Hi guyz ,As I promised I'm finally here with the final part of my first AKSHAN story BADLAAV. ..This story is very close to my heart...kyunki dil se likha hai😉 when I was writing this story I was literally in tears bcoz I'm too emotional person. ..I would like to thank u one and all for your immense support...love you guyz. .Let's start ...
Idhar AJ Guddan ko har jagaha doond raha tha...kahin bhi nahi mil rahi thi tho bahut bechain hogaya."Guddan...kahan ho tum?I hope tum teek ho". Aaise doondte doondte usi old garage ke pass pahuncha tho usse kisi ke chillane ki awaaz suni aur wo garage ka darwaza thod ke andhar gaya...jab usne wahan ka nazara dekha tho hil gaya...Parv Guddan par jabardasthi karne ki koshish kar raha tha aur Guddan bahut buri halat mein thi...AJ gusse mein bokla gaya aur Parv ko dhakka de diya...
AJ:"Kamine ...tune meri biwi ko chune ki Himmat kaise karli...tuje mein jaan se maardunga."
AJ ne maar maar ke Parv ka behaal kiya tha.Tabhi wahan vardaan aata hai aur AJ ko rokhta hai.
Vardaan: "Ruk jayiye Papa...kanoon ko haath mein math leejiye...mein usse police ke hawale karunga...aap Guddan maa ko sambhaliye..."
Lekin Parv kaise bhi vardaan ko chakma dekhe wahan se bhaga ...aur vardaan usse doondne gaya...
AJ ki nazar Guddan par gayi...wo shock mein baiti thi...wo daudke uske pass aakar baita aur uske kandhe par haath rakha tho Guddan ekdum se chaunk gayi aur chillane lagi "Chod do muje plzz chod do" usse bahut bada sadma laga ta...AJ se uski haalat dekhi nahi gayi...usne Guddan ko apne baahon mein le liya aur usse console karne ki koshish ki .
Aj:"Guddan...daro math..mein Hun AJ...shaant ho jao ...mein Hun na tumhare pass...kuch nahi hone doonga tumhe...shaant ho jao Guddan..."
Guddan behosh hogayi...AJ apne godh mein utaake Guddan ko ghar leke aaya...Abtak kishore ne ghar mein Guddan ke kidnapping ke baare mein bata diya tha tho sab log pareshaan the...Daadi bahut ro rahi thi...Guddan ke Papa ko bhi kabhar mili tho wo bhi revati ke saath jindal mansion aagaye...wo bhi pareshaan the...
Jab AJ Guddan ko godh mein utaake aaya tab sab log Guddan ki haalat dekh ke shock huye...AJ ne Guddan ko bed par sulaya...Kishore ne pehle se yi inform kiya tha tho doctor bhi aagaye...
AJ:"Doctor jaldi se dekho Guddan ko kya huva hai...wo behosh hai".
Doctor check up kar rahe the...Ghar ke sab log bahar intezaar kar rahe the...bahut tension mein the...AJ bahut bechain tha...usse kuch samaj mein nahi aa raha tha..Tabhi doctor bahar aa gaye..
AJ:"kya huva doctor.. Guddan kaisi hai.."
Doctor:"Mr.Jindal..waise aapki biwi ke jaan ko koi katra nahi hai lekin..."
Doctor ki baat sun ke sab darr gaye.AJ bhi pareshaan hokar"Lekin kya doctor..?boliye na...guddan ko kya huva?
Doctor:"Aapki biwi bahut bade sadme mein hai...uss se bahar aane ke liye thoda waqt lagega...usko kisi taraha ka tanaav se dhoor rakhna padega...uska condition bahuth naazook hai...usse kabhi akhela nahi chodna chayiye...maine medicine de diye hai thodi dher mein hosh aa jayega...".
AJ: "teek hai doctor...hum kayal rakhenge...thank u.."
Guddan ko abhi bhi hosh nahi aya tha...Daadi ghar ke Mandir mein bait ke bhagavaan se prarthana kar rahi thi"Meri gudiya ko teek kar do Khana ".
Teeno bahuain Guddan se nafrat jaroor karte thi lekin Guddan ki haalat dekh ke wo bhi pareshaan thi...saru ,lakshmi bahu aur revati kitchen mein thi aur durga Guddan ke pass baiti thi... AJ kishore aur vardaan ke saath neeche Hall mein bait ke Parv ke baare mein discuss kar raha tha...bhushan bhi wahan the..kisi haal mein AJ Parv ko saza dilvana chahtha tha...Tabhi Guddan ki zor zor se chillane ki awaaz sunayi di...sab log hairaan ho gaye..AJ baaghta huva Guddan ke room tak pahuncha...Guddan ko hosh aate yi usse wo bhayanak haadsa yaad aagaya ..wo abhi bhi sadme mein thi tho jor se chilla rahi thi...Durga wahin thi tho wo turanth Guddan ke pass aa gayi aur usse ghale lagaya aur usse console karne lagi..
Durga:" shaant ho jao Guddan...bas..bas..kuch nahi huva hai...hum sab log hai na tumhare saath...bas..daro math."
Sab log wahan pahunche...Guddan ki haalat dekh ke sab log dukhi the...sab logo ki aankho mein aansoo the...
Bhushan:"ye kya haal hogaya meri bachchi ka...?'
Revati:"meri wajah se ye sab huva hai Papa...mere liye na di uss parv se ladi thi...usi ka badla le liya uss kamine ne.."
AJ chup chap wahan Guddan ko dekh ke kada raha...kyunki uske mann mein kahin na kahin ek guilt tha ki Guddan ki haalat ke liye wo bhi zimmedaar hai.
Aaise yi 15 din beet gaye...Guddan ki haalat abhi bhi waisi yi thi...na kuch baat karti thi na koi emotions...bilkul kamosh..royi bhi nahi...Neend mein kabhi kabhi wahi bura sapna dekh ke chillathi thi...AJ har waqt saaye ki taraha uske saath rehta tha...jab bhi wo darr ke chillathi thi AJ usse apne baahon mein leke pyaar se console karta tha...guddan ki iss halath usse dekhi nahi jaathi...usne kabhi nahi chaha tha ki Guddan itni kamosh ho jaye...AJ ke saath gharwaale sab Guddan ki achche se dekhbaal kar rahe the...Durga ,lakshmi, saru teeno kho bhi Guddan ki baathon ke bina ghar suna lagne laga..
Gumsum si ,sehmi sehmi darri huyi Guddan ko dekh ke AJ ko bahut dukh ho raha tha.Guddan ko iss haal mein dekh ke andhar yi andhar wo tadap raha tha...Pareshaan hokar wo bahar balcony mein baita tha..
Tabhi daadi wahan aati hai.AJ ko pareshaan dekhkar uske kandhe par haath rakhthi hai.
Daadi:"Kya huva lalla...kyun itna dukhi ho"
Maa ko dekhte yi AJ se ab aur nahi reh gaya.itne din apne andhar dabake rakhe huye dukh ka baandh toot gaya..apne sab emotions maa ke saamne rakhe..
AJ:" Ye kya ho gaya maa..? Dekho na aapki gudiya kaisi kamosh ho gayi hai..na kuch bolti hai ,na yi rothi hai,na koi reaction dethi hai ...mein iss haal mein nahi dekh sakta usse..haan..meine yi chup rehne ko kaha tha usse...humesha muje irritate karthi hai isiliye gusse mein daant diya tha...hamesha muje palat kar javab dethi thi na...?lekin kyun iss baar meri gusse mein kahi huyi baath sach maan li usne...kyun kaamosh hogayi maa...haan...ye sach hai ki mein Guddan ko meri antara ki jagaha ,wo pyaar kabhi de nahi sakta lekin Guddan ab meri zindagi ka ek ahem hissa hai maa...uske bina ye ghar suna suna lagta hai ...aapko pata hai na maa...iss berang ghar mein Guddan ne apne atarangi andaaz se kaisi khushiya bhar di thi...ab aise lagta hai jaise ghar ki raunak yi chali gayi...sabki zindagi ko khushiyon se ujala karnewali ke zindagi mein ye andhera kyun maa..?kisi ka bura nahi chaha usne tho phir usse ye sazaa kyun?...pucho na maa apne khaana ji se..bol do usko aapki gudiya ko teek karne.."
AJ bahut ro raha tha...wo toot gaya tha...Daadi ne uske sar par haath rakha.
Daadi:"Ro math lalla...kuch nahi hoga Teri Guddan ko...ye sab meri khana ji ki leela hai...wo jo bhi karte hai sab achche ke liye karte hai..tum chinta mat karo ..dekhna khana ji jald yi meri gudiya ko teek karenge...bas tum Himmat math haarna lalla...guddan ka kayal rakhna"
Maa ke baathon mein AJ ko ummed ki nayi kiran dikhayi di...usne socha 'ab mein chup nahi bait sakta...Guddan ko teek karne ke liye kuch karna padega...' uske chehre par drad nischay tha.
Uss din Guddan apne kamre mein baiti thi..Pyaas lagi thi tho paani peene ke liye jug dekha tho us mein paani nahi tha...apne bahuvon ko awaaz diya tho koi reply nahi ayaa...Isliye wo kudh paani lene neeche aayi...wo kitchen ki taraf ja rahi thi tabhi usne ek awaaz suna,"saaasu maa..." Guddan shock hokar dekhthi hai tho wahan parv kada tha...wo has raha tha...usse dekhte yi Guddan ko wo bhayanak haadsa yaad aagaya...wo darr se kaampne lagi...
Guddan: "Tttum...yahaan kyu aye ho...chale jao"
Parv:"Darr kyu rahe ho Guddan...?thoda baat tho karte hai"
Dheere dheere wo Guddan ke pass aata hai
Guddan darr se peeche peeche jaathi hai..
Guddan:"Nahinnn...AJ kahan hai aap...AJ..."wo chillathi rahi..
Parv:"koi nahi ayega tumhare madad ke liye...kyunki ghar mein tho koi nahi hai...sirf mein aur tum...uss din AJ ne aakar mera kaam bhigad diya ..lekin aaj tho pura karle.."wo pagal ki taraha has raha tha aur Guddan laachaar Hoke darr mein kaampthe huye wahan kadi rahi..Thabhi" Guddan ...darne ki koi zaroorath nahi...hum hai tumhare saath"
Guddan ne dekha tho wahan AJ khada tha aur gusse se parv ko dekh raha tha...ab parv darr gaya..Tab andhar se Daadi,Durga,lakshmi,saru,kishore aur vardaan bahar aagaye aur sab Guddan ke peeche kade rahe...
Parv:"Saru behena tum bhi..?
Saru:" Behen math bulavo Hume...aap par ghin aathi hai..aapko kya laga aapne jo ghinauni harkat ki hai uske baad bhi hum aapko support kare..Maanthi Hun ki mere aur saasu maa ka chatthees ka aankda hai lekin unke saath jo tumne kiya na uske liye hum tumhe kabhi maaf nahi kar sakta.aur isiliye AJ ke iss plan mein hum ne usse support kiya aur tumhe jhoot bolkar yahaan bhulaya.."
Darasal bahut Dino se parv saru ko phone karke pareshaan kar raha tha...usse paiso ki zaroorath thi tho saru ko blackmail kar raha tha...Saru ne ye baat AJ ko batayi aur isse AJ ko Guddan ko teek karne ka ek raasta milgaya..AJ ke plan ke mutabik saru ne Parv ko phone karke bataya ki 'Humne paise arrange karli hai..hum aakar tumhe nahi de sakte tho tum Jindal Mansion mein aakar paise le jaana...aaj shaam ko ghar mein koi nahi hai...Gharwaale sab function ke liye ja rahe hai...tum uss waqt aa jaana..'so AJ ki plan ke mutabik jab parv ghar enter huva tab sab log andhar chupke baite the..
Parv sab gharwaalon ko dekh kar hil gaya..
Parv:"ye tumne achcha nahi kiya behena"
Daadi ne aage aakar parv ko ek zordaar tappad Mara ..
Daadi:"Aur tune jo meri phool jaisi gudiya ke saath jo kiya wo teek tha kya?"
Lakshmi: "Aur nahi tho kya?..humaari saansu maa jo chatterbox huva karthi thi ab bilkul silent mode pe gayi hai...unke baathon ke bina ye ghar mein koi mazaa nahi aata...aur ye sab tumhari wajah se hai parv..."
Durga: "Haan ...hum nahi maante Guddan ko apni saas...lekin aurat hone ke naathe uske saath jo neech harkat tune ki hai uske liye hum tumhe sazaa dilvake rahenge...Hum se nahi dekhi jaathi Guddan ki hai haalat.."
Sab log Guddan ke support mein hai..ye dekhkar parv tho darr gaya...
Vardaan: "uss din tho tu bacha gaya tha kaamine...lekin aaj tuje hum chodenge nahi"
Kishore aur vardaan parv ko maarne aage aate hai lekin AJ unhe rok leta hai.
AJ:"Rukho vardaan...iss ghatiya aadmi ko uski sazaa zaroor milegi...lekin wo sazaa dene ka hak sirf Guddan ka hai...Jao Guddan Jao...tum jo sazaa Dena chahte ho wo dedo..."
Sab log hairaan ho jaate hai..Guddan darr ke"nahiiin...mujhse na ho payega..."aur jaakar AJ ke peeche chup jaathi hai...AJ uske kandhe pe haath rakkar usse support karta hai aur bolta hai"Guddan tumse ho payega...sab kuch ho payega."
Guddan surprise hokar AJ ko dekhthi hai...wo ek halka sa smile deta hai..Sabhi gharwaale Guddan ko support karte hai..
Daadi:"jao meri gudiya usse sabak seekha de.."
Lakshmi: "Aapse ho payega saasu maa."
Saru :"Hume 100 % pakka hai ki ye Aapse ho payega"
Durga:"ye tumse ho payega Guddan...jao aur iss neech insaan ko ek achcha sabak seekha do"
Kishore aur Vardaan: "Aapse ho payega Guddan Maa..jao aur jo man chaye wo sazaa do"
Guddan dheere dheere aage aayi..ek baar AJ ko dekha...AJ ne aankho se aage jaane ka ishara kiya...
AJ :"Guddan jao aur tumhare andhar ka darr gussa sab uss kamine pe utaar do.."
Guddan ne aakar Parv ko 2-4 tappad lagaaye..phir apne chappal utaar ke itni dhulayi ki itni dhulayi ki parv ka haal tho behaal ho gaya..
Guddan :"Tuje ladkiyaan chedne ka bahut shauk hai na...bahut battameezi ki tune..ab mein tera wo haal karungi na.. jiske baad phir kabhi bhi tu kisi ladki ko chuna tho dhoor unhe nazare utake dekhne ke liye bhi darr jayega kamine..."
Ab kaampne ki baari parv ki thi...sab log guddan ka rudr avatar dekh ke kush huye..
Lakshmi:"kitna mazaa aa raha hai...lagta hai humari saasu maa apne purane asli form mein aagayi hai."
Apna sab bhadaas nikhalne ke baad Guddan seeda apne room mein chali jaati hai...
Parv ki haalat karaab thi..AJ ne aakar ek tappad lagaya aur bola"Kamine...lagta hai MERI patni ne tume achche se sabak sikhaya hai...tera partner wo Dutta pehle se yi jail mein chakki pees raha hai aur ab tum bhi jaakar uske saath jail ki saalakhe gin na...ahinda agar galthi se bhi mere paarivaar ke aur Kaas kar ke MERI Guddan ke pass bhi aaya tho jail se pehle mein tumhe narak pahuncha dunga...yaad rakhna..ye Akshat Jindal ka waada hai tumse"..
Kishore aur vardaan Parv ko police ke pass le gaye...idhar Durga Guddan ko dekhne uske room jaanewali thi tabhi daadi usse rokh leti hai"Akshat sambhal lega'..
AJ jaldi se room mein aagaya...usse Guddan ki bahut chinta ho rahi thi...usse doondne laga tho andhar se jor se rone ki awaaz aayi...jaakar dekha tho Guddan washroom mein shower on karke uske neeche bait ke jor se ro rahi thi...wo poori taraha bheeg gayi thi..wo dekh kar AJ ka dil pigal gaya...usse aur seh nahi gaya...usne jaakar Guddan ko bahon mein le liya aur usse console karne ki koshish ki..
AJ:"Ro lo Guddan...jitna chaaye ro lo...apna gussa,apna darr,apna dard,apna dukh sab baahar nikalo aur iss paani ke saath behne dho..kyunki iske baadh ab kabhi bhi tumhari aankho mein aansoo dekhna nahi chaahta hun mein...ab aur darna nahi...tumne dekha na sab teek hogaya...tumse ho paaya na...ab kabhi mat kehna ki tumse na ho payega...ab shaant ho jao" AJ Guddan ko apne godh mein utaake baahar leke aaya..
AJ:"Guddan tum jaldi se fresh ho jao...mein bhi fresh hoke tumhe kuch kaane ke liye laata Hun.."halke se Guddan ke ghal tap karke wo neeche chala gaya..
AJ ne apne haatho se Guddan ke liye uska favourite khana,samosa aur motichoor ke laddoo banaye aur usse lekar room mein aaya tho Guddan fresh hokar baiti thi.
AJ:"aao Guddan khaana kavo..."
Samosa aur motichoor ke laddoo dekhte yi Guddan ke chehre pe ujaala aagaya...Bahut dino baadh uske chehre par ye kushi dekh ke AJ ka dil bhi Kush huva..
Guddan: "Wah..uncle ye aapne banaya mere liye...thank u uncle.."
Guddan ki masoom baatein sunkar AJ ke chehre pe hasi aayi..
AJ:"Haan...khaana maine banaya...lekin tum Hume ye uncle uncle kehna chod dho plz...hume bade buzurg hone ki feel aathi hai..."
Guddan jor se hasne lagi..
Guddan: "Isme feel hone ki kya baat hai ...aap tho buzurg yi na..?"
AJ ne socha 'thank God meri nakchadi biwi back to form'.
AJ:"Guddannn...tumne phir se..."
Guddan: "sorry sorry...nahi kahenge uncle ...lekin ek shart par..."
AJ:"Sharth kaisa sharth..?
Guddan: "aap Hume promise karo ki aap Hume kabhi nahi daantoge aur kabhi nahi kahenge ki 'Guddan tumse na ho payega'...Varna hum Aapse kabhi baat nahi karenge aur humesha ke liye kamosh ho jayenge"
Guddan ki ye baat sunthe yi AJ ka dil bhar aaya,bechain hogaya usne turanth Guddan ke vonto ko apne haath se chup kiya aur bahut feeling ke saath kaha "Guddan chup...ab kabhi bhi aisi baat mat karna..."
AJ ka sudden behavior dekh ke Guddan surprise ho gayi..AJ cupped her face..
AJ:" Guddan humesha tumhari non stop baathon se mein irritate hota tha...tume daandtha tha...lekin tumhe laachaar kamosh dekh ke na mein bahut darr gaya tha...tumhe uss haalat mein nahi dekh pa raha tha...pata nahin kyu sab kuch adhura lag raha tha...guddan tumhari ye nonstop irritating baatein mein zindagi bhar jelne ke liye tayaar Hun lekin tumhari kamoshi sehna 'ye humse na ho payega Guddan..."
AJ ki aankho mein aansoo the...AJ ki baatein sunkar Guddan bhi emotional ho gayi...
Guddan :"Teek hai ab kabhi nahi kahenge...lekin ek baar sochlo uncle ...zindagi bhar muje jelna kya Aapse ho payega?" Guddan aur AJ dono hasne lage..
Guddan :"aur ek baat hum aapko uncle nahi tho aur kya bhulaye?"
AJ:"AJ bhulao...kuch bhi bhulao bas uncle math bhulana plz..."
Guddan kuch dher soch ke...
Guddan:"hmmm..Teek hai...hum aapko AJ nahi bulayenge kyunki AJ thoda kadoos ,akdu,Hitler jaisa feel deta hai tho...mein aapko AKSHAT JI bulaathi Hun...kitna pyaara naam hai ...teek hai"
AJ Kush hogaya...Dono ne saath milke khana kaya...infact ek dusre ko khilaya..
AJ:"Raat bahut hogayi hai Guddan tum so jao mein thodi dher mein aata Hun...Good night"
Guddan :"Teek hai Akshat ji...Good night...aur haan ...khana bahuth achcha tha...thank u..."
AJ ne bada sa smile diya aur wahan se chala gaya...AJ ko thodi importent call karni thi ...wo sab katam karke thodi dher baad room mein aaya tho Guddan room mein nahi thi...ek baar tensed hogaya lekin phir jaakar dekha tho Guddan pehle ki taraha balcony mein jhoole mein achche se so rahi thi...AJ ko Guddan ki maasoomiyat pe hasi aayi...
AJ:"ye Guddan bhi na...guddan yi hai...kabhi nahi sudregi...pagal ladki..."
Usne dheere se nazook se Guddan ko godh mein utaake andhar bed par sulaya...
Guddan gehri neend mein thi...aaj bahut Dino baad uske chehre par hasi thi ,sukhoon tha...wo dekh ke AJ ko bhi sukhoon Mila...
AJ:"Guddan tumhare chehre par ye sukhoon dekh ke mere dil ko chain mila hai...hum jaante hai ki hum tumhe apni zindagi mein antara ki jagaha kabhi nahi de payege...pata nahi hamaare beech kya rishta hai..aanewaale kal mein kya hoga?... lekin waada karte hai ki hum tumhe wo sab kushiyaan denge jiski tum hakdaar wo...humesha tumhara saath rahenge...tumhe itna strong banayenge ki sab log kahenge 'Guddan Tumse sab ho payega'...ye Akshat Jindal ka waada hai tumse Mrs.Guddan Akshat Jindal..."
AJ ne pyaar se Guddan ke baalon mein apna haat sawara aur he gently kissed her forehead...Guddan ko dekh ke ek cute sa smile de ke so gaya ...bahut dino baad AJ ko sukhoon ki neend aayi...
Shaayad AJ ko bhi pata nahi tha ki wo Jo soch raha hai wo sab dheere dheere badal raha hai...usne socha tha ki wo apni zindagi mein Guddan ko antara ki jagaha nahi dega lekin AJ ko kya pata tha ki Guddan apne aap se yi apne anaukhe andaaz mein uske dil mein jagaha bana chuki hai...shuruvaat tho ho chuki hai...shuruvaat naye BADLAAV ka ...aur ye Badlaav shuru hota hai AKSHAT JINDAL ki zindagi ke naye Safar se...aur iss Safar ki manzil sirf Mrs.GUDDAN AKSHAT JINDAL hai...
The End
Love
LORA VINCENT