Part - 2
Before I proceed further , I am writing this in bilingual mode Hindi and English...
Zakis heart skipped with pain of rejection while Sahirs chin was up with pride that Arzoo can never accept anyone.
Arzoo turns to Sahir asking him as to what does he think of himself. He will impress, confess and turns down saying it's all a drama??? He reveals the reality that he is already married? Asks her to stay off from his sight for what she gave him???
Sahirs face went pale with shock the way Arzoo is shooting questions at him...
He gulped with shock looking at this Arzoo who is questioning him to equate his actions to his words...
Arzoo: Kyun sir... jawab nahi hai aapke paaas... Appne aisa kyun kiya...aap pehle daant te ho nafrat dikhate ho... phir humare ache bure waqt pe humare saath dete ho, Agar aapko mujhse itni hi nafrat thi toh tab kyun mujhe aapke karee bane diya sir... bataien mujhe... Aur jab aap ke zakhmon pe malham lagaa rahi thi ..tab chup kyun the...jab sab log mere kirdaar pe ungliya uta rahe the tab kyun bachaya hai... tab aapko nahi laga ki mein paison ki bhooki hu? Aaj pata chala aapko?
Sahir: Mujhe koyi safaayi nahi deni hia kisi ko bhi nahi... ur tujhse to bilkul bhi nahi...kyunki tum layak bhi nahi ho ki mein tujhe jake safaayi du .. aur mein kaha tha tujhe ki mere saaamne mat aya karo ...
Arzoo: Basss ek lafz aur nahi sahir sir...mein aungi jitney baar aap mujhe dhakka denge zalil karenge utne hi baar mein phir aungi...
Isliye nahi ki aap sab sochte hai ki hum makkar hai ya phir paison ki bhooki hai...par isliye ki mein aapke barein mein jaane ki haq rakti hu... mera haq banta hai ki mein aapke barein mein jaanu kyunki aapne mere dil ke saath khela hai...aur mein jaan na chaahti hu... aapke dil itni pathar si kyun hia... Kyunki jab bhi aapko dekhti hut oh mujhe nahi lagta ki bure ho... Agar aap itna hi bure ho ...toh aap mujhe bachane nahi aate aur meine us pal dekhi hai aapke ankho mein who darr... who fikr...
Sahir Alvira keeps on looking at Arzoo the way she is reasoning and standing for her right...
Tik hai aapne kehdiya ki aap shaadi shuda hai ...toh hai ...apne kaha ki aap mujhse nafrat karte hai toh hai... Lekin aaap hote kaun ho mujhe apne dil se rokne wale? Mein ne mohobbat ki hai aapse ...koi jurm nahi ki hai...aur ha jab mujhe aapse pyaar hua tab mujhe eh baat pata nahi tha ki aap shaadi shuda hai... Lekin ab jab aap keh rahe hai ki aapke shadi ho chuki hai toh bataiyen na aapke biwi kidhar hai who kaha hai aur aap ke saath kyun nahi hai...
Jab aappne mujhse nikah karne ki baat kiye the tab mein ha nahi kahi par jab mere dil ko laga ki mein nikah keliye tayaar hu tab aake aapko apni dil ki baat ki hai...lekin aapne kya kiya mere iss dil ko tod diya...lekin mein haar nahi maanungi...
Jab bhi aap mere saath the mere kareeb the mein mehsoos ki hai ki aapke dil mein mere liye jasba hai... zubaan se nikli har laft sach ho zaroori nahi hai sir... sports stars pe film stars pe sari ladkiya marte hia iska matlab eh todi toh hai ki un stars ke biwi nahi hai...tik usi terah... Aap shadi shuda ho ya na ho ...mein aapme ek inspiring professional ko dekhi hai ...mein aap ko idealize karti hu ...mein aapse pyar karungi sir ...jab tak aap mujhe aapke ateet ke barein mein nahi bataeinge mein aapse hi pyaar karungi... Aap mujhse pyar karte ya na karte ho who aapke problem hai meri nahi ...
Allah knows sir, mein apne dil se mohobbat ki hai dimaag se nahi ... Aur ha mujhe nafrat hai khud se ki mein ek shadi shuda insaan se pyaar karne lagi...
Jis terah hum us farah ko nafrat karte hai kyunki unhone humare aami ki zindagi debah kardi ... Usi terah mein agar apse nikah karungi toh dusri biwi banungi jo harkis manazoor nahi hai mujhe...
Lekin mujhe apne zindagi kie safar teh karne keliye mujhe aapse kahi sawalon ka jawaab chaiye ...aur mein tab tak nahi jaaungi jab tak mujhe sawalon ka jawaab mil na jati
Sahir : Toh tumhe sirf nafrat aur khammoshi ke alawwa yaha kuch nahi milega... aur mein aaj bhi kehta hu ki mujhe nafrat hai tujhse ...
Arzoo: keejiye nafrat mujhse ...mein bhi dekhu aap kis hadh taq nafrat karsakte hai mujhe ... aur mein eh bhi dekhna chahti hu...ki aapke iss nafrat mein aur khamooshi mein dum zyada hai yar mere mohobbat mein dum zyada hai... kijiye nafrat...kijiye zalil mujhe ...
Sahir : Dekho bewakoofon wali harqat mat karo...aur mein jo kuch bhi kiya hai tere saaath wo sirf isliye ki mujhe tumhari niyat zaki ko dikhana tha aur mein kar dikhaya
Arzoo : Aur mein eh nahi maanti ... Mujhe sach jaan na hai aur mein jaan kar hi rahungi... Fikr mat keejiye sir ..mein yaha aapke ghar mein nahi rehne waali hu... out house mein bhi nahi rahungi...
Mein agle hafte taq aapke yaha se chali jaaungi... allah knows hum kabhi bhi kisi ke ghar mein muft ki ek bhi niwala nahi li hai... Alvira aunty hume ijaazat dijiye ...aapke kehne se hum yaha ruke the ...
Zaki: Jahara hum aapse humesha ek dosti hi rahe the lekin kab mujhe appse pyar hogaya hume pata hi nahi chala ...aur mein aaj bhi apne pyaar kaa izhaar kar bhi raha hu toh sirf aapke zindagi mein humesha ek humsafar banke dekhbaal karna chahta hu...bas iske alawa aur kuch nahi aap mujhe galat samajh rahe hai...
Aapke dil todne ka ya bharose ko todneka irada nahi tha mujhe maaf kardijiye ga
Arzoo: Zaki ...aap ko mein sirf ek dost maanti thi manti hu aur maanungi bhi ...aur ha rishte apne apne daire mein ho to hi ache lagte hai ... Mujhe toda waqt chahiye apko fir so dost maan ne keliye ..aur aapne kya kaha zindagi bhar humsafar... yakeen, allah know zaki mujhe kisi ki zaroorat nahi hai ...aur jiski zarorat hai who toh jhootebaaz nikla... Khair... Pehle tum apne zindagi mein khud ke parbote pe khade hone ki socho zaki ...ladkiyon ko patina awaragiri chodke zindagi mein kuch ban ne ki socho ..aur ha mujhe se ye umeed kabhi mat rakhna ki mein tumse nikah karungi...mein tumse toh kya kisi se bhi nikah nahi karpaungi...
Jo manzoor ho khuda ko wahi hoga... agar mujhe sahir sir se mohobbat hone ka faisla upar wale ka hai toh mujhe manzoor hai ...
Aur sir mujhe aap aapke ateet ke barein mein batanahi hoga...
Leaving Sahiralvira shocked Arzoo leaves from there ...
Here ends this short update ...
Friends...if you liked this update..pls care to share your view... your feedback means a lot to me ...
Adios & Signing off
Shakti (With Love)😉