maneet with difference(poem)new poem pg 134 4/5/13 - Page 92

Created

Last reply

Replies

1k

Views

62.7k

Users

89

Likes

1.4k

Frequent Posters

mrs.msk thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
sorry guys
mera bye bye to if for forever
or
for week
some family problem

hope
i can be back
agar waapis aayi
to os two days main finish kaR DUGI


bye guys
will miss you

Nishu take care of yourself and don't worry about a thing here on IF...but please don't leave😳
Edited by mrs.msk - 12 years ago
Donnaa thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
😲
na naa tujhe hum kaise bhul sakte hai nishu
galt se bhi aisa mat sochna😡
sona-rai thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
OYE NISHUUU
yeh le poetry thread...
hehehehehehe love u nishu muahhh
---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: sona-rai

OYE NISHUUU

yeh le poetry thread...
hehehehehehe love u nishu muahhh


ooye yeh tujhe kaha milla
---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
poem 25

its for slow poison by Mrs. msk
sukhe patte(leaves)
daal se tut kar
kahi kissi ka toh ghar banaate hai !
aur mar kar bhi ,
kissi ke sapno ke ghar main zinda rah jaate hai !

kami toh ,un patto main hai
jo shaakh(stem) par rah kar bhi,
sukh(dry) jaate hai !
pata nahi ,
unhe kyu zindagi raas nahi aayi !
par unhone maut bhi toh ,
gale nahi lagaayi !
woh jaane kyu ,
is tarah se khud se hi tut rahe hai ,
na haasil hoga unhe kuch ,
na haail kar sake unhe koi ,
woh to ,uss mod se apna daaman tod rahe hai!

maana ke ,
zinadgi sab ke liye aasaan nahi hoti !
par mar jaayo khud ke liye aacha hai ,
usse ke ,
aap jiyoo kissi ko barbaad karne ke liye !
kyoki kissi ko barbaad karke toh ,
zindagi apni bhi aabaad nahi hoti !

koi khoj raha tha ,usse ek dushman ko !
toh koi kar raha tha ,uske aane ka intezaar !
yeh bhram tha ,un dono ka
ki milke ek baar ,
ho jaayega sab gum ka udaar bekaar ,
par woh naadan ,
yeh na jaante the ,
ke badla woh ek rog hai
jo hai be ilaaj ,

is rog ke ghaav bhar jaate ,
par ,
nishaan umar bhar ke liye chod jaate hai
aur hum sahlaate rahe isse ,umar bhar ke liye
yeh aadat hum se jod jaate hai
aur
badla woh rog hai ,
jo naasor (deadly)ban kar hum me palta hai
na thik ho sake ga yeh zakham ,
hame waqt nikal jaane par ,pata chalta hai!

me waiting for your reply
gud aur bad😕

Edited by 9n9i9s9h9u9 - 12 years ago
---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
poem 26

its for geetsmile
i don't know about story line
but she want something where maan want to tell about his love to geet


chahta hu tumhe
maanta hu tumhe
par
kya kaabil hu tere
yeh jaanan chahta hu tujhse

kyoki tu
phool hai us gulaab se bhi haasi
jis chahte hahi sabhi
aur bhavarro ki toh jaan hai woh
usske paas hi ghumana toh ,unhe ek kaam hai woh

par tu yeh baat maan le
main hu manchalo se alag yeh jaan le

gar tu gulaab hai ,toh main suraj ki woh pahli kiran
jisne tera rang nikhar diya
mera pyaar woh roshni hai , jo har pal tere saath rahgi
dhoop ho ya chaaya
mera pyaar koi saaya nahi, jo andhere main kho jaaye kahi
mera pyaar woh khusbu hai
jo basa hai tujme mujhme
saanso ki tarah
log hasna chod dete hai
par saans lena nahi
thik aise hi
tu shamil hai mujhe mere rooh tak basi
gar tujhe ek pal bhi pyaar na kiya
to jaan lena main us pal saans bhi nahi liya

kyoki
main saan lena pahle chod duga ,
par tujhe pyaar na karu
yah toh gunaah woh hai
jo main mar kar bhi na karu

tu jaan hai meri
pahchan hai meri
gulaab main basi khusbu ki tarah
saans hai meri



hope you like it
me have no idea about story line
but still try
sorry if it make you disappoint
please tell me your view
me waiting

---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
poem : 27

its for Bandhan new ff by tellyme

kyu hota hai aisa ,
koi chu jaata hai dil ko
bas ik pal main !

kyu hoti hai halchal ,
is dil main
jab hoti hai woh mushkil main !

kuch toh baat hai ,
kuch toh usme khaas hai !
kyu woh hokar hum jaisi ,
phir bhi hum se alag hai !
kya yeh sach hai ,
par phir kyu yeh dil har pal ,
dekhta hai ussme us chupe hue bachpan ko
jisse ab bhi kahi ,
jindagi jeene ki aas hai !


kahi kuch to aisa hai ,
jo main jaanta nahi !
tabhi toh ,
jab sab kahte hai undekha kar usse ,
toh yeh dil maanta nahi !

abhi abhi to milla hu usse
phir kyu lagta hai ,
kuch to mera juda hai usse !
kyu yeh dil chahta hai
sun na usse
aisa kya hai usski hasi main
ke jab woh muskurai to laga
hai bahaar aayi

---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
poem 28

its for sati
ff by muskanp
these are two poem


zindagi ki veeraniyo main
,in gamginniyo main
,in tanhaaiyo main .
har pal hai tujhe yaad kiya tere saath
na hokar bhi tere rishto ne mujhe tere saath hone ka saboot hai diya ,
ek tere siwa koi nahi hai jera
,par yeh bhi sach hai ke tu ho mera isme bhi rab he mera saath na diya par phir bhi ,
jjeeiye ja rahe hai hum ,
tum agar hote to kya hota yeh sapne ab bhi siyye jaa rahe hai hum .
&
kya khub hau yaaar yeh zindagi ki kahaani ,
jo haame ab hai aap ne sunaani .
l aksar hota hai aisa ke khatam ho jaati hai kahaani,
jo hui hi nahi thi shuru abhi apne kadam badani ,
par yaha aisa nahi hai ,
aap ne to sab khatam kar ke bhi khatam nahi kiya ,
kissi ke aane ka inrtezaar kissi ki kismat main hai likh diya.
yeh baat aur hai ke ,
woh anjaan ahai apni usse khudai se jisne milne se pahle hi ,
us se muh mod liya
---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
poem 29

its for A Thrashed barbie by BULBUL.A


kabhi saamne aa kar
mujhe paas bula kar
woh mujh se milla bhi nahi

mere apno ne diye ,
jo jakham
jo sitam
aur tod diya mera har bharam
saath tha umar bhar ka
par woh saath na chale do kadam
to aise main ,
inka mujhe apnana
mere har zakham(emotional one) ko dekh kar bhi bhul jaana
kasoor inka toh nahi
jab saath mere mera khuda bhi nahi
aur
main unse baat karu
itna mujhme bhi toh hosla nahi

woh maang rahe hai ,
mere sach hone ka saboot
chahte hai mujhse ,
suraj ki roshni
aur dhoop
par yeh unse kaise main kahu
main sach hu din ke ujjale ki tarah
koi raat ka adhuraa khaab nahi
haan ,
yeh aur baat hai
unko dikha saku main yeh ssab
iske liye ,mere paas
suraj ki roshni to kya ,
ik mitti ke diye ki roshni ka saath bhi nahi



hop you like it
sorry for mistake

---nishu--- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
POEM 30

ITS FOR Tere Ishq Ko Sajda
ff by tich.1990mg

main tere ishq main
pagal ho jaauga

kyoki jo ab tak
jaanta nahi tha rab ko
woh ab
maang raha hai uss rab se
tujhe ko

main ab bhul raha hu khud ko
bas
yaad rakhta hu
har us pal ko
jo baandh gaya tha
hamko

Related Topics

Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: Mg13

1 years ago

MANEET FF SAAJAN | UPDATED PART 50 ~ Updating....

hey guys... here is my new thread...my previous threads got removed so links will not be opened... so will pm you update link soon.. wait for a...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: amrutha11

3 months ago

Maneet story guess the name

Hi everyone, I forgot tthe name of the story of maan and geet. The story line is maan dadhi force geet to marry her grandson maan whose half...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: Pumpkinseed

5 months ago

Maaneet Stories Updates~ New Part Updated~pg 44~01.08.25

You can stay updated with all the latest updates in my stories right here in this thread. I will be updating the stories almost every day. Feel...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: tammana.m

3 years ago

Maaneet New SS - Dillagi Thread 2 -Part 88 Page 49- 27/5/25

Dillagi Dil ki Lagi Jab Dil kho jata hai kisi aise mein Jo apna na hoke pe apna sa lagge. Jiski ek jhalak ke leye yeh nighein tarpati rahe Or...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: tammana.m

3 years ago

Maan Geet new Ss Chup Chup ke Part 40 on page 66- 24/6/25

This is the story of Maan Geet . The couple who love each other and married secretly . This story will tell their everlasting love, and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".