas ek raat ki ab kahani hai saari
yehi raat antim yehi raat bhaari

(Raavan)
nahi bandhu bandhav na koi sahayak
akela hai Lanka mein Lanka ka nayak
sabhi ratna bahumulya ran mein gawaye
lage ghaav aise ki bhar bhi na paaye
Dashanan isi soch mein jaagata hai
ki jo ho raha uska parinaam kya hai?
ye baazi abhitak na jeeti na haari
Yehi raat antim yehi raat bhaari

(Ram)
Yehi raat antim yehi raat bhaari
ho bhahwaan maanav to samzega itna
ke maanav ke jeevan mein sangharsh kitna
vijay antateh dharmaveero ki hogi
par itna sehez bhi nahi hai ye moti
bahot ho chuki yuddha mein vyartha haani
pohoch jaaye parinaam tak ab kahani
vachan purna ho devata gan sukhare
Yehi raat antim yehi raat bhaari

(Mandodari)
Yehi raat antim yehi raat bhaari
samar mein sada ek hi paksha jeeta
jayi hogi mandodari ya ki sita
kisi mant se uski laali mitegi
koi ek hi kal suhaagan rahegi
bhala dharm se paap kab tak ladega?
ya zukna padega ya mitna padega
vicharo mein mandodari hai bechari
Yehi raat antim yehi raat bhaari

(Sita)
Yehi raat antim yehi raat bhaari
ye ek raat maano yugo se badi hai
ye sita ke dheeraj ki antim kadi hai
pratiksha ka vish aur kitna peeyegi?
bina praan ke deh kaise jeeyegi?
kahe ram ram ab to ram aa bhi jao
dikhao daras ab na itna rulao
ke ro ro ke marr jaaye sita tumhari
Yehi raat antim yehi raat bhaari


yehi raat antim yehi raat bhaari
bas ek raat ki ab kahani hai saari
yehi raat antim yehi raat bhaari

sambhavami thumbnail
Posted: 12 years ago
Oh Thanks For Sharing Those Lovely Songs !!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".