Hey Guys, here's another update context of this letter is after the scene where he blurts out how she can continue staying in the house after the grace period is over, this is for Alanta,I hope you guys like it, Please do not hesitate to point out any mistakes ,Thanks for your comments and likes...
------------------------------------
Hey Alanta, Hope this meets your expectations; I am still down with fever so brains not at optimum so please forgive if it's not what you expected...
---------
Gulaal,
Main bhi nahi chahta thuje iss ghar se kabhi bhi jana pade,baato baato main shayad dil ki baat juban per aa gayi aur main uss sachai ko apni hasi main daba gaya, per jab bahar jake khidkhi se yeahi baat sochte hue thuje niharne laga to samaj aa gaya ki meri iss baat kahi na kahi tu bhi manti hai per iss swikar karne ki umeed main tumse nahi karta Gulaal...
Saru Fui ke liye tere is natak ka hissa to main ban gaya, per janti hai thuje yeah natak karne main jitni takleef ho rahi hai,usse kahi jayada takleef mhuje hoti hai thuje yuh apni marji ke khilaaf kuch bhi karte hue dekh,tu kyun hamesha auro ki khushi keliye apni aur meri kushi ko yuh kurbaan karti aayi hai Gulaal...
Maine apne mann ke sath samjauta to kar liya hai, teri khushi se badhakar kuch nahi hai Gulaal,aur main janta hu iss parivaar ki khushiya tere liye bahut mayne rakhti hai,isliye aaj se teri har kurbaani main mujhe apne saath paayegi tu,apni khushiyon ka na sahi per apne dukho ko hissa to muhje banana hi hoga thuje...
Nahi janta tere chale jane ke baad iss ghar main reh bhi paunga ya nahi,teri tarah dusaro ke liye haste hue jeena bhi to nahi janta main,hamesha sochta hu tu kaise itne salo se aise akele iss ghar ko shambhale hue hai, shyad Vasant bha aaj bhi tere sath hai tera hoshla ban ke, tu bhi rahegi na mere sath yuh hi hamesha meri takat ban kar, ha Gulaal?...
Kabhi sochta hu ke kaash jindagi, uss chote Kesar ke liye wahi ruk jati,jaha uske pas sab kuch tha, ek hasta khelta bachpan,shararato and kilakari se mehkta yeah aangan aur uske aage piche daudti hui uski woh Gulaal, nahi usne woh baate suni hoti,nahi woh jindagi ke dus sal usne yuh gawaye hote apni Gulaal ke bina...agar yeah sab na hota Gulaal to kya hamari duniya kuch alag hoti,Kya tab bhi tum apne Kesar ko chod ke jane ke liye yuh tayar hoti..kya tab bhi tum apne Kesar ke pyaar ko lagav hi samajti Gulaal...
-------------