Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo,
Log muththi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo.
Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi
Yeh dunya badi ajeeb hai,
Jahan Gum chupana padta hai,
Dil main chahe lakh Gum ho,
Mehfil main muskurana padta hai
Jab bhi kisi ko kareeb paya hai,
kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai.
Kyon dosh dete hein hum kanto ko...
Zakham to humne phulo se paaya hai
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko
Mohobbat ka imtihan aasan nahi;
pyar sirf pane ka naam nahi.
Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein,
ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi
Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
na saathi, na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
jab vapis lote to jalta hua ghar mila
Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
yeh dil walon ki dunia hai dost,
kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi